Age: 124
7853 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Yeh mard-e-maidan ajal ka hakim hakeem mutlak sipa gari ka Tamam alam mein ajj sika rawan hai iss ki dilawari ka Yeh ism-e-azam jo lab pe aae to dil dharakta hai har jari ka Yehi sikhata hai gur sabhi ko sikandari ka qalandari ka Yeh anbiya ka azeem nasir,yeh mera waris mera wali hai Hai iss ki pehchan tughe pe wajib yeh murtuza hai yehi ali hai
Yeh mehwar-e-haq yeh kul-e-emaan ka taj sar per sajane wala Yeh maut ki shab saja ke bister sakoon se muskurane wala Yeh dushmanon ke tamam hamlon se anbiya ko bachane wala Yeh kirdgar azal ke bandon ko jaam-e-kausar pilane wala Isse ke lakht-e-jigar ke ahad ki qasam sunwarte hain Yehi hai jis ko azal se mushkil mein anbiya sab pukarte hain
Yehi hai badr-o-uhad ka faith wajoob khaibar kusha yehi hai Muhafiz-e-din-e-admiat biradar mustufa yehi hai Jo bandage ko bhi dawari de woh sahib hal ata yehi hai Kare jo katil ko sher-o-sharbat ata woh behr-e-sakha yehi hai Issi ki aik zarb pe nichawar karoonga mein do jahan ke sajde Ke janta hoon joy eh na ho to kahan ka kibla kahan ke sajde
Yaqin ker le ke din-e-haq ki ragoon mein raqsan lahoo yehi hai Meri mohabbat ki mumlikat mein rawan rawan charsoo yehi hai Isse zaroorat kahan kisi ki,har aik ki arzoo yehi hai Mera gazab hai jalal iss ka,mere karam ki namoo yehi hai Baroz-e-hashar tera khuda jab dar-haqeeqat kjo wa kare ga Ali ka dushman khud apni maan ki khayanatoon ka gila karega
Mein la-makan hoon mere makan ka jahan bhar mein makin yahi hai Zamin pe bu-turab hoga,falak pe zehra jabin yehi hai Yehi hai islam ka sarapa mizaj mayyar din yehi hai Yehi hai sultan din-o-emaan ramooz-e-haq ka ameen yehi hai Isse ke seene mein dharkanon ki tarah se ilm kitab hoga Isse sunwarnoonga iss tarah se yeh tarah se la-jawab hoga
Mizaj minber,namaz emaan,naqeeb wehdat kalam awal Urooj wajdan shaur insane guroor yazdan nizam awal Sajoob ashiq raku akil kaud akhir qayam awal Khatib kamil adeeb amil lua ka hamil imam awal Yehi to konain mein naseer mizaj azam rasool hoga Yehi to hai khana zaad mera yehi to zauj-e-batool hoga
Isse tu pehchan le ke akhir hai”kul emaan”laqab isse ka Meri khudai mein har basher per sada hai wajib adab isse ka Hain shash jahat iss ke zeer saaya,ajam isse ka arab isse ka Bhare jahan mein hai jo bhi mera woh iss ki khatir hai isse ka Baroz-e-mehshar amal ki daulat se jab bhi mezan-e-dil bhare ga Ali ka dushman bigar bigar ke khud apni maan ka gila kare ga