Age: 39
6573 days old here
Total Posts: 7
Points: 0
Location:
montreal, Canada
salam sufism asal main ziyaada ter pak & india main hai aor bangladesh aor edhar udhar bhi thora buhut hai.... yeh asal main wo tabqa hai jo peer waghaira pe believe kartey hain aor mureedon ka wo saara chakkar aap ko pata hoga...ab yeh aap per depend karta hai ke aap kiss mentality key hain ......... aap ALLAH se directly koiyee dua maangna pasand kartey hain ya ALLAH ko kissi ka waasta de ker dua karna chahtey hain..... merey khayal main pehley waala idea theek hai.... kiyon ke ALLAH sab ka hai ........ jitna wo kissi peer ka ya kissi sufi ka hai ya kissi buzurg ka hai oss se kissi tarha kum aap ka or mera bhi nahi hai.... tu kiyon na hum khud ALLAH se baraah e raast dua maangain????? yeh bhi aap batata chalon ke mujh se peer parast loog ittefaaq nahi karengay ..... shukria
Age: 39
6573 days old here
Total Posts: 7
Points: 0
Location:
montreal, Canada
salam everybody ... here i have a very great nazm of "Ahmed Faraz"... its a bit long but please just read it once .... and here i might have some mistakes because i don't have this nazm in written form ........ its in my memorey and also i don't know the meaning of some words because i m not a very good urdu speaker because of my racial backgrounds.i m sorry if there are any mistakes........ shafiq ahmed yousafzai....
hum khwabon key bevpaari thae par es main howa nuqsaan bara kuch bukht main dheron kaalak thi kuch ab ke ghazab ka kaal para hum raakh liye hain jholi main aor sar pe hai saahokaar khara
yaaan boond nahi hai devey main woh baaj bayaaj ki baat karey hum baanj zameen ko taktey hain woh dhoor anaj ki baat karey hum kuch din ki muhlat mangain woh aaj hi aaj ki baat karey
jab dharti sehra sehra thi hum derya derya rooye thae jab haath ki rekhaayien chup thi aor sur sangeet main sooye thae tab hum ney jeevan kheti main kuch khwab anokhey booye thae
kuch khwab sajan muskaano key kuch bol kabad deewano key kuch lafz jinhain mani na miley kuch geet shikasta jaano key kuch neer wafa ke shammon key kuch par paagal parwaano key
phir apni ghaayal aankhon se khush ho key lahoo charkaya tha maati main maas ki khaad bhari aor nus nus ko zakhmaaya tha aor bhool gaye thae ke pichli rut main kiya khoya tha kiya paya tha
har baar gagan ney wehem diya ab key barkha jab aaye gi har beej se konpal phootey gi aor har konpal par laaye gi sar pe chaaya chatri hogi aor dhoop ghata ban jaaye gi
jab fasal kati tu kiya dekha kuch dard key tootey gajrey thae kuch zakhmi khwab thae kaanto par kuch khaak astar sey kajrey thae aor door uffaq key saagar main kuch doobtey doobtey bajrey thae
ab paawon khara hoon dhool bhari aor jism pe jo ka chola hai jab sangi saathi bheed bharey koiyee maacha hai koiyee tola hai es taak main yeh os gaat main woh har aor thugon ka tola hai
ab ghaat na ghar dehleez na dar ab paas rahaa hai kiya baba wasan ki gattri baaqi hai ja yeh bhi tu le jaa baba hum basti chorey jaatey hain tu apna qarz chukaa baba