musafir said:Kehtay hain k ab hum say khatakaar bohat hain
Ik rasm-e-wafa thi so wafadaar bohat hain
Lehjay ki khanak ho k nigahon ki sadaqat
Yousuf k liye misr k bazaar bohat hain
Kuch zakham k rangat main gul ter k qareen thay
Kuch naqsh k hain naqsh ba deewar bohat hain
Rahon main koi abla paa ab nahi milta
Rastay main magar qafla-e-saalaar bohat hain
Ik khuwab ka ehsaan bhi uthaye nai uth’ta
Kya kahiye k asooda-e-aazaar bohat hain
Har jazba betaab k ehkaam hazaron
Har lamha bekhuwab k israr bohat hain
Palkon talay aa pohnchay na kirno ki tamazat
Ab tak to ada aina bardar bohat hain -
musafir said:Faqt pehlu badlane se,
raafaqt kum nahi hoti,..
Magr phir b na milney ki,
aziyat kum nai hoti,..
Jahan koi bichher jai,
wahin per us ki manzil hai,
Kisi k saath chalney se,
musafat kum nahi hoti,.
Humare dushmano mein,
chahne waale bhi shamil hen,
so hum jis haal mein bhi hon,
Muhbt kum nahi hoti......!
musafir said:Bana ajnabi mera humsafar,,,
Or nazar bacha k guzar gaya,,,,
Main tha raston se bekhabar,,,,
Or usey manzilon ka shaoor tha,,,,
Na theen or koi bhi ranjishain......
Sirf adaton mein tazaad tha......
K usey pasand theen shokhiaan...
Or mujhy saadgi pe guroor tha.......!
musafir said:Noch ker shakon k ten say khusk paton ka libas
zard mosam ki banjh rut ko belibasi dey gya
le gya muhsin wo mujh say aber banta asman
us k badlay main zamin sadion ki payasi dey gaya..
musafir said:Tumharay hath lagay hain to jo kero so kero
wager na tum say to hum so gulam rekhtay thay
yeh or bat humain dosti na raas ayi
hawa thi sath to khusbu maqam rekhtay thay.
musafir said:Faqt pehlu badlane se,
raafaqt kum nahi hoti,..
Magr phir b na milney ki,
aziyat kum nai hoti,..
Jahan koi bichher jai,
wahin per us ki manzil hai,
Kisi k saath chalney se,
musafat kum nahi hoti,.
Humare dushmano mein,
chahne waale bhi shamil hen,
so hum jis haal mein bhi hon,
Muhbt kum nahi hoti......!
musafir said:Dasht me pyas bujhatey huey mar jaty hain,
Hum parindey kahin jatet huey mar jaty hain,
Hum hen sookhey huey talaab pe bethy huey Hans',
Jo taaluq ko nibhaty huey mar jaty hain,
Un k bhi qatal ka ilzaam hmary sir hai,
Jo hamain zeher pilaty huey mar jaty hain,
Yeh muhbt ki kahani nahi marti lekin,
Log kirdar nibhaty huey mar jaty hain,
Hum hain woh toti hoi kashtion waley Bashir',
Jo kinaron ko milaty huey mar jaty hain..........!