judaii judaii

1895 views 27 replies
Reply to Topic
$$dreams

Age: 124
Total Posts: 105
Points: 0

Location:
United States, United States
hello eveyone i want to ask tht kya door ho jane se door rehne se pyaar barta hai ya khatam ho jata hai
Posted 10 Dec 2003

~Fragi~ says
piyaar bharta hai ,,,

bilcul bherta hai

per apka yeh topic yahan intro mein kiya kar raha hai

mein is ko iski sahi jagah per phonchata hooon
Posted 10 Dec 2003

bewitching says
mujhe lagte hai ke door jaane se pyar zada barjata
hai....kiyunke tab bechani barjati hai aur sara din
hum unhe miss karte hain.....

im new here by the way......
Posted 10 Dec 2003

MrDeath says
welcome both
Posted 10 Dec 2003

barhata to hai lakin doori ka duration barh jai tou kabhi kabhi khatam bhi ho jata hai
Posted 10 Dec 2003

~Fragi~ says
yeah sahi kaha ...

per chooti mooti doori se to piyaar bherta ai
Posted 10 Dec 2003

sandalina says
ager pyar sacha ho to kisi bhi tarah bharta hi hai khatam nahin hota han dil main jazbaat sache hone chahiyain bas pyar bharta hai aur ager dil main hi jhut ho to chahe kareeb rahain pyar khatam ho jata hai.
Posted 10 Dec 2003

slik chik says
i tinkit depends on the individuals intentions,as to how they r gona go about it. during ur separation, u might be physically involved with sumone else but that does not necessarily mean u dont love the other person. alot of ppl confuse physical attraction and love.
i mean, i get physically attracted to alot of guys but that dont mean i love every single one of them, or by being attracted to them, im cheating on da guy i luv, becuz these r physical wants n desires, hormones n stuff, they play these tricks in ur body n it aint always possible to overlook them.
sum of u guys might tink i have a very harsh way of lookin at love n all, but time to have a reality check ppl, its real life, we dont live in bollywood movies!
Posted 10 Dec 2003

sacha pyar wowwwwww very rare these days yaar i guess ap duur raho ya paaas pyaar ka qaim rehna zaida zarori hai na ke barhna ya kam hona
Posted 10 Dec 2003

$$dreams says
sandalina said:

ager pyar sacha ho to kisi bhi tarah bharta hi hai khatam nahin hota han dil main jazbaat sache hone chahiyain bas pyar bharta hai aur ager dil main hi jhut ho to chahe kareeb rahain pyar khatam ho jata hai.

i agree ki jazbaat sache hone chahiye lekin kai baar esa bhi hota hai ki door ho jane se juda ho jane par jab koi aur aaa jaye zindagi mein toh aapke jazbaat bhi badal sakte hai kuch pal ke liye aap behak bhi sakte hai
Posted 11 Dec 2003

~Fragi~ says
$$dreams said:

yeah sahi kaha jenny

waqai aisa bhi hota hai

per ya know

apka kontrol nahi hota aisey events per

ya cant stop da otha person to enter in yer life

jo hona hota hai woh ho jata hai
Posted 11 Dec 2003

$$dreams says
ffm said:

$$dreams said:

sandalina said:

ager pyar sacha ho to kisi bhi tarah bharta hi hai khatam nahin hota han dil main jazbaat sache hone chahiyain bas pyar bharta hai aur ager dil main hi jhut ho to chahe kareeb rahain pyar khatam ho jata hai.

i agree ki jazbaat sache hone chahiye lekin kai baar esa bhi hota hai ki door ho jane se juda ho jane par jab koi aur aaa jaye zindagi mein toh aapke jazbaat bhi badal sakte hai kuch pal ke liye aap behak bhi sakte hai

<font color="red"> yeah sahi kaha jenny

waqai aisa bhi hota hai

per ya know

apka kontrol nahi hota aisey events per

ya cant stop da otha person to enter in yer life

jo hona hota hai woh ho jata hai
sahi kaha ki hamara control nahi hota ese events par lekin jab koi doosra hamari life mein aa jata hai tab kabhi kabhi esa lagat hai ki yeh sirf attraction hai aur sacha pyaar toh woh tha jo hum peeche chod aaye jisse hum door ho gaye hai tab hume kya karna cahiye us sache pyaar se pyaar karna chahiye ya phir is doosre insaan se
Posted 12 Dec 2003

~Fragi~ says
per kia woh jo dosra aata hai woh kuch nahi hota

hum us sey Ghantttton batein kartey hain

us ko apna mantey hain

kiya fir bhi

woh hamara nahi hota
Posted 12 Dec 2003

sandalina says
per insaan ko appne jazbat per kaboo rakhna chahiye pyar eik bar kerna chahiye na ke hazaar bar mohabbet jaise khubsurat jazbe ko badnam nahin kerna chahiye bas eik bar mohabbet karo aur paki aur pure life k liye na ke hazaar bar.

Am i right???

Posted 13 Dec 2003

rite

per jab ager ho jaye to kiya karien
tell tell

Posted 13 Dec 2003

$$dreams says
sandalina said:

per insaan ko appne jazbat per kaboo rakhna chahiye pyar eik bar kerna chahiye na ke hazaar bar mohabbet jaise khubsurat jazbe ko badnam nahin kerna chahiye bas eik bar mohabbet karo aur paki aur pure life k liye na ke hazaar bar.

Am i right???

wht u wrote is 100% rght pyaar ek hi baar karna chahiye aur agar hum us kisi wajah se us pyaar se door ho jaye toh hume yeh koshish karni chahiye ki kaise hum hamare pyaar ke zyada se zyada kareeb rahe kaise hamare rishte ko aur mazboot banaye aur kisi doosre insaaan ko hamare pyaar ke beech aane ki jagah hi na de tabhi hum hamare pyaar ko nibha sakte hai aur sache dil se pyaar kar bhi sakte hai hena
Posted 14 Dec 2003

right?
Posted 15 Dec 2003

shamikool says
I do not think pyar bartha hai ya kam hota door janay sai..

I think if you beleive in your love and trust, then it would not be matter, if it is far and near.

As long as it is in your heart and nothing is closer than your heart, so no matter how far your love is it is still in your heart(soul).

LOVE OF TWO SOULS CAN NEVER BE FAR APART BECAUSE SOULS ARE NOT AFFECTED BY DISTANCE.

Thanks Allah Hafiz.

shamikool37970.3220138889
Posted 15 Dec 2003

sandalina says
Mohabbet kerna kisi ko nahin ata bas kuch loog mohabbet buhat ache andaaz men kerte hain aur age se wafa nahe milti aur kuch loog bewafai kerte hen aur un ko mohabbet hi mohabbet milti hai per yeh to kismat ki baat hai kis ko nafrat mile kis ko mohabbet.

sahi kaha woh bohot khushnaseeb log hote hai jinhe mohabbat bhi milti hai aur wafa bhi milti hai lekin ese bhi bohot kam log hai jinhe sachi mohabbat aur wafa milti hai aur woh bhi wafa kar paate hai kyoki aaj kal toh wafa bas kuch logo ke naseeb mein hi hoti hai aur kuch log wafa milne par bhi uski kadar nahi kar paate.lekin apni toh yahi dua hai ki jinka pyaar sacha hai unhe hamesha wafa hi mile aur woh kabhi juda na ho
Posted 16 Dec 2003

$$dreams says
shamikool said:

I do not think pyar bartha hai ya kam hota door janay sai..

I think if you beleive in your love and trust, then it would not be matter, if it is far and near.

As long as it is in your heart and nothing is closer than your heart, so no matter how far your love is it is still in your heart(soul).

LOVE OF TWO SOULS CAN NEVER BE FAR APART BECAUSE SOULS ARE NOT AFFECTED BY DISTANCE.

Thanks Allah Hafiz.

i agree ki souls r not affected by distance lekin jab do pyaar karne wale juda ho jate hai woh jante hai ki they love each other unke beech mein trust bhi hai lekin agar ek apne pyaar ka izhaar karta rahe baar baar apni feelings express karta rahe aur doosra apni feelings express na kar paaye apne pyaar ko jata nahi paaye toh iska kya matlab hai,kya woh sach much express nahi kar paata wht he or she feels ya phir door hi jaane uske liye is pyaar ki ehmiyat kam ho gayee hai ya phir thr is sumone else in his or her life iska kya matlab mikala jaaye???????????????????
Posted 16 Dec 2003

sandalina says
ke us ka pyar sacha tha hi nahe ruh se buhat kam loog pyar kerte hain jo kerte hain woh pyar ki ehmiyat b jante hen aur pyar nibhana b jante hen, ruh ka pyar sach much sacha hota hai per afsos aj kal k zamane men kui ruh se pyar kerta hi nahe.
Posted 16 Dec 2003

Bijli says
right sand
Posted 17 Dec 2003

sandalina says
isse zayada jawab nahin tha mila???
Posted 18 Dec 2003

hey!Sandalina
u explained very well...how cum??got any experince!!
Posted 21 Dec 2003

sandalina says
yes
Posted 22 Dec 2003

$$dreams says
sandalina said:

ke us ka pyar sacha tha hi nahe ruh se buhat kam loog pyar kerte hain jo kerte hain woh pyar ki ehmiyat b jante hen aur pyar nibhana b jante hen, ruh ka pyar sach much sacha hota hai per afsos aj kal k zamane men kui ruh se pyar kerta hi nahe.

koi baat nahi sand agar koi hum se itna toot ke pyar na kare jitna hum usse lekin kam se kam hume itni tasli toh hoti hai ki humne sacha pyaar kiya hai kisi se.aur waise bhi kaha jata hai ki just give love don't exect anything in return.sabke pyaar karne ka tareeka alag hota hai lekin iska matlab yeh toh nahi ki hum sacha pyaar karna chod de aur jo hume chod kar chale gaye hai unka intazaar karna chod de.so cheer up frnd.
Posted 24 Dec 2003

$$dreams says
hamara intazaar hamara sacha pyaar kabhi na kabhi toh rang layega yeh judaii ka mausam kahi toh mila ke mausam mein badlea .
Posted 27 Dec 2003

Reply to Topic
Copyright ©2024 Janubaba.com - All Rights Reserved.- .013