!*...*!Tamanna!*...*!

2881 views 80 replies
Reply to Topic
Fairl_Girl

Age: 124
Total Posts: 26920
Points: 0

Location:
Pakistan, Pakistan
MAin Un se Pyaar q karoon ?

Hoke zameen ki khaq aasmaan ki chaah q karoon
Main tujhko paane ki tamanna q karoon
mujhko khabar hai judaai tadpaaegi tujhe har pal
isi liye bataade main tujhse wafa q karoon
Iman ko mere chot lagegi gar tu na mila mujhe
tujhe apna banaane ki phir duaa q karoon
teri masoomiyat ko rab ne banaaya hai mohabbat ke liye
Tujhe na chahne ki phir main khata q karoon
farishtey bhi tadap jaate hain jub teri ankh se ashk chhalakte hain
Yeh dard tujhe dekar main koi gunaah q karoon
Teri meri qismat ki raahein hain judaa judaa
Main phir teri banjaane ki aarzoo q karoon
Meri haathon ki lakeeron mein nahi hai naam tera
Main tera naam apne naam se milaane ki justajoo q karoon
Meri baatein tere dil mein hameshaa bas jaati hain
Is baat ki khabar rakh kar main koi guftagoo q karoon
Baaton Baaton mein benaam fasaane banjaate hain
Aur aisi adhoori kahaani ko main shoru q karoon
Jo bhi jazbaat hai dil mein dil tak mehfooz hai
Yeh bataao ke main unka zikr roobaroo q karoon
Maana ke mohabbat bhari nazar dil par gehraa asar karti hai
Usse pyaar se dekh kar us par koi jaadoo q karoon
Mere liye yeh mumkin nahi ke main teri banjaaon kabhi
Lekin main tujhse mohabbat ka subse izhaar q karoon
Itna dukhaaya dil ko tune mere, itna rulaaya hai mujhe
sub kuch sahoon phir bhi tujhse beintehaa pyaar q karoon
Posted 24 Jul 2004

Fairl_Girl says

Ehsaas To Hai Hame, Judaai Mai Jeene Ka,

Magar Mazaa Aata Nahi, Sabar Ke Ghoot Pineka
Mere Jine Ke Liye, Tera Armaan Hi Kaafi Hai,
Dil Ki Kalam Se, Likhi Yeh Dastaan Hi Kaafi Hai,
Teer-E-Talwaar Ki Tuje Kya Jaroorat Hai Naajanin,
Katla Karne Ke Liye, Teri Muskaan Hi Kaafi Hai.
Hum Pyaar Karte Hai Aapse,
Posted 30 Aug 2006

Fairl_Girl says

Ik WO Hai Jo Hum Pe Mur Mitnay Ko Tayaar Hai
Ik Wo Hai Jisay Hamari Kuch Bhi Khaber Nahin
Hum Se Pyaar Ke Jo Waday Kiya Kerta Tha
Ussay Aj Hamari zara Bhi Fiker Nahi

YAQEN NA HO TO ZRA US SEY POOCH KR TO DEKHO
JO HANS RAHA HAI WOH ZAKHMON SEY CHUUR NIKLEY GA.
.......................................................

--------------------------------------
Toofaan kar raha tha Merey Azm ka tawaaf
Duniya samajh rahi thi ke, Kashti bhanwar mein hai
Posted 30 Aug 2006

veer_zaara says
Dil hi dil mein,unhe chahte hai,
Dil hi dil mein,unhe pyaar karte hai,
Mushkil hai unka raah se guzarna,
Phir bhi har mod pay,unka intezaar karte hai
Posted 30 Aug 2006

cutefriend says
gud JOB FG

and babu
Posted 30 Aug 2006

chandbabu says
thanx
Posted 30 Aug 2006

Fairl_Girl says
thx
Posted 02 Sep 2006

cutefriend says
welcome
Posted 03 Sep 2006

cutefriend says
Sabz Madham Roshni Main Surkh Aanchal Ki Dhanak
Sard Kamray Main Machalti Garam Sansoon Ki Mehak
Bazooan Kay Sakht Halkay Main Koi Nazuk badan
Salwatain Theen Malboos Par Or Aanchal Bhi Kuch Dhalka Hua
Rukhsaar Ki Garmi Say Dehki Hui Ek Hawa
Naram Zulfon Say Malaim Shararti Ungalion Ki Chair-Chaar
Surkh Hoton Par Shararat Kay Kisi Lamhay Ka Aks
Reshmi Bahoon Main Choori Ki Ek Madham Si Khanak
Sharamgeen Lahjoon Main Dheeray Say Kabhi Chahat Ki baat
Do Diloon Ki Dharkanoon Main Gounjati Thi Ek Hi Sada
Kampatay Honton Pay Thi Khuda Say Sirf Ek hi Dua
Kaash Yeh Lamhay Yahan Hi Thehar Jain....
Kaash Yeh Lamhay Yahan Hi Thehar Jain Zara....
Posted 03 Sep 2006

veer_zaara says
Oh my God no one said goo djob to me

tobaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa
Posted 03 Sep 2006

chandbabu says
Posted 04 Sep 2006

Fairl_Girl says
VZ GOOD ONE
Posted 05 Sep 2006

kiran says
very good job
Posted 05 Sep 2006

Fairl_Girl says

*~Teri Rahoon Main Kab Say~*~
Teri Rahoon Main Aankhein Bichhaye Baithay Hain
Is Dil Kay Tufan Main Mohabbat Ki
Shamma Jalaye Baithay Hain
Aai Zalim Kis Mor Pay Lakar Chora Hai Tumnay Mujh Ko
Abhi Bhi Milnay Ki Hasrat Say
Teri Yaad Ko Dil Say Lagaye Baithay Hain
Dil Ko Aadat Si Ho Gaye Hai Chout Khanay Ki
Bhigi Hui Palkon Kay Saath Muskuranay Ki
Kash Anjaam-e-Wafa Pehlay Say Jaan Jaatay Tou
Koshish Bhi Nahi Kartay Dil Lagaanay Ki
Posted 06 Sep 2006

kiran says
Is Shamma ke bhujhne se pehle tumhain ana hi hoga
Mere pyar main bari takat hai yeh dhikhana hi hoga
Posted 06 Sep 2006

cutefriend says
gud work FG
Posted 07 Sep 2006

cutefriend says
Aray Mera Baat Kerna Geeraan Hogia
Yeh Kesay Mera Raz Sab Pay Aayaan Hogia

Chupaya Tha Sab Say Tumhay Humnasheen
Yeh Kia Mujh Say Sab Pay Bayaan Hogia

Mudhosh Ker Raha Hai Tumara Qurb Aaiy Pari
Mai Aisa Apnay Jisum-o-Jaan Main Fana Hogia

Aanay Say Teray Aaee Thi Bahaar Humdum
Jaa Nay Say Teray Mousam Khizaan Hogia

Mujhay Douboota Raha Teri Aankhoo Ka Jaadu
Bin Peeaiy Sharab Janum Mujh Pay Nashaa Hogia

Barhtay Rahay Milaap Say Jazbaat Humaray
Jesay Zameen-o-Assman Mai Aatish Bapa Hogia

Teray Hont Chum Ker Pari Hamdan Ko Aisa Laga
Teray Luboo Say Boosa Sabtay-e-Nishaan Hogia
Posted 07 Sep 2006

Fairl_Girl says
Posted 07 Sep 2006

cutefriend says
Posted 07 Sep 2006

Fairl_Girl says
Posted 07 Sep 2006

valandrian says
bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430
bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430bd33430

bd33430
Posted 07 May 2018

Reply to Topic