Hoke zameen ki khaq aasmaan ki chaah q karoon Main tujhko paane ki tamanna q karoon mujhko khabar hai judaai tadpaaegi tujhe har pal isi liye bataade main tujhse wafa q karoon Iman ko mere chot lagegi gar tu na mila mujhe tujhe apna banaane ki phir duaa q karoon teri masoomiyat ko rab ne banaaya hai mohabbat ke liye Tujhe na chahne ki phir main khata q karoon farishtey bhi tadap jaate hain jub teri ankh se ashk chhalakte hain Yeh dard tujhe dekar main koi gunaah q karoon Teri meri qismat ki raahein hain judaa judaa Main phir teri banjaane ki aarzoo q karoon Meri haathon ki lakeeron mein nahi hai naam tera Main tera naam apne naam se milaane ki justajoo q karoon Meri baatein tere dil mein hameshaa bas jaati hain Is baat ki khabar rakh kar main koi guftagoo q karoon Baaton Baaton mein benaam fasaane banjaate hain Aur aisi adhoori kahaani ko main shoru q karoon Jo bhi jazbaat hai dil mein dil tak mehfooz hai Yeh bataao ke main unka zikr roobaroo q karoon Maana ke mohabbat bhari nazar dil par gehraa asar karti hai Usse pyaar se dekh kar us par koi jaadoo q karoon Mere liye yeh mumkin nahi ke main teri banjaaon kabhi Lekin main tujhse mohabbat ka subse izhaar q karoon Itna dukhaaya dil ko tune mere, itna rulaaya hai mujhe sub kuch sahoon phir bhi tujhse beintehaa pyaar q karoon
Age: 40
7838 days old here
Total Posts: 47726
Points: 0
Location:
London, United Kingdom
Shishe Ke Aaine Main Dekhti Hai Woh Khamosh Naazre. Ghunghat Main Chehra Chupaai Hue. Aankhon Main Kajal Sajaye Hue. Chorr Ke Apna Ghar Aangan . Chali Ayee Dulhan Ek Naye Duniya Bassane. Hogaye Parai Jahan Beeta Apna Bachpan. Aur Jawani Ki Hassen Raahein. Aapna Na Hai Who Sansaar. Jis Main Bana Ni Hai Naahi Kahaani. Mathe ki Bindiya Kuch Kehti Hai Us Se. Haatho Ki Kangan Khankati Hai. Jaise Kehte Hai Rukh JA Ree Saakhi.. Na Chor Woh Raahein. Jis Me Khela Tera Bachpan. Chorr Ke Apna Ghar Aangan. Chali Ayye Dulhan Ek Naye Duniya Bassane. Laal Jodhe Main Saji Hai Aise Aankhon Main Ek Sapna Leke. Dil Main Jagi Hai Aisi Umag. Khushiyo Se Bhara Hai Woh Naya Jevaan. Jahan Lage Woh Paraye Bhi Apne. Jahan Saathi Ho Pyaara, Aur Khushiyo Ka Alam Ho. Phri Bhi Udaas Si Lagti Hai. Us Ki Nazar Keh Jati Hai. Us Ne Ankahi Si Baate. Yaad Dilati Hai, Woh Bethe Dil Woh Khamosh Galiyo Ki Raahein. Phir Bhi Nibhana Hai, Woh Reet Purani. Chor Ke Apna Ghar Aangan Chali Aai Dulhan Ik Naye Duniya Basane
Age: 40
7838 days old here
Total Posts: 47726
Points: 0
Location:
London, United Kingdom
Saaray Jahan Ki Khushiyan Us K Naseeb Karday, Hasta Rahay Sada Wo Usay Khush Naseeb Karday, Kabhi Dil Na Uska Tootay,Kabhi Chot Na Kaye, Usko Wafa K Ya Rab Itna Kareeb Karday. Us K Laboon Par Ya Rab Sab Muskurahatein Ho, Qismat Mai Uskay Hasna Mairay Habeeb Karday, Chal Kar Jahan Bhi Jaye Pholoon K Rastay Hoon, Manzil Har Khushi Ki Us K Kareeb Karday, Dil Maira Ab Mutma-I-n Hua Haii, Usk K Dhokoon Ko Ya Rab Mairay Naseeb Karday..
Age: 124
7564 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
nahi batao main usko bohaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaat marogi
bana gulaab tau kaante chuba gaya ik shakhs hua chiragh tau gher hi jala gaya ik shakhs tamam rung mere aur sare khuwab mere fasane they ya fasana bana gaya ik shakhs main kis hawa main uron kis fiza main lehroon dukhon ke jaal her soo bichaa gaya ik shakhs mohabaton ne kisi ki bula rakha tha use miley woh zakhm ke phir yad a gaya ik shakhs khula yeh raaz ke aaina khana hai yeh duniya aur is main mujhe tamasha bana gaya ik shakhs