light giver
Age: 125
Total Posts: 20
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Hogi kisi ajnabi say mulakaat kabhi sochaa na tha
Barh jaay gi youn dil ki baat kabhi sochaa na tha
Dosti kay rishtay badal jaain gay chaahton main
Itna bhi hoga kisi pay aaitbaar kabhi sochaa na tha
Kar dain gi weeraan zindagi ko chaahat ki khamoshiaan
Lafzon ki esee bhi hogi kami kabhi sochaa na tha
Karnay lageen aankhain gilaa lub phir bhi khamosh rahay
Zubaan youn bhi karay gi baywafaai kabhi sochaa na tha
Jis dil main chupaai theen teri yaad ki parchaaiaan
Ronday ga ek din tu khud unhain kabhi sochaa na tha
Jin aankhon main sajaay thay teray sapnay bari chah say
Nawazay ga tu hi rawaan daryaa inhain kabhi socha na tha
Moorti jo banaai thi baray maan say aaitbaar-o-wafa ki
Aakar tu hi karay ga pamaal ussay kabhi sochaa na tha
Kho gay sub sapnay kaheen kho gaya mera hum nasheen
Pyaar esaa bhi rung dikhaay ga kabhi sochaa na tha
Na koi milnay ki aas rahi naa judaai kay runj rahay
Wajood mera esaa bhi hoga bayhiss kabhi sochaa na tha
Aay gi har pal yaad teri per kuch na kahoon gi main tumsay
Esee bhi hongi meri majbooriaan kabhi sochaa na tha
Lamhon say maangi mohlat main nay ek ek pal sajaany ko
Per sham dhalay parchai manind tu kho jaay ga kabhi sochaa na tha