mmja said:aik chez mughay samgh nahin ati loog pak say khush nahin isliay woh bahir sttle hona chatay hein wahan pay koi bhi job manzor hai usk sath ghar ka kam bhi karayngay or ager koi student hai to woh study bhi karayga.
wahan sab kuch karlayngay lakin pak mein nahin wahan jak manual work karlayngay lakin pak mein nahin wahan settle hona boht hard work mangta hai jabk pak mein asani say banda set ho sakta hai phir bhi pak say kyion jana hai?
javad said:Pak say jana...... being very honest.. aaj kisi bhi europian country ki imigration open hojai...sab paki logon k liye to...POORA PAKISTAN KHALI HOGAI.
hum log apnay mulk k sath mukhlis nahi hen.
ISHI LIYE ITNI PARESHANIA HEN. Hum khud theek hojain to yehi mulk hamry liye JANAT he.
Lekin agar mujhy b chance mily to me b nahi rukonga..
yehi fact he.
javad said:Pak say jana...... being very honest.. aaj kisi bhi europian country ki imigration open hojai...sab paki logon k liye to...POORA PAKISTAN KHALI HOGAI.
hum log apnay mulk k sath mukhlis nahi hen.
ISHI LIYE ITNI PARESHANIA HEN. Hum khud theek hojain to yehi mulk hamry liye JANAT he.
Lekin agar mujhy b chance mily to me b nahi rukonga..
yehi fact he.
mmja said:apk points valid hein par mein disagree hon.
uk,usa mein aik shakis jo study karta hai woh pak say boht mushkil hoti hai lakin ho jati hai part time job bhi hoti hai and thora boht ghar ka kam bhi ho jata hai lakin jab wahi shakis pak mein hota hai to na woh uth k pani peeta hai or na hi job k liay utne mehnat karta hai pak mein sabko direct masharaf lagna hota hai jabk wahan koi bhi job kar laytay hein pak mein bhi problems hein lakin mehnat say boht kuch keyia ja sakta hai yahan pay mostly logon ka dimagh hi kharab hota hai ager ap local level payy daykhay to pak mein kaye loog esay hein jo apni income fair way say icrease kar saktay hein lakin woh us pay aram ko targi daytay hein koi bhi country gerat tab tak nahin hoti jab tak wahan k loog great na ho kisi bhi chez pay tankied karna boht asan hai lakin jab wohi insaan kisi job pay lagta hai to rishwat kyion khata hai?.ager wahan rehna itna hi acha hai to wahan pay jab unk bachay baray hotay hein to unko paki rishta kyion chaye?tab wapis kyion atay hein ager pak itna hi bura hai bahir janay mein ya wahan settle honay say me ko koi problem nahin lakin jo kehtay hai pak mein yeh hai woh hai isliay hum ja rahay hein me ko un say sakhit nafrat hai.