Age: 125
7431 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
xtreme yeh sub such stories hain....
i heard a story about a guy, us ki awaaz eikdam se challi gayi. woh quran hafiz kar raha tha. aur koi wajja bhi naheen milli doctors ko ke kis wajja se awaaz challi gayi, bahut check-ups hue lekin nothing happened.
to woh shab e baraat ki raat ko khuub ibadat karta raha aur phir so gaya. us ne khwaab main kuch old men dekhe jinhon ne safeed kapre pehne the. woh usko uthane lagge aur unhon ne kaha ke utho aur fajr ki azaan do. us ne kaha ke meri to awaaz naheen hai main kaise azaan doon. unhon ne kaha utho wuzuu karo aur azaan do.
aise main aankh khul gayi uski, woh utha wuzuu kiya aur phir apni ammi ko bulaya aur sub itne khush hue uski awaaz sun kar.... phir us ne azaan di aur namaaz parhi...
yeh sadiyon pehle ki kahani naheen hai just happened a few years ago in uk.
not fiction, just a real maujza! such kehte hain ke pathar par yakeen karo to woh bhi boolne lagge ga....
Age: 125
7431 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
lekin humari age ke logon ke liye interesting banane ke liye music istemaal karte hain warna kaun sunta qawali, itne ziada naheen jitne ab sunte hain... aur france main to not muslims ne bhi ali ali par jhuuma hai...
in one way it's a good thing...
loog to kehte hain, logon ka kaam hai baatein karna...
Age: 125
7431 days old here
Total Posts: 4265
Points: 0
Location:
Antarctica, Antarctica
haan, us ki mum naat kehteen hain (sorry if i said it wrong, lekin kia kehte hain naat partheen hain) that's where she started and after it she started singing songs...