topic kuch tha aur kahaan say kahaan chala gya.
Sall ka question theek tha, kisi cheez par Allah ka naam likha hona, kisi structure ka Kalmay ki tarah hona etc ye Allah ki existance proove karnay kay liye kafi nahi.
SALL said:to phir isss sab ka kya matlab hai ??
Y we keep looking for signs to prove Allah's existance ??
kya humein Khuda ki zaat k hone pe koi shak hai ??
Allah apni existence [roove karnay kay liye khud tu samnay nahi ayega na, usnay insaan ko akal di hai isi liye kay wo Allah ko pehchan sakay, aur pehchanay ga Allah kay signs say hi, warna aur kia rasta ho ga pehchan ka? laikin wo signs aisay nahi hain like Allah ka naam, Kalma waghaira kaheen likha hona.
jin nations ko clear cut signs dikhaye gaey, aur phir bhi unhoon nay inkaar kiya tu unka tabah hona yakeeni tha. f16 ka kehna theek hai kay humain aisay signs nahi diye gaye takay kaheen hum bhi inkaar kar kay Allah kay azaab kay haqdaar na ban jain, kuch muajzat hain humaray Nabi kay bhi like chaand ka 2 turay hona, laikin wo sab kay liye nahi tha, wo dekhnay walay bhi kam hi log thay.
Allah nay Quran main bhi buhat jaga examples di hain aisi aur kaha kay in main logoon kay liye nishaniyaan hain. jaisay plants ka banna, fruits, flowers, aur sab say bari nishani insaan ka apna wajood.
isi modern era ki example le lain, artificial satellites insaan nay zameen kay gird orbits main choray hain, tu ye jo thousands of years say itnay satellites hain kainaat main unhain kis nay banaey, jab insaan aik chooti si kashti khud ba khud bannay ka tasavvur nahi kar sakta tu ye itnay baray satellites kaisay ban gaey. aur phir ye apnay orbits main continuously move kar rahay hain, artificial satellites ko agar kuch din control na kiya jaey tu ye orbits say bahir chalay jatay hain, tu doosray satellites ko control karnay wala bhi tu koi hai na.
sooraj aur chaand ki examples tu Quran main hain, aur bhi buhat si hain, magar insaan phir bhi samajhta nahi.