nice
fradiya aur sall
mera khiyal wafa ji se kuch mukhtalif hay
agar hum yeh samjhne ki koshish karen gay k kiya quran Allah ki qitab hay to
to bahoot se sawal janam lain ge k quraan kaise nazal hoa ?
kis pe nazil hoa? kiyoon hoa? inn sab swaloon k jawaab hum ko sirf qitaboon main mil saktay hain
laikan baat pir wohi k yeh kaise mana jay k jo kuch inn main likha hay woh sahi hay?
wohi sach hay
agar hum Allah ko mante hain to yeh bi manna ho ga k uss k bejhe gay nabi hain
aur agar hain to woh sachay hain
aur sachay hain to waqhi allah ki qitaab unn pe utari gay aur utari gay hay to
uss main likhi bateen sachi hain aur aghar sachi hain
to yeh bi sach hay k Allah ne yeh duniya aur is main mohjud har chiz banai
aur kaise banai ?hamare nabi(pbuh) k noor se banai
abb kiya koi philosopher yeh baat bataey ga k yeh zameen asmaan sitare tree pahar
sub noor se bane hain
mere khiyal main nahi
prophets philosopher nahi hain
philosopher har sawaal ka jawaab dhondhte hain
jab k
prophets har sawaal ka jawaab dete hain
aaj k zamane main islaam ko samjhna is liye mushkil hay k hum logon ko samjhane k liye koi
nabi nahi aye gain aur na hi koi mojhza ho ga
pahle zamane main logon ne mojhzoon pe yaqeen laya aur hum kisi mojhzay k bageer yaqeen rakhtey hain isi liye
Allah ne Shabh-e-mehraj ko hamre nabi (pbuh) k puchne pe k unn ko kaun si quom sub se piyari ho gi to
unnon ne farmaya aap ki
kiyoon?
is liye k aur quomon ko nabhi mile laikan hum sub k liye ab koi aur nabi nahi aye ga
aur hum koi mojhza nahi mangtey
islaam aik nazeeq mozho hai jis k barey main sawaal karne se bi imaan ja sakhta hay kiyoon k Allah aur Nabhi ki kehi hoi kisi baat
pe shaq karna bi islam se harij kar deta hay isi liye kaha giya k
MANO K MAIN TUMARA RAB HOON AUR HAZRAT MUHAMMAD(PBUH) MERE NABI HAIN
na is se agey kuch hay aur na pichey bus yehi sach hay
kehne ko to batoon se baat niklti jati hay per khair
pata nahi aap log meri batoon ko samajh sake k main kiya batana cha rahi hoon?
sorry agar kisi ko meri koi baat galat ya na munasib lagey ho to