~tasha~ said:jee karda jee karda to make sure i'll get it very soon
Rapunzel said:jee karda jee karda mm nu maran da jee krda
Rapunzel said:kisi k hath na aye gi ye laila
Mystique said:Theekah.
Rapunzel said:There are lots of people in
this world
Who seem to have no feelings,
Loving, kindness, caring and thought
They do not know the meaning
The Joy they get is out of spite,
of seeing others hurt
The things they say, the things they do
They give it no real thought
So when you think you've been defeated
They've taken everything you had
Just think again, its what they want
To know they've got you and made you sad
eshajam said:don't worry MM i am here
Rapunzel said:
olldman said:Subha poetry nahi parni chaiye. Dekhna hai din kaisa ghuzzrta hai.
Bahut hi khoobsurat and sad. Great addition here MM.
~CHANDNI~ said:
Tum jis chaand ko dekhthe ho
Mein uss chand ko dekhkar tumhein apne bahon ke
darmiyaan paata hun
Tum kya jaano tum kya ho
Joh aftaabh tumhein dekhkar uthta hai
Mein usse tumhare aankhon ke roshni mein dekhtha hun
Tum kya jaano tum kya ho
Joh baharein tumhari khushboo se chid jaati hai
Unn kaliyon ko tumharein kadmon ke peeche rukhsath hote dekhta hun
Tum kya jaano tum kya ho
Maine kismat ko nahi maana tha
Par kismat ne tumhe kaise dhokha diya
Tum kya jaano tum kya ho
Jo pehchaan hum aapki kar sakte hai
Woh aapka aaina bayan nahi kar sakta
Tum kya jaano tum kya ho
Abh tum hi batao
Ki agar mein na rahun to tum kya ho .
Rapunzel said:very nice mm
olldman said:
Miss mine said:Mein titleon ko sula dun ga zara tum sham hony do,
main jugnuon ko jaga dun ga zara tum sham hony do,
meri num ankhon ko na tum dekho haqarat se,
main tumko b rula dun ga zara tum sham hony do.
tumhain qaidi banaya hay ujaaR ankhon ki hasrat ka,
rihaai bhi dila dun ga zara tum sham hony do.
kahan aghaz hota hay kahan anjam hota hay,
hunar saary sikha dun ga zara tum sham hony do.
jo tum nay mujh se poocha hay kahan hogi tmhari sham,
jahan hogi bata dun ga zara tum sham hony do.
Mera iman hai tum ko andheray chuu nahi saktay.
Mein apna ghar jala dun ga zara tum sham hony do..!
(jo tum nay mujh se poocha hay kahan hogi tmhari sham)
Bahut hi khoobsurat MM. A beautiful read.
eshajam said:bohot khub shayari aap sabki
MM very NICE
Zara sham tu honay do
Gee-Z said:FUTURE MEMORABLIA (Written by gul zeb khan )An evening just b4 the rain i felt welcomed wid the pain By the change of time and a memory lane Burried under the shades of gray waiting to come out some day hoping for the incident when she blesses me with her written face twinklin eyes reasons Conflict Fleeing blissful living instinict in between sinksby the realization lost of times by the presenceit still raing and i am still waiting the ashes to b removed showerd by the past i hve kept alive all those scaresand ur wish full thinking gives us future ,but in the past abt those sculpturs are still standing in the rain i am nt alive u r insaneReturen me my God when i give u all my crownsa neverland of thoughtsall my concoctions all my faith all my belivesall my grace am still therebut the grace has been lost and the images i hve been watching all nightstill carry ur shades but the colours fade away and voices slipped away
holla
~CHANDNI~ said:
Aankh ban jati hai sawan ki ghataa ...
shaam k baad
Lout jata hai agar koi khafa ...
shaam k baad
Chaand jab ro kr sitaroon se galay milta hai
Ek ajab rung ki hoti hai fiza ...
shaam k baad
Hum ne tanhai se poocha k milo gi kab tak
Us ne bechaini se foran hi kaha ...
shaam k baad
Maar deta hai ujar janay ka dohra ehsaas
Kash ho koi kissi se na juda ...
shaam k baad •
olldman said:
Miss mine said:Yeh pal hume yaad ayenge
Woh kaal yaad ayengay
Humne kia yaha jo b kia
Roo k kabhi hass k jiya
Khushoya kabhi gham b liya
Roo k kabhi hass k jiya.
Barsoo jo khuwaab bonein
Sach woh ajj hoye
Mil hi gaya Manzil ka nishan
Apne sapno ka jahan
Choutay na yeh karwa
apne sapno ka jahan
Shukriya Yaaro Shukriya
Piyar jo itna diya.
Aoo Mil k jhoome ghaye
cherein sargham ko
Naghme barsaye..mil k jhome ghaye
Yeh pal hume yaad ayenge
Woh kaal yaad ayengay..
M M bahut achi.
Rapunzel said:kaha tha kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se
jo yun kiya hai to phir kyu gila karo us se
ye ahl-e-baz tunak hausalaa sahi phir bhi
zara fasaanaa-e-dil ibtidaa karo us se
ye kya ke tum hi Gam-e-hijr ke fasaane kaho
kabhi to us ke bahaane sunaa karo us se
nasib phir koi taqrib-e-qarb ho ke na ho
jo dil mein hon vahii baatein kiyaa karo us se
'Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa
yahi bahut hai ke kam kam milaa karo us se...