Rapunzel said:Ab aur kya kisi se marasim burha'ein hum
Yeh bhi bohut hai, tujhe bhool ja'ein hum
Sehra-e zindagi mein koyee dosra na tha
Sunte rahe hein aap hi apni sada'ein hum
Iss zindagi mein itni fraghat kise naseeb
Itna na yaad aa ke tujhe bhool ja'ein hum
Tu itni dil zada tau na thi ai shub-e firaq
Aa tere raaste mein sitare lota'ein hum
Woh log ab kahan hein jo kehte they kal 'faraz'
Heh heh khuda na karda tujhe bhi rula'ein hum
musafir said:Barsoun ke baad dekha ik shaKhs dil ruba sa ,
ab zahan main nahain hai par naam tha bhala sa
abaru khienche khinche se ankhain jhuki jhuki se,
baatain ruki ruki se lahaja thaka thaka sa
alfaaz the ke jugnu awaz ke safar main,
ban jaye jangaloun main jis tarah raastaa saa
Khwaabon main Khwaab us ke yaadoun main yaad us ki,
nendoun main ghul gaya ho jaise ke rat jagaa saa
pahale bhi log aaye kitane hi zindagii main
wo har tarah se lekin auroun se thaa judaa saa
agalii muhabaton nay wo naa_muradiyaaun dein
taazaa rafaaqatoun se dil thaa Daraa Daraa saa ,
kuchh ye ke muddatoun se ham bhi nahain the roye
kuchh zahar main bujhaa tha ahabaab kaa dilaasaa
phir youn howa ke saavan ankhoun main aa base the
phir youn howa ke jaise dil bhi thaa aabalaa saa
ab sach kahein to yaaro ham ko Khabar nahain thi
ban jayegaa qayaamat ek waaqia zaraa saa
tevar the beruKhi ke andaaz dosti ke ,,
wo ajanabi tha lekin lagataa thaa aashnaa saa
ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
naahaq tha zonum ham ko jab wo nahain tha pyaasaa
ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan ,,
apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa ..!