avatars jung

12848 views 295 replies
Reply to Topic
~Fragi~

Age: 42
Total Posts: 64603
Points: 0

Location:
Neutral Zone,
Kiya aj kal avatar jung chal rai hai?


Her koi avatar change karney mein hai
Posted 27 Jan 2008

sun_shine says
yaa
girls to waisay bhi khatarnaak hoti hain
aur agar chakoo bhi haath main ho to...
Posted 22 Feb 2008


isi liye to darr lagta hai..

kya pata gajar mooli ki tarah kaat kar paray phaink day..
Posted 22 Feb 2008

sun_shine says
oh
ab girls aisi bhi khatarnaak nahi hoti
kehtay hain k Aurat pasli say bani hain
jaisay pasli straight nahi hoti
isi tarah aurat bhi straight nahi hoti
woh jaisi hain usay waisa hi rehnay do
Agar usko straight karnay ki koshish karaingay
to woh toot jayegi
Posted 22 Feb 2008


lekin haath mai chaaqo ho to darr to lagay ga hi na...
Posted 22 Feb 2008

sun_shine says
yaa sahi
Posted 22 Feb 2008


aur to na daraen na...

wesay bhi molion aur gajaron ka season chal raha hai..
Posted 22 Feb 2008

sun_shine says
yaa aur katnay ka mausam bhi
kites jo katt rahi hain
Posted 22 Feb 2008


pata chal raha hai keh ap bhi warm-up ho gai hain...

i luv flying kites... but not as a festival...
Posted 22 Feb 2008

sun_shine says
warm up woh kaisay?
i dont like kite flying.
Posted 22 Feb 2008


jab banda thori exercise karta hai to warmup hi hota hai na..
phir chusti aa jati hai... susti ki jagah...
brain fresh ho jata hai...

Posted 22 Feb 2008

sun_shine says
yaa right
jab insaan ka dil khush hota hain
to freshness khud ba khud aa jati hain
Posted 22 Feb 2008

Mujrim says
lolz kya kar raha hai
Posted 22 Feb 2008

sun_shine said:

yaa right
jab insaan ka dil khush hota hain
to freshness khud ba khud aa jati hain



yani k aap khush bhi hain...
Allah ap ko khush hi rakhay...

Close-up sai bhi freshness aati hai...
Posted 23 Feb 2008

Mujrim said:

lolz kya kar raha hai



pehlay chaqo pechay kar... phir batata hoon
Posted 23 Feb 2008

Rapunzel says
jung o jadal haram hai
Posted 23 Feb 2008


yahi to mia bi keh raha hoon...

wesay ap bolti bhi hain...
Posted 23 Feb 2008

Rapunzel says
nhi mein likhti hon
Posted 23 Feb 2008

Rehan M Din said:

sun_shine said:

yaa right
jab insaan ka dil khush hota hain
to freshness khud ba khud aa jati hain



yani k aap khush bhi hain...
Allah ap ko khush hi rakhay...

Close-up sai bhi freshness aati hai...




kia ap close up karty hain
ya gals say darty hain
Posted 23 Feb 2008

rapunzel said:

jung o jadal haram hai




nai
Posted 23 Feb 2008

sun_shine says
Rehan M Din said:

sun_shine said:

yaa right
jab insaan ka dil khush hota hain
to freshness khud ba khud aa jati hain



yani k aap khush bhi hain...
Allah ap ko khush hi rakhay...

Close-up sai bhi freshness aati hai...


Thanks alot
yaa woh mouth ki freshness hain
I am talking about Mood freshness
Posted 23 Feb 2008


mood freshness k liye fresh-up bubble hai na...
Posted 25 Feb 2008

sun_shine says
Yaa Right
but Mood fresh ho to kya baat hain
Posted 25 Feb 2008


mujhay bhi bataen mood fresh ho to kya baat hoti hai...
Posted 25 Feb 2008

sun_shine says
yaa Mood fresh hota hain
to dunyaa haseen lagti hain
Posted 25 Feb 2008


woh to wesay bhi haseen hai...
Posted 25 Feb 2008

sun_shine says
haseen hain ,per jab insaan ka dil udaas hota hain to har taraf udaasi nazar aati hain.
Posted 25 Feb 2008


hamain bhi bataen udasi dikhnay mai kesi lagti hai?
Posted 25 Feb 2008

sun_shine says
matlab kaisay?
Posted 25 Feb 2008


ap nay khud hi to kaha keh har taraf udasi nazar aati hai..
nazar anay k liye visible hona zarori hai...
aur visible cheez ko dekha jata hai..
aur phir uss per comment kia jata hai keh kesi nazar aa rahi hai...
Posted 25 Feb 2008

sun_shine says
yaa yaani kay feel hoti hain
wo kehtay hain k
Khuda aisay ehsaas ka naam hain
rahay samnay per dikhai na day.
Posted 25 Feb 2008

Reply to Topic