~CHANDNI~
Age: 124
7850 days old here
Total Posts: 56416
Points: 0
Location:
United Kingdom, United Kingdom
Tow itna chahon tumhein > >Keh doonoo jahan ko bhool ker > >Apna khuda bana loon tumhein > >Ager janan ijazat ho > >Tow is dil ki her dharkan mey > >Apnay wajood ki nas nas mey > >Khoon ki terha rachalon tumhein > > > > > >Kul aur aaj > > > > kul aurat ki tareef koi gher mard kerta tha tow jawaab mey aurat thapar raseed kerti thi ,aur aaj koi gher merd kerta hai tow wo thank u kehti hai > > kul ke nojawaan her cheez se be khabar apni taleem mey magan thay,jubkeh aaj ka nojawaan taleem se bekhaber her cheez mey magan hai. > Kul ki aurat naiki ki roshni mey bund aankhon se chulti thi . aaj ki aurat andheri rahon per khuli aankhon se chulti hai > >· Kul biwi shohar ko sertaaj samajhti thi,aaj mohtaaj samajhti hai > > > > > > > >Achi gaari > > > >maa: “kaash is ka rung koi doosra hota.kitna pheeka rung hai” > >bhai: “itni ahista chulti hai keh bus” > >Behen: “is ki pichli seat bari gher aaramdeh hai” > >Baap: “petrol bohut khaati hai” > >Mohallay walay: “pata nahi in ke paas itna paisa kahan se aagaya keh itni achi gaari khareed li” > > > > > >Roshni ka charagh hoti hain > >Khusbo’on ki kitab hoti hain > >Tor letay hain kion havis waalay > >Lurkiaan tow gulaab hoti hain > >Raat din budhawas rehti hain > >Kis qader ghum shanas rehti hain > >Ishq jis ne kya wo jaanay hai > >Lurkiyaan kion udaas rehti hain > > > > > > > >Mohabbat > > > > Kis qadar naadaan hain wo loog jo samajhtay hain keh mohabbat muddaton saath rehnay sehnay aur musalsel dosti ke baad peda hoti hai,is liye ke hakiki mohabbat doo rohon ke bahmi milaap ke aik lamhay mey mukammal na ho tow phir us ki takmeel aik saal mey ho sakti hai na aik sadi mey………. > > > > > >Usool-e- khudkushi > > > > Larki ne bholpun se sawaal kiya… “ager mein tum se shaadi na keroon tow kya tum wakayi khudkushi ker logay?” > >“yakeenan…” larkey ne josh kha ker kaha…. “mein ne hamesha yehi kya hai’ye mera usool hai” > > > > > >Mohabbatein > > > > mohabbatein baar’aawar hoon ya adhori rahein mohabbaton ke naseeb mey aansoo hain.mohabbat aur aansoo ka choli daaman ka saath hai.mohabbat kernay walay apni duniya mey aap zinda rehtay hain mohabbat kernay walay udaas lamhon mey zindagi ka souda kertay hain mohabbat kernay walay us zameen ki maanend hotay hain jo apnay lahu se khetiyaan sechti hai,mohabbat muskurahat ki dushman hai aur mohabbat ka phool wahan khilta hai jahan aansoo ka paani ho.mohabbat ke bagher zindagi bekaar hai.mohabbat phool ki terha nerm-o-nazuk hai.mohabbat naam hai terapnay ka.mohabbat naam hai chahaton ka.mohabbat naam hai intezaar ka……….. > > > >Quotes > > > >· Jub tum mey haya na rahey jo ji chahay kertay phiro. > >· Jhoti mohabbat kisi bhi lamhay nafrat mey tabdeel ho jaati hai > >· Jis ne bhi mohabbat ki us ne pahli nazer mey nahi ki > >· Mohabbat aur shak aik dil mey jama nahi ho saktay > >· Dil aik kaanch ki maanind hai us ka toot ker jurna na mumkin hai > >· Mohabbat ke maamlay mey hum sab yaksaan bewakoof hain. > >· Sherm ki kashish husn se ziadah hoti hai. > >· Bewakoof shaks ka dil us ke moo mey hota hai aur aqal mund shaks ki zabaan us ke dil mey hoti hai >