New topic from my side..is topic main hum har roz aik achi baat kariengey jisse humey faida ho,,,hadees bhi ho sakti hai aur baat jo aapke ilm main ho..Kalse hum shuru kariengey..there was a program on geo during ramadan "AAJ KI BAAT" usko dekh kar yeh topic banaya...so guyz keep posting here 1 achi baat everyday
Age: 124
7015 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Assalam O Alaikum
*A Beautiful Topic Brother
Aaj Ki baat From My Side
*Hamain Har haal hain Allah swt ka Shukar ada karna chahiye Chahay Khushi ho ya Ghum Mostly Hum Museebat kay wakt Allah swt se faryaad kartay hain magar jab Khushi ka Mauka aata hain Hum Sab kuch bhool kar Apni Enjoyement Main lag jatay hain To be Honest ,I am like this But Now i've learned that Kay Khushi kay maukay pe bhi hamain Allah swt ko yaad karna chahiye Coz Khushi denay walay Bhi Tho Allah swt hain
*Always Say 'Alhamdulilah Thank You Allah swt For everything'
Age: 124
7864 days old here
Total Posts: 43596
Points: 0
Location:
Netherlands, Netherlands
Aaj Ki Baat
Well is daur main hum bhool gayee hain kya sahi hai aur kya galat..apne muslim bhai ko marne par tuley huay hain..halaanke jahan muslims par zulm ho raha hai wohan par muslims nahi dekhtey..muslims should stick together..bhai chara tu hai hi nahi..how will ALLAH help us jab muslims saath nahi hain?? muslims should wake up warna phir koi mauqa nahi milega..ALLAH sab ko naik hidayat dey ameen
Age: 124
7015 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Shahrukh Khan said:
Aaj Ki Baat
Well is daur main hum bhool gayee hain kya sahi hai aur kya galat..apne muslim bhai ko marne par tuley huay hain..halaanke jahan muslims par zulm ho raha hai wohan par muslims nahi dekhtey..muslims should stick together..bhai chara tu hai hi nahi..how will ALLAH help us jab muslims saath nahi hain?? muslims should wake up warna phir koi mauqa nahi milega..ALLAH sab ko naik hidayat dey ameen
Assalam O Alaikum
*Very Right United we Stand,Divided We fall Definately Hamain United hona hoga If we want to get the Glory of our past...!
Age: 124
7015 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Aaj Ki Baat
*Always Give Respect to Others..
we should always Respect others Ikhtilaf e rai har jaga hota hain dont loose ur temper by saying any bad word to any one Respect kay badlay Apko Bhi Respect zaroor milaygi InshAllah...!
Age: 124
7864 days old here
Total Posts: 43596
Points: 0
Location:
Netherlands, Netherlands
Aaj ki Baat
Honesty is the best policy!!
sach bolna humarey liye mushkil ho gaya hai aur hum jhoot itni asani sey bool jatey hain,,,humey aik doosrey ke saath honest hona chahiyey..woh kehtey hain key aik jhoot bolney ke liye so jhoot bolney partey hain..so kyun na hum jhoot bolne sey gureez karien taakey hum so jhoot na bolna parien..So Be Honest to each other
Age: 124
7015 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Assalam O Alaikum
*very Right hamesha Honest hona chahiye....! Some lines from an Islamic Nasheed
So Whatever You do Make sure Your words are true Honesty is the Best B'coz Life is a Test Even if it hurts so Much you want to Cry For the Heart of a Muslim does'nt lie...!
Age: 124
7015 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Aaj Ki Baat
*Islam Is Stronger than Color
All Muslims are Equal the best is the one who is the best in their deeds We All Ummah is a like a body agar aik part main dard hota hain tho poori body iska dard feel karti hain we should'nt say i am An Afghan or I am a pakistani or Indian We should be Proud of our identity that we are MUSLIMS Alhamdulilah...!
Age: 124
7846 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Shahrukh Khan said:
New topic from my side..is topic main hum har roz aik achi baat kariengey jisse humey faida ho,,,hadees bhi ho sakti hai aur baat jo aapke ilm main ho..Kalse hum shuru kariengey..there was a program on geo during ramadan "AAJ KI BAAT" usko dekh kar yeh topic banaya...so guyz keep posting here 1 achi baat everyday
Age: 124
7015 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Walikum Salaam
*Be Kind To Your parents
Volume 8, Book 73, Number 2: Narrated Abu Huraira:
A man came to Allah's Apostle and said, "O Allah's Apostle! Who is more entitled to be treated with the best companionship by me?" The Prophet said, "Your mother." The man said. "Who is next?" The Prophet said, "Your mother." The man further said, "Who is next?" The Prophet said, "Your mother." The man asked for the fourth time, "Who is next?" The Prophet said, "Your father. "
I Think this Hadith Mubarak says the whole story Apnay parents kay saath hamesha Acha kejeye Coz Woh Apki jannat hain...! Allah swt Hum sabko yeh toufeeq ata farmaye kay Apnay parents se Acha salook karay aur hamain Unki Khidmat ka mauka Ata farmaye Ameen...!
Age: 124
7864 days old here
Total Posts: 43596
Points: 0
Location:
Netherlands, Netherlands
Aaj ki baat
hum jis baat par amal kartey hain wohi doosron ko bhi kahein..par kuch log khud nahi amal kartey aur doosron ko kehtey hain,,jese key koi admi khud galat kaam karta ho aur doosron ko kehta phirey key aisey kaam kyun kartey halaankey woh khud karta hai..ALLAH sey daroo beshak woh sab kuch janta hai
Age: 124
7015 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Assalam O Alaikum
*Right Mr.Khan Bro
Aaj Ki Baat:
Eid Ul Azha Mubarak To All the Muslims Al Over the World May Allah swt accept our good deeds and Forgive us May Allah swt Shower His Blessings Upon All the Muslimeen,Ameen...!
Age: 124
7015 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Assalam O Alaikum
*Thank You I cant say anything about this Coz I really dont know about this issue Ameen for the Dua
*Aaj Ki baat
Zinda rehnay k liye Sirf Air ,food or money ki zaroorat nahi hoti Zinda rehnay k liye Hoslay Ki bhi zaroorat hoti hain jo achi aur positive baaton se aata hain So Kisi achay kaam main dosro ka hosla zaroor barhaye....!
Age: 124
7015 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Assalam O Alaikum
*Very Right jee bad Gumaani Gunah hain
*AAj Ki Baat
"Mention Allah swt's name ,eat with Your Right hand and eat what is Nearest to you---Bukhari,Muslim"
hamain hamesha islam ko follow karnay ki koshish karni chahiye waisay Hi hamain wo kaam karna hota hain tho kyun na woh Quran o Sunnah k tareekay se kiya jaye inhi choti choti baaton pe amal karnay se sawaab bhi milta hain Aur Imaan bhi strong hota hain...!
Age: 124
7015 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Assalam O Alaikum
*Very Righ dear friend Is k kaafi faiday hain...!
Aaj Ki Baat:
Kabhi Bhi kisi ka Mazaak nahi urana chaiye Chahay woh insaan jaisa Bhi ho usko sab k samnay Bura mat kahiye Akelay main unko samjhaeye Hazrat Ali (R A) ka Irshaad hain (Allah swt maafi farmaye agar koi kami beshi hue ho)
'Agar tum ne akelay main kisi ki islaah karni chahi tho Tum ne usay bana diya Aur agar tum ne sab k samnay Kisi ki islaah karni chahi tho Tum ne usay Bighaar diya'
Age: 124
7015 days old here
Total Posts: 13494
Points: 0
Location:
Afghanistan, Afghanistan
Yaa Right
*Aaj Ki Baat
Apni namazo ka Khaas khayal rakhna Chahiye coz Namaaz hi Muslim aur Kafir k beech Ka fark hain Mostly i miss My Fajar prayer Allah swt se dua hain K woh hamain taufeek ata farmaye k Hum Namaaz k Paband ban jaye Ameen...!
Age: 124
7864 days old here
Total Posts: 43596
Points: 0
Location:
Netherlands, Netherlands
Aaj Ki Baat
main aksar sunta hoon log kehtey hain doosrey kya socheingey,,doosre kya kaheingey..we are dependent on others..jab ke agar humey pata hai aur khuda ko pata ho key hum galat nahi tu humey logoon ki fikar nahi karni chahiyey