ONLYARBAB
Age: 39
Total Posts: 7964
Points: 0
Location:
peshawar, Pakistan
har shammaa bujhii raftaa raftaa har Khvaab luTaa dhiire dhiire
shiishaa na sahii patthar bhii na thaa dil TuuT gayaa dhiire dhiire
barason mein maraasim banate hain lamhon mein bhalaa kyaa TuuTenge
tuu mujh se bichharanaa chaahe to diivaar uThaa dhiire dhiire
ehasaas huaa barbaadii kaa jab saare ghar mein dhuul urii
aaii hai hamaare aangan mein patajhar kii havaa dhiire dhiire
dil kaise jalaa kis vaqt jalaa ham ko bhii pataa aaKhir mein chalaa
phailaa hai dhuaan chup ke chup ke sulagii hai chitaa dhiire dhiire
vo haath paraaye ho bhii gaye ab duur kaa rishtaa hai 'Qaiser'
aatii hai merii tanhaaii mein Khushbuu-e-hinaa dhiire dhiire