Pyaar karne waloon ka.....

1041 views 10 replies
Reply to Topic
Paki_Sawera

Age: 124
Total Posts: 10
Points: 0

Location:
United States, United States
Pyaar kerne waloon ka baas yahi fasana hia....

Pyaar kerne waloon ka baas yahi fasana hai
Ek diya to roshan hai ek diya jalana hai

Unn ko bhool jaien hum dekh bhi na paien hum
Yeh bhi kese mumkin hai esa kiss ne mana hai

Barishoon ke mosam mien hum ko yaad ate hien
Woh jo abb nahin milte unn ko yeah batana hai

Baas unhien pe marte hien jinn se pyaar kerte hien
Pyaar kerne waloon ko janta zamana hai

Iss tarah to hota hai pyaar kerne waloon mien
Ekk ko yaad rakhna hai ek ko bhool jana hai

Subho ke parinde bhi abb to loot aye hien
Shaam saar pe ayi hia or ghar bhi jana hai

Shaam ke ujale mien kyon khamosh phirte hoo
Ajj sakht sardi hai ruut bhi ashikana hai

Geet hum sunate hien rooz woh bhulate hein
Unn se baat kerne ka ekk yahi bahana hai

Dosti Nebhane ka ekk yahi saleqa hai
Ekk baat kerne hai ek ko chupana hai

Pyaar ka zamana bhi kya haseen zamana hai
Iss ghazal ke mutaliq baas yahi batana hai
                                          
                                         By: Hassan Rizwi



Posted 19 Mar 2004

kiran says
cool suno kuch mere se:

is shehar khrabi main ghum e ishq ke mare
zinda hain yehi baat bari baat hai pyare

yeh hansta hua chand yeh pur nur sitare
tabainda o parinda hai zaroon ke sahare

hasrat se koi ghancha humain pyar se dhekhe
armaan hai koi phool humain dil se pukare

her subha mere subha pe roti rahi shabnam
her raat mere raat per hanste rahai taare

Posted 19 Mar 2004


thanks...Kiran
       wah wah.....har subha mere subha pe roti rahi shabnam
                    har raat mere raat per haste rahe tare
    wah wah kyaa baat hai.....
      
Posted 19 Mar 2004

~Fragi~ says
kewl ones...esp of paki sawere .. n kiran ka bus theek hai
Posted 19 Mar 2004

kiran says
jee han pata hai mere achi cheezain kahan bardasht hotin hain tumse...kabhi to keh diya karo kiran very good
Posted 19 Mar 2004

kiran says
khuli ankhoon main sapna jhankta hai
woh soya hai ke kuch kuch jagta hai

tere chahat ke bheege junglon main
mera tun moor ban ke nachta hai

mughey her kefiyat main kjun na samghey
woh mere sab hawale jaanta hai

main us ki dastaras main hon mager woh
mughey mere raza se mangta hai

kisi ke dhayan main duba hua dil
bahane se mughey bhi talta hai

sarak ko choor ker chalna pare ga
ke mere gher ka kacha rasta hai

rakas main raat hai badan ki tarah
barshoon ki hawa main ban ki tarah
chand bhi mere karwatoon ka gawah
mere bister ki her shakan ki tarah

chak hai daman kaba e bahar
mere khaboon ki perhan ki tarah

zindage tujhse door reh ker main
kaat lon gi chila watan ki tarah

mujhko tasleem mere chand ke main
tere hamrah hun grehan ki tarah

bar ha tera intezar kiya
apne khawaboon main ik dulhan ki tarah
Posted 19 Mar 2004

aab itni achi poems likho gie tu taliyan bhi na bajayein :$ :$

Posted 20 Mar 2004

kiran says
baja lain maine kab kaha na bajaeen.
Posted 22 Mar 2004

kiran says
per yeh wali mere apni nahin hai....jo mere apni hoti hai us ke saath main likh daiti hon.
Posted 22 Mar 2004

Posted 24 Mar 2004

kiran says
Posted 26 Mar 2004

Reply to Topic