Doctor Sam
Age: 124
7285 days old here
Total Posts: 19257
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Movie: Nayla
ghum-e-dil ko in aankhon se chalakk jana bhi aata hey
Tardapna bhi hamain aata hey, tardpaana bhi aata hey
kisi ki yaad main jo zindagi hum ne guzaari hey
hamain wo zindagi apni mohabbat se bhi pyari hey
wo aaye rubaru hum daastan apni sunaien gay
kuch apna dil jalaian gay kuch un ko aazmaaien gay
sar-e-mehfil hamain to shamma ban jana bhi aata hey
dabay paon hamain aa kar kisi ka gudguda lena
wo apna rooth jana aor wo un ka mana lena
wo manzar jhanktay han aaj bhi yaadon ki chilman se
bhula sakta hey kese koi wo andaaz bachpan k
hamain guzri hui baaton ko dohrana bhi aata hey
hamain aata nahi hey pyar main be-aabru hona
sikhaya husn ko hum ne wafa main surkharu hona
hum apnay khoon-e-dil se zindagi ki maang bhar dain gay
ye dil kya cheez hey hum jaan bhi qurban kar dain gay
Khilaaf-e-zabt-e-ulfat hum ko marr jana bhi aata hey
Tardapna bhi hamain aata hey, tardpaana bhi aata hey