aik chez mughay samgh nahin ati loog pak say khush nahin isliay woh bahir sttle hona chatay hein wahan pay koi bhi job manzor hai usk sath ghar ka kam bhi karayngay or ager koi student hai to woh study bhi karayga. wahan sab kuch karlayngay lakin pak mein nahin wahan jak manual work karlayngay lakin pak mein nahin wahan settle hona boht hard work mangta hai jabk pak mein asani say banda set ho sakta hai phir bhi pak say kyion jana hai?
SupidGuy
Age: 125
7691 days old here
Total Posts: 12314
Points: 0
Location:
Hungary, Hungary
MMJA Bhaai.... mere khiaal mai bohat hi kam logoon ki aisi mentality yaa approach hoti hai.... ab success rate kya hai??? yeah tu struggle kar ke hi pata chal sakta hai... ghalt baat nahi hai ke insaan kisi achi jaga jaa kar koshish kare!!! its more difficult than your own homeland!!! but i agree to your point of view!!! to work/struggle in your own country!!! to make it strong & better place for living!!!
waise insaan ki ek sift hi nashukraypann ki bhi hai...
mmja
Age: 125
7195 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
ponit is k wahan manual work karnay mein kuch nahin lakin yahan katrlayngay to sharam say mar jayengay ager koi or karayga to usko bhi tang karayngay aik kam apnay mulik mein bura hai to wahan acha wahan jak sab nay sadar to nahin lag jana na mein manta hon strugle hai kuch loog achay grade nahin latay or na hi hard work ko pasend kartay hein or direct esi job chaye jo unko sab kuch dayday lakin jab yeh nahin milta to khamkha shor machatay hein. meray cuzen nay dubai reh k aik saal without fee kam keyia hai yehi hard work pak mein kyion nahin? mera bhai uk mein study karta hai+job karta hai+ghar k kam karta hai lakin satisfied hai lakin yehi hard work ager woh pak mein hota to kabhi na karta kyion?
sun_shine
Age: 125
7153 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Assalam O Alaikum
*Welcome Back Mr.Mmja InshAllah enjoy your Stay...!
Yaa right For Example Most Afghan log Foreign Countries main rehtay hain is liye kay Afghanistan kay halaat kae salon say buhat kharaab hain Ab woh log unhi Countries main citizens ban chukay hain unki families wahan hain So woh kabhi Afghanistan main wapis aanay ya wapis Rebuilt karnay ka sochaingay bhi nahi.
*Pakistan main Aisa is Liye hain Kyunki mainly jo students wahan ja chukay hain ab se kuch saal pehlay Unho nay wahan study ki,unhain woh jaga pasand aaye isi liye woh udhar hi job karna pasand kartay hain Baat yeh bhi hain kay yahan Rehna thora difficult hain Roz apko struggle karni parti hain Per wahan Facilities thori ziyada hain isi liye ziyada tar log wahan jaana pasand kartay hain.
Rapunzel
Age: 125
7205 days old here
Total Posts: 51848
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
mmja said:
aik chez mughay samgh nahin ati loog pak say khush nahin isliay woh bahir sttle hona chatay hein wahan pay koi bhi job manzor hai usk sath ghar ka kam bhi karayngay or ager koi student hai to woh study bhi karayga. wahan sab kuch karlayngay lakin pak mein nahin wahan jak manual work karlayngay lakin pak mein nahin wahan settle hona boht hard work mangta hai jabk pak mein asani say banda set ho sakta hai phir bhi pak say kyion jana hai?
welcum back MMJA
nice to se u back on the forum lolz reason ka dimagh ki kharabi hum logon ko maza ata hai ghulam ban k apne mulk mein naak oonchi honi chhaiye chahe bahir ja k jitni marzi be-izzati ho
London_Girl
Age: 125
6986 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
LOL!!.. nice topic, MMJA
Pakistan se koi bhi nahi jana chahta!.. hur koi halaat say majboor hoker jana chahta hae!.. kisi ko family ko achi education deni hae to wo pakistan chor ker jata hae... pakistan mae study kelie bhi rishwat deni perti hae.. or aise koi taraqee nahi ker pata... and wahan per kon aisa hae jo apni job se khush hae? wahan study se koi khush nahi.. job se koi kush nahi.. wahan 100% mese bhi koi 20/30% aise log honge to khush-kismat hotey honge.. jinko apni kabiliyat se degrees milti hain.,. apni hi kabiliyat se jobs ya business hotey hain.. baaki 70/80% ki population bhooki roads per so rahi hoti hae.. fir aisa Q hota hae?
going abroad is alot better than living in pakistan!
London_Girl
Age: 125
6986 days old here
Total Posts: 18948
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
javad said:
Pak say jana...... being very honest.. aaj kisi bhi europian country ki imigration open hojai...sab paki logon k liye to...POORA PAKISTAN KHALI HOGAI.
hum log apnay mulk k sath mukhlis nahi hen.
ISHI LIYE ITNI PARESHANIA HEN. Hum khud theek hojain to yehi mulk hamry liye JANAT he.
Lekin agar mujhy b chance mily to me b nahi rukonga.. yehi fact he.
pakistan bohot khoobsurat country hae.. magar wahan ki government bohot burri hae!
pakistan bohot piyara mulk hae, kon chorna chahta hae.. wahan key apne log.. bohot achhay haein dil key.. magar wahan to aik doosrey kay saath hi janwar wala salook hota hae bhai
sun_shine
Age: 125
7153 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Assalam O Alaikum
*yaa Very Right Sab kay Points apni jaga theek hain Yahan Asia Specially pakistan main aapko kafi struggle karni parti hain Jabkay Europe ya America main Bhi kuch mushkilaat aati hain per Itni nahi Jitni yahan hoti hain.
To be honest,Apna Mulk Khushaal Ho tho kaun Ghairon ki ghulami pasand karta hain Log Majborri ki wahan jatay hain...!
mmja
Age: 125
7195 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
apk points valid hein par mein disagree hon. uk,usa mein aik shakis jo study karta hai woh pak say boht mushkil hoti hai lakin ho jati hai part time job bhi hoti hai and thora boht ghar ka kam bhi ho jata hai lakin jab wahi shakis pak mein hota hai to na woh uth k pani peeta hai or na hi job k liay utne mehnat karta hai pak mein sabko direct masharaf lagna hota hai jabk wahan koi bhi job kar laytay hein pak mein bhi problems hein lakin mehnat say boht kuch keyia ja sakta hai yahan pay mostly logon ka dimagh hi kharab hota hai ager ap local level payy daykhay to pak mein kaye loog esay hein jo apni income fair way say icrease kar saktay hein lakin woh us pay aram ko targi daytay hein koi bhi country gerat tab tak nahin hoti jab tak wahan k loog great na ho kisi bhi chez pay tankied karna boht asan hai lakin jab wohi insaan kisi job pay lagta hai to rishwat kyion khata hai?.ager wahan rehna itna hi acha hai to wahan pay jab unk bachay baray hotay hein to unko paki rishta kyion chaye?tab wapis kyion atay hein ager pak itna hi bura hai bahir janay mein ya wahan settle honay say me ko koi problem nahin lakin jo kehtay hai pak mein yeh hai woh hai isliay hum ja rahay hein me ko un say sakhit nafrat hai.

yaa right *Wahan System theek hain Wahan rishwat nahi chalti,Life style sabka aik jaisa hain.wahan aapko Dhoop main kharay ho kar Electricity ya gas bill jama nahi karwana parta wahan aapki kabliyat chalti hain aapka paisa nahi Yahan aik university professor ki pay 3 lakhs bhi ho phir bhi woh rishwat laingay Wahan Agar kisi ko khuda na khwasta kuch ho jaye Govt unki family ko support karti hain Yahan Jeetay jagtay log aapka sab kuch cheen laitay hain Logo ko wahan ka system pasand hain Isi liye wahan jana prefer kartay hain Per As you said Shaadi kay liye Pakistan main rishta dhondhtay hain Kyunki they want a House wife Not a Bussiness partner Wahan ki girls Asian boys kay sath guzara nahi kar paati.
mmja
Age: 125
7195 days old here
Total Posts: 3835
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
unko aikhouse wife hi kyion chaye jabk islam nay to yeh nahi kaha k jo ghar mein hogi woh neek hai or jo job karaygi woh achi nahi ager ap aik modern country mein rehtay ho or apko aik educated larki chaye to apko apni soch ko thora wasee karna parayga kyion aik mard ko perfect larki chaye jabk khud uska apna koi hal na ho.
sun_shine
Age: 125
7153 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
*I think yeh tho ab unki soch pe depend karta hain Woh is liye Pakistan main rishta dhondhtay hain kyunki woh girls House wives hoti hain,jo job kay bajaye Apnay ghar main Apnay bachon ki tarbiyat karti hain Aur I Think house wife apnay Bachon ki tarbiyat behter tareekay se kar sakti hain...!