Age: 47
5742 days old here
Total Posts: 41
Points: 0
Location:
Noida, India
Hassi iss baat pe aaie thi ki...
Mai khud ka wazan to badha nahi paya, To fir lafzon mein wazan kahan se laun. Zindagi mein itni bar marr chuka hu ki, Samajh nahi aata khud ki lash kaha dafnaun.
Age: 47
5742 days old here
Total Posts: 41
Points: 0
Location:
Noida, India
Zamaney waley yun deikhte hai mujhko, Ki asman ka ye tanha sitara kaun hai, Janey kya gunah hua tha mujhse ki... Iss duniya ne mera tamasha banaya hai.
Age: 47
5742 days old here
Total Posts: 41
Points: 0
Location:
Noida, India
Khamosh rehna agar mujhey aata hota, Uski bewafaie ka gila mai nahi karta. Na milta mujhey agar gham wafa ke badlay... To shayad dil mein khamoshi ko panah nahi deita.
Age: 47
5742 days old here
Total Posts: 41
Points: 0
Location:
Noida, India
Aie khuda yaad kar raha hu tujhey, Tumney pal bhar mein bhula diya mujhey, Meri ibadat mein kya kami dikhi tujhey, Mainey to bewafa se wafa ke hai... Kis baat ki sazaa de raha hai mujhey, Hasenon ne ishq ka mazakh banaya hai... Uss bewafa ko iss baat ki tu saza dey, Bahut dard mila hai zamaney se aaj... Abb janat ho naseeb meri rooh ko, Dil ki gehrai se aaj dua do mujhey.
Age: 47
5742 days old here
Total Posts: 41
Points: 0
Location:
Noida, India
Continued...
Teri nazar kay sitam kya bayan karein, Teekhi nazar ka teer dil-pe-aa lagta hai, Bewafa terey tohfa-e-judaie ka khalipan... Fanah hota hua mera yeh vajood lagta hai.
Age: 47
5742 days old here
Total Posts: 41
Points: 0
Location:
Noida, India
Kuch juda juda sa aaj aasman lagta hai, Kuch juda juda sa aaj yeh jahan lagta hai, Koi wajah to nahi hai meray muskuraney ki aaj... Par muskurata hua sa zindagi ka kaarwan lagta hai.
Age: 47
5742 days old here
Total Posts: 41
Points: 0
Location:
Noida, India
Hi Beau, Ek dost kahey aur hum na karein, aise to bekaar nahi. Par bolo hum woh kaise dein, jo mere ikhtiaar mein nahi. These are all my lines only, provided if u believe it. Kabhi kabhi dil ke zubaan ko hum kagaz pe utaar leitey hain, Jantey hai unka jawab nahi aayega fir bhi pukar leitey hain.
Urdu mein mai zaroor likhta, ba-shartey mai urdu jaanta hota. But I'll try for sure :)
new_beau said:
GSVIRDI.... Good efforts.///These are your Own Lnes or Intekhaab ?
Can you Post in Urdu as we please...Keep It Up....
Age: 47
5742 days old here
Total Posts: 41
Points: 0
Location:
Noida, India
Auron ka to maloom nahi, par humein to rona nahi aata. Aur woh yeh samajh baithay, Ki dil-e-jazbat samajhna nahi aata.
Hi Muffi, I'm happy in my life n is thankful for whatever is given by god. Par fir bhi janey kyun dil yeh mera, itazar mein hai uski, jo kabhi tha he nahi mera. Strange thing u'll see is that I write sad sheir from my happy heart also. Hum bhi uss modd se guzarey hain, jis modd pe haseen miletey hain. Humne bhi ek se piyar kar liya, jisey log bewafa kehtey hain. These lines just came in my mind & I wrote, But I'm happy at this time. There are many times when we feel happy, n in that time only we're able to feel the real feelings of some1 who needs a support. Talking about Gf & wife... I'll say that: " Love is easy to say... difficult to stay... beautiful to feel... difficult to deal. Difficulty is a part of life... and thats the reason why girlfriend is never a wife"
Just smile, bcoz a smile can travel a Mile :)
Muffi said:
*Sigh* i feel like .. but these things slow me down.. give me one good reason people do shairi like this?
first of all are u all blind? a guy of my age knows what love is.. and u dont?
love is from ur wife.. not from ur GF.. so those who lost there GF.. i am happy that it didnt take very much long time for u to recognize that these relationships are fake.. so have a masti filled life till u get married.. as after marriage ur boss changes
Age: 47
5742 days old here
Total Posts: 41
Points: 0
Location:
Noida, India
Thx a lot muffi, I was able to understand that beautiful sheir... but there are few words I need to know. Jowzz = ?? Iwazz = ?? Farhat = ?? After knowing these words I'll write this same thing in my way :)
Gsvirdi
Muffi said:
Ok mein translate karta hoon.. fiker not badshaho..
The topic is
" Kabhi Journey ya phir Kabhi Night Taken from Me "
kabhi safar kabhi shaam le gaya mujhse tumhara dard kaaye kaam le gaya mujhse
Mujhe Khabar Na howi Aur Zamana Jaate Howey nazar bacha ke tera naam le gaya mujhse
Ussey zaida zarorat thi ghar bhasane ki Woh aa ke Mere dar-o-baam (doors n doors) le gaya mujhse
Bhala kahan koi jowzz us se milne wala tha Bus ek Juraat NaKaam le gaya mujhse
Bus ek Lamhe ke Sach Jhoot Ke Iwazz farhat tamam umer ka ilzaam le gaya mujhse
Age: 47
5742 days old here
Total Posts: 41
Points: 0
Location:
Noida, India
Holi ko teri muskan ne bana diya gulabi hai, Gulal se zyada lagtay tere gaal gulabi hai, Pechli Holi pe jo rang diya tha tuney... Nishani ka woh romaal ajj bhi gulabi hai. Happy Holi Everybody :)