Ek beti ki kahaani

1597 views 8 replies
Reply to Topic
sun_shine

Age: 124
Total Posts: 13494
Points: 0

Location:
Afghanistan, Afghanistan
Betiyaan Kis ke ghar main rehti hain?
Ban ke rehmat jab yeh uttarti hain
Dhan paraya,is ka ghar yeh nahi
Sun kar is talkh haqeeqat ko
Phir bhi woh muskurati rehti hain
Maa ke aanchal ko odh leti hain
ais ke sab dukh sambhal leti hain
Woh hanse saath us ke hansti hain
Us ki aankhon main agar aye paani
Apne dill main utaar leti hain
Ghar yeh un ka nahi hai
Sun kar bhi sara ghar sambhal leti hain
Baap ka maan sara unse hai
Izzat or shaan sari unse hai
Baat jo unke dil main hoti hai
Betiyaan khud se jaan leti hain
Apne bhaiyoon se pyaar karti hain
Har khushi un par waar deti hain
Koi gham paas aye na unke
Har ghadi is dua main rehti hain
Apne babul ke ghar ki chidiyaan hain
Door kahin unka thikaana hai
Phir bhi woh chehchahati rehti hain
Phool khusiyun ke khillati rehti hain
Maan ki aankhon ke roshni hai
Woh baap ke dil ka chain hai
Jitni bhaion ki khidmat karti hai
Itna bhai bhi un se pyaar karte hain
Phir bhi woh phool apne angan ka
Kyun kisi or ko de dete hain?
Jate jate Yeh kahani
Woh is ke kanoon main utar dete hain
Phir laut kar na aana tum
aik naya ghar basana tum
Ab woh ghar hi tera thikana hai
Apne babul ko bhool jana hai
Tum ne reet yeh nibhani hai
Maan ke seekhe ki laaj rakhni hai
Sab ke dil main jaga banani hai
aik duniya nayi basaani hai
Sare rishton ka naam rakhna hai
Apne babul ka naam rakhna hai
Sari batein woh kitab e dil par
Woh aansu se utaar leti hain
Khool ke band dareeche palkon ke
Bawuzu ho kar aansu se woh
Apne babul kay baste aangan ki
Aajazi se duaein mangti hain
Betiyaan be khafa hoti hain
Phir bhi woh jate hoye
Babul se apne har jurm bakhshwati hain
Maan ke saari duaein saath leti hain
Woh sakhi jo saath kheeli ho
Sukh dukh ki jo saheli ho
Shafqatein or muhabbtein sab ki
Har naseehat duaein har lab ki
Zakheera yeh sara chalte hoye
Apne aanchal se bandh leti hain
Jate hoye palat kar mudti hain
Or aik sakhi se yeh sawaal karti hain
Betiyon ka nahi hai ghar koi?
phir yeh kyun dil main ghar banati hain?
Woh sakhi yun jawab deti hai
Kaun kehta hai in ka ghar hi nahi?
Betiyaan sab ke dil main rehti hain
Maan ka aanchal hi ghar kabhi in ka
Baap ke daste dua main rehti hain
Pyaar bhai ka saibaan un ka
Or asal ghar to dil hai saajan ka
Har jaga un ke dam se raunaq hai
Betiyaan har har jaga par rehti hain
Ghar faqt unke naam se baste hain
log sirf un ke dam se hanste hain
Behan beti ho maan ho ya biwi
Yeh sirf naam hi to badla hain
asal main betiyaan hi hoti hain
ponch le aansu apni aankhon ke
sab thikaane tere thikaane hain
Meka susraal ya tera sajan
Saare rishtey tujhay nibhanay hain
Tere saajan ka dil hi tera ghar
Ab wohi tera hi thikaana hain.................
Posted 08 Apr 2008

Rapunzel says
very nice
Posted 08 Apr 2008

eshajam says
salam to all betiya
Posted 08 Apr 2008

Miss mine says

v.nice
Posted 09 Apr 2008

sun_shine says
Thanks alot
yaa betiyaan hamesha achi hoti hain...
Posted 09 Apr 2008

kOoLeSt1 says
nice.....
Posted 10 Apr 2008

sun_shine says
Thank you
Posted 11 Apr 2008

valandrian says
bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735
bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735bd31735

bd31735
Posted 05 May 2018

Posted 25 Sep 2018

Reply to Topic