Age: 124
7820 days old here
Total Posts: 107
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
u know dreams.... how famous their affair has been...so i suggest Syed noor to come as Hero with Saima in his own film..itna age gap bhi nahin hoga dono main
Age: 124
7820 days old here
Total Posts: 107
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
hum tumhain chahtey hain aise marne wala koi zindagi chahta ho jese rooth jao agar tum to kia ho pal main aise lagey jism se jaan jese juda ho zindagi bin tumharey adhuri tum ko pa lun agar,her kami meri ho jaye poori le chalain ge tumhain hum wahan per tanhai sanam shehnai ban jaye jahan per mere khwabon main jo bus gya hey wo khuda to nahin per zamaney main sab se juda hey hum tumhain chahtey hain aise marne wala koi zindagi chahta ho jese
Age: 124
7820 days old here
Total Posts: 107
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
mohabbat taq-e-dil per jalne wala wo charagh-e-aakhir-e-shab hey k iska lo madham bhi par jaye to andar ka ujala kam nahin hota mohabbat kerne walon ko khabar hey mohabbat waswason aor khwahishon k dermyan kuch din yunhi bey khwab-o-bey khwahish aseeri kaat sakti hey hamesha k liye lekin ye mehwar se nahin hat-ti mohabbat aik aisa rasta hey jis per wapsi mumkin nahin hoti
Age: 124
7820 days old here
Total Posts: 107
Points: 0
Location:
Pakistan, Pakistan
here is a song from me with marverllous poetry. u all may not b familiar with this song..but do read the lyrics..just gr8 zindagi main to sabhi pyar kiya karte hain main to mar kar bhi meri jaan tujhe chahun ga
tu mila hey to ye ehsas hua hey mujh ko ye meri umer mohabbat ke liye thori hey ik zara sa Gham-e-dauran ka bhi haq hey jis par main ne wo saans bhi tere liye rakh chori hey tujh pe ho jaoon ga qurbaan tujhe chahun ga
apane jazbaat main naghmaat rachaane ke liye main ne dharkan ki tarah dil main basayaa hey tujhe main tasavvur bhi judai ka bhala kese karun main ne qismat ki lakiron se churayaa hey tujhe pyar ka ban ke nigeh-baan tujhe chaahun ga
teri har chaap se jalte hain Khayaalon main charaagh jab bhi tu aaye jagaata huaa jaadu aaye tujh ko chhu luun to phir aey jaan-e-tamannaa mujh ko der tak apne badan se teri Khushbu aaye tu bahaaron ka hey unwaan tujhe chaahun ga