~CHANDNI~ said:
Rapunzel said:ho rat akaili pichlay pahar aur chand gagan pay a jay
tum chand ki manind tanha ho yah bat tumhain tarpa jay
kuch khwab saja kar palkon pay tum chand say batin kar laina
ham yad tumhi ko kartay hain tum yad hamain bhi kar laina
kuch bat na ho jab aisay hui nam ankh tumhari ho jay
tum bat kahin pay kartay ho dil aur kahin pay kho jay
jazbaat k aisay alam main muskan labon par bhar laina
hum yad tumhi ko kartay hain tum yad hdamin bhi kar laina
Reallly Greatttttttttttttttttttttt
~CHANDNI~ said:
Rapunzel said:
~CHANDNI~ said:
vo chaand
vo chaand nahin hai
dil hai kisi divaane ka
(aakash jise kahati duniyaa) -
vo naam hai ik viraane ka
(divaane ke dil ki hi tarah) -
vo raaton jalata rahata hai
is nind ki maati nagari me
vo kuchh na kisi se kahata hai
(hai us me shama ki bechaini) -
aur pyaar bhi hai paravaane ka
jab se pahalu se gaya hai dil
kisi pahalu nind nahin aati
(jo surat dil men samayi hai) -
(vo surat dil se nahin jaati) -
aao aanchal patala jaayo
kya raat hai dil me samaane ka
kya raat
very nice
thannnxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx
~CHANDNI~ said:
Mujhse wo judaa naa ho jaaye,
Zindagi kahin Be-mazaa naa ho jaaye,
Mazaa aata hai pyaar karne mein,
pyaar mera kahin khafaa naa ho jaaye,
Sheher ki Be-chiraag galiyon mein,
Gum kahin manzil ka rastaa naa ho jaaye,
Aaj uunse kuch maang hi loon yaaron,
Wo kahin kal Be-wafaa naa ho jayae..............
~CHANDNI~ said:
Rapunzel said:
Mohabbaton mein har ek lamha
visaal hoga ye teh huya tha
bichar ke bhi ek dusre ka khayal
hoga ye teh huya tha
wahi huya na badalte mausm mein
tumne humko bhula diya
koi bhi rut na chahton ko zawal hoga
ye teh huya tha
ye kya ,ye kya ki sansey ukhar gayi
safar ke agaz se hi yaroo
koi bhi thak kar na raste mein nidhal
hoga ye teh huya tha
juda huye hai to kya huya phir
yahi to dastur-e-zindagi hai
judayion mein na qurbaton ka malal
hoga ye teh huya tha
chalo ke ab kashtiyon ko jala de
gumnam sahilon par
ki ab yaha se wapsi ka sawal na hoga
ye teh huya tha
bichar ke bhi ek dusre ka khayal
hoga ye teh huya tha
mohabbaton mein ha ek lamha visal hoga
ye teh huya tha . . .
boht acha