Fairl_Girl
Age: 124
7563 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
kioun jagtey hoo
kiya souchtey hoo
kuch hum sey kahoo,tanha naa rahoo
khalwat ke kharabey mein hum bhi itney hi peraishaan rehtey hain
bus khawab-o-khayal ki basti mein, majboor –o-pasheemaan rehtey hain
lougoun sey gurezaan rehtey hain
souchaa naa karo
yaadoun ke barestey badal koo, palkoun pey sajana theek nahien
joo apney buss ki baat na hoo
uss ko douhrana theek nahien
aisey naa koreydoo zakhmoun ko
aisey tou naa meri jaan keroo
mujh per itnaa ehsaan karoo
ab raat ki palkien bheeg chali,ab chand bhi hai
chup janey koo
kuch dair mein shabnam ayey gee, phooloun ki pyaas bujhaaney koo
shadaab shagoofoun ki sourat, khwaboun ke nager mein khoo jaou
ab soo jao
tum soo jao.....
Fairl_Girl
Age: 124
7563 days old here
Total Posts: 26920
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
Guzartay Lamho Main Thak Gaya Hoon, Bikhar Gaya Hoon
Guzartay Lamho Main Thak Gaya Hoon, Bikhar Gaya Hoon
Main Sathiyon Say Bichar Gaya Hoon
Yeh Sathiyon Kee Mufarqat Bhie Ajeeb Shay Hay
Kay Jitna Arsa Yeh Saath Chaltay Hain
Chotee Chotee Fuzool Baaton Pay Rooth Jatay Hain Aur Lartay Hain
Doston Kay Jawaan Iraday Shikast Kartay Hain
Raastay Ki Soabaton Say Inhain Daratay Hain Aap Dartay Hain
Manzilon Ko Pukartay Hain
Magar Inhee Kay Wujood Hain Jo Musafaton Ko Nikhartay Hain
Guzartay Lamho Main Sathion Say Bichar Gaya Hoon
Main Apni Tanhaee Kay Tahayyur Say Dar Gaya Hoon
Main woh Musafir Hoon Jis Kay Paaon Main Manzilain Hain a Rehgyzar Hay