Aaj Ki Baat

9282 views 65 replies
Reply to Topic
Shahrukh Khan

Age: 125
Total Posts: 43596
Points: 0

Location:
Netherlands, Netherlands
New topic from my side..is topic main hum har roz aik achi baat kariengey jisse humey faida ho,,,hadees bhi ho sakti hai aur baat jo aapke ilm main ho..Kalse hum shuru kariengey..there was a program on geo during ramadan "AAJ KI BAAT" usko dekh kar yeh topic banaya...so guyz keep posting here 1 achi baat everyday
Posted 23 Nov 2008

sun_shine says
Assalam O Alaikum


*A Beautiful Topic Brother

Aaj Ki baat From My Side

*Hamain Har haal hain Allah swt ka Shukar ada karna chahiye
Chahay Khushi ho ya Ghum
Mostly Hum Museebat kay wakt Allah swt se faryaad kartay hain magar jab Khushi ka Mauka aata hain
Hum Sab kuch bhool kar Apni Enjoyement Main lag jatay hain
To be Honest ,I am like this
But Now i've learned that Kay Khushi kay maukay pe bhi hamain Allah swt ko yaad karna chahiye
Coz Khushi denay walay Bhi Tho Allah swt hain

*Always Say
        'Alhamdulilah Thank You Allah swt For everything'

Posted 26 Nov 2008

walekum salaam..thats true,,har haal main shukar ada karna chahiyey khush hoon ya pareshan..
Posted 27 Nov 2008

Aaj Ki Baat

Well is daur main hum bhool gayee hain kya sahi hai aur kya galat..apne muslim bhai ko marne par tuley huay hain..halaanke jahan muslims par zulm ho raha hai wohan par muslims nahi dekhtey..muslims should stick together..bhai chara tu hai hi nahi..how will ALLAH help us jab muslims saath nahi hain?? muslims should wake up warna phir koi mauqa nahi milega..ALLAH sab ko naik hidayat dey ameen
Posted 27 Nov 2008

sun_shine says
Shahrukh Khan said:

Aaj Ki Baat

Well is daur main hum bhool gayee hain kya sahi hai aur kya galat..apne muslim bhai ko marne par tuley huay hain..halaanke jahan muslims par zulm ho raha hai wohan par muslims nahi dekhtey..muslims should stick together..bhai chara tu hai hi nahi..how will ALLAH help us jab muslims saath nahi hain?? muslims should wake up warna phir koi mauqa nahi milega..ALLAH sab ko naik hidayat dey ameen




Assalam O Alaikum

*Very Right
United we Stand,Divided We fall
Definately Hamain United hona hoga
If we want to get the Glory of our past...!
Posted 28 Nov 2008

sun_shine says
Aaj Ki Baat

*Always Give Respect to Others..

we should always Respect others
Ikhtilaf e rai har jaga hota hain
dont loose ur temper by saying any bad word to any one
Respect kay badlay Apko Bhi Respect zaroor milaygi InshAllah...!
Posted 28 Nov 2008

right Izzat bohat important cheez hai...izzat do aur Izaat lo
Posted 30 Nov 2008

Aaj ki Baat

Honesty is the best policy!!

sach bolna humarey liye mushkil ho gaya hai aur hum jhoot itni asani sey bool jatey hain,,,humey aik doosrey ke saath honest hona chahiyey..woh kehtey hain key aik jhoot bolney ke liye so jhoot bolney partey hain..so kyun na hum jhoot bolne sey gureez karien taakey hum so jhoot na bolna parien..So Be Honest to each other
Posted 30 Nov 2008

sun_shine says
Assalam O Alaikum

*very Right
hamesha Honest hona chahiye....!
Some lines from an Islamic Nasheed

So Whatever You do
Make sure Your words are true
Honesty is the Best
B'coz Life is a Test
Even if it hurts so Much you want to Cry
For the Heart of a Muslim does'nt lie...!
Posted 01 Dec 2008

sun_shine says
Aaj Ki Baat

*Islam Is Stronger than Color

All Muslims are Equal
the best is the one who is the best in their deeds
We All Ummah is a like a body
agar aik part main dard hota hain tho poori body iska dard feel karti hain
we should'nt say i am An Afghan or I am a pakistani or Indian
We should be Proud of our identity that we are MUSLIMS Alhamdulilah...!
Posted 01 Dec 2008

~CHANDNI~ says
Shahrukh Khan said:

New topic from my side..is topic main hum har roz aik achi baat kariengey jisse humey faida ho,,,hadees bhi ho sakti hai aur baat jo aapke ilm main ho..Kalse hum shuru kariengey..there was a program on geo during ramadan "AAJ KI BAAT" usko dekh kar yeh topic banaya...so guyz keep posting here 1 achi baat everyday



NIce Topic
Posted 03 Dec 2008

sun_shine says

Walikum Salaam

*Be Kind To Your parents

Volume 8, Book 73, Number 2:
Narrated Abu Huraira:

A man came to Allah's Apostle and said, "O Allah's Apostle! Who is more entitled to be treated with the best companionship by me?" The Prophet said, "Your mother." The man said. "Who is next?" The Prophet said, "Your mother." The man further said, "Who is next?" The Prophet said, "Your mother." The man asked for the fourth time, "Who is next?" The Prophet said, "Your father. "


I Think this Hadith Mubarak says the whole story
Apnay parents kay saath hamesha Acha kejeye
Coz Woh Apki jannat hain...!
Allah swt Hum sabko yeh toufeeq ata farmaye kay Apnay parents se Acha salook karay aur hamain Unki Khidmat ka mauka Ata farmaye Ameen...!





Posted 04 Dec 2008

Aaj ki baat

hum jis baat par amal kartey hain wohi doosron ko bhi kahein..par kuch log khud nahi amal kartey aur doosron ko kehtey hain,,jese key koi admi khud galat kaam karta ho aur doosron ko kehta phirey key aisey kaam kyun kartey halaankey woh khud karta hai..ALLAH sey daroo beshak woh sab kuch janta hai
Posted 05 Dec 2008

sun_shine says
Assalam O Alaikum

*Right Mr.Khan Bro

Aaj Ki Baat:

Eid Ul Azha Mubarak To All the Muslims Al Over the World
May Allah swt accept our good deeds and Forgive us
May Allah swt Shower His Blessings Upon All the Muslimeen,Ameen...!
Posted 08 Dec 2008

khair mubarak and ameen

Aaj Ki Baat

We are all muslims..Islam saudia arabie main shuru hua..aur hum hajj aur umrah saudia main kartey hain..phir hum ramzan kyun apni dates ke mutaqib shuru kartey hain? aur eid kyun apni dates ke mutabiq manatey hain..why cant we all follow Saudia?? I wish sab muslims saath Ramzan saath shuru karien aur saath Eid manayein..ALLAH sabko hidayat dey ameen
Posted 10 Dec 2008

sun_shine says

Assalam O Alaikum

*Thank You
I cant say anything about this
Coz I really dont know about this issue
Ameen for the Dua

*Aaj Ki baat

Zinda rehnay k liye Sirf Air ,food or money ki zaroorat nahi hoti
Zinda rehnay k liye Hoslay Ki bhi zaroorat hoti hain jo achi aur positive baaton se aata hain
So Kisi achay kaam main dosro ka hosla zaroor barhaye....!
Posted 10 Dec 2008

Aaj Ki Baat

Posted 12 Dec 2008

Rapunzel says
Waalaikum Assalam

very nice topic Sk & Ss

Jazak-Allah very nice sayings and sharing.
Posted 12 Dec 2008

dont just praise abt topic also participate thanx
Posted 12 Dec 2008

Rapunzel says
ook

Aaj ki baat
Dosron k baray mein ghalt guman mat rakho kion k bad-gumani gunah hai
Posted 14 Dec 2008

sun_shine says
Assalam O Alaikum

*Very Right jee
bad Gumaani Gunah hain

*AAj Ki Baat

"Mention Allah swt's name ,eat with Your Right hand and eat what is Nearest to you---Bukhari,Muslim"

hamain hamesha islam ko follow karnay ki koshish karni chahiye
waisay Hi hamain wo kaam karna hota hain
tho kyun na woh Quran o Sunnah k tareekay se kiya jaye
inhi choti choti baaton pe amal karnay se sawaab bhi milta hain Aur Imaan bhi strong hota hain...!
Posted 15 Dec 2008

Rapunzel says
Waaaikum Assalam Very nice jee

Aaj ki baat

Khane k darmayan bolna nhi chahiye aur khana khatm karte waqt Alhamdulillah zarur kahna chahiye aur hath zarur dhone chahiye
Posted 15 Dec 2008

sun_shine says
*Sure InshAllah

Posted 16 Dec 2008

Rapunzel says
Aaj ki baat

Subah jaldi uthna chahiye aur raat ko jaldi sona chahiye werna halaat kahrab ho sakte hain
Posted 16 Dec 2008

sun_shine says
Assalam O Alaikum

*Very Righ dear friend
Is k kaafi faiday hain...!

Aaj Ki Baat:

Kabhi Bhi kisi ka Mazaak nahi urana chaiye
Chahay woh insaan jaisa Bhi ho
usko sab k samnay Bura mat kahiye
Akelay main unko samjhaeye
Hazrat Ali (R A) ka Irshaad hain
(Allah swt maafi farmaye agar koi kami beshi hue ho)

'Agar tum ne akelay main kisi ki islaah karni chahi tho Tum ne usay bana diya
Aur agar tum ne sab k samnay Kisi ki islaah karni chahi tho Tum ne usay Bighaar diya'
Posted 18 Dec 2008

Rapunzel says
Waalaikum Assalam'

Yeah thnx dear,Aur ye qool mein ne bi suna hua hai Jazak Allah
Posted 20 Dec 2008

sun_shine says

Yaa Right

*Aaj Ki Baat

Apni namazo ka Khaas khayal rakhna Chahiye
coz Namaaz hi Muslim aur Kafir k beech Ka fark hain
Mostly i miss My Fajar prayer
Allah swt se dua hain K woh hamain taufeek ata farmaye k Hum Namaaz k Paband ban jaye Ameen...!
Posted 21 Dec 2008

Aaj Ki Baat

main aksar sunta hoon log kehtey hain doosrey kya socheingey,,doosre kya kaheingey..we are dependent on others..jab ke agar humey pata hai aur khuda ko pata ho key hum galat nahi tu humey logoon ki fikar nahi karni chahiyey
Posted 22 Dec 2008

Rapunzel says
Jazak-Allah

Aj ki baat
smoking nhi karni chahiye apne sath sath dosron ki bi shamat
Posted 23 Dec 2008

Rapunzel says
Jazak-Allah

Aj ki baat
smoking nhi karni chahiye apne sath sath dosron ki bi shamat
Posted 23 Dec 2008

maine kahien parha tha key jo agar koi smoke karey aur non smoker uske aas paas ho tu zyada bemari non smoker ko lagegi
Posted 23 Dec 2008

Reply to Topic