Baluchistan

2723 views 52 replies
Reply to Topic
Rapunzel

Age: 124
Total Posts: 51848
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
Posted 29 Oct 2008

SupidGuy says

Inna Lillahe Wainna Elaihi Rajioon!!!




ALLAH (SWT) ham sab ko apne Hifz-O-Amaan mai rakhe!!! Ameen Sum Ameen!!!

Posted 29 Oct 2008

~CHANDNI~ says
Inna Lillahe Wainna Elaihi Rajioon!!!

Posted 29 Oct 2008

Rapunzel says
ajeeb halaat hain
Posted 29 Oct 2008

Asian says
abhi bbc ke breakfast news per khabir ayie thi

ALLAH uko ko bakshay aur unko ke kabroon meai noor layaya ameen
Posted 29 Oct 2008

sweetie says
yeah heard on news today
very sad
Posted 30 Oct 2008

tehzeeb says
innah lilahi..............
allh hum sab par rehem farmaye ameen
Posted 01 Nov 2008

Rapunzel says
ameen koi kaam nhi kiya gya hamara bhooka president pohanch gya hai imdad lene saudi arab
Posted 04 Nov 2008


pehlay Govt walay daway kar rahay thay keh ham imdad nahi lain gay... us waqt china aur pata nahi kon kon sai mulk nay offer ki thi...

HUNHHHHHHHHHHHh... BHIKARI
Posted 10 Nov 2008

Rapunzel says
bikhari nhi hain ye zaleel tareen loog hain ghatiya
Posted 10 Nov 2008


Zaleel aur ghatiya logon sai achai sar-zad ho jati hai kabhi kabhi...
Posted 13 Nov 2008

Rapunzel says
phr in se kion nhi hoti
Posted 13 Nov 2008


kyoun k yeh zaleel aur ghatiya nahi hai...
yeh to is sai bhi barh kar hain...
Posted 14 Nov 2008

Rapunzel says
Rehan M Din said:


kyoun k yeh zaleel aur ghatiya nahi hai...
yeh to is sai bhi barh kar hain...



Ab bach k rahna mein ye post parhati hun Zardari ko
Posted 14 Nov 2008


us ko koi farq nahi parta...

woh is asool ko manta hai keh "Badnaam hon gay to kya naam na ho ga"
Posted 14 Nov 2008

Rapunzel says
Posted 14 Nov 2008


tusi kyoun hansing...
Posted 14 Nov 2008

Rapunzel says
Ap ne bohat maze ka asool bataya hai
Posted 15 Nov 2008

madgirl says
i went to baluchistan after 1st major quake
n i experienced about more 50 minor earth quakes,though our home there ,is very well constructed but still we used to sleep out side in our lawn......but ALHAMDULILLAH no destruction in our village though the quakes were so dangerous but thanks to ALLAH people were safe
Posted 16 Nov 2008

sun_shine says
Assalam O Alaikum

*Allah swt unki maghfarat farmaye Ameen
I Think 300 se ziyada Logo ki death hue and 500 se ziyada Log injured huay

Ab wahan pe sardi bhi buhat ziyada hain
Allah swt unki madad Farmaye Ameen...!
Posted 17 Nov 2008


Allah Taala sab ki madad farmae... Ameen
Posted 18 Nov 2008

Rapunzel says
Sumameen
Posted 18 Nov 2008


Wat is latest?
Posted 22 Nov 2008

Rapunzel says
nothing
Posted 22 Nov 2008

javad says
Posted 22 Nov 2008

Rapunzel says
ya hua?
Posted 22 Nov 2008


koi news nahi...

Balochistan walo... kahan ho...
Posted 24 Nov 2008

sun_shine says
Assalam O Alaikum

*Ziarat aur mulhiqa Elako main After shocks ka silsila jaari hain
Ziarat main almost tamam Education centers Tabaah ho chukay hain
Govt ne is baat ki yakeen dahani karwai hain kay New taleemi saal kay aghaaz se kabal Tamam taleemi Idaro ko az sar e No tameer kiya jaega
is kay Ilawa Exams diye baghair tamam Students ko next Class main bhej diya jaye ga InshAllah

*Good news for those students Jinhay Exams Achay nahi lagtay Lol...!
Posted 26 Nov 2008


Govt. ka yeh dawa bhi dekh letay hain...

abhi tak Kashmir k halat to behtar howay nahi... jahan itni imdad ai thi...
yahan per to phir halat different hain...
Posted 28 Nov 2008

sun_shine says
Assalam O Alaikum

*Govt ka is daway ka bhi wohi haal hoga
Jo baki Dawo ka hua hain...

Yaa Right
balochistan kay Liye bhi Buhat Imdaad ae
Magar iski Takseem buhat ghalat ki gae
As a Person with very limited knowledge
i can give better ideas to Govt rather than these other
Assembly members etc

Poray Area ki population ki calculation kar kay
Imdaad ko us kay Mutabik takseem kartay
Aik ilakay ko 10 parts main divide kartay
aur har part kay Liye Muntazimeen mukarrar kartay...!

Allah swt unki Madad farmaye Ameen...!
Posted 28 Nov 2008


Yeh ideas assembly members nahi detay balkeh Ministers kay apnay hotay hain ya phir un logon kay jo in ko chala rahay hotay hain...


Jab tak check and balance nahi ho ga tab tak takseem theek nahi ho sakti... chahay 10 parts mai divide kar dain aik hi rehnay dain....


Posted 29 Nov 2008

Reply to Topic