Rapunzel said:Ap kion has rhe hain bhai
chandbabu said:nokari choor doon ?
Miss mine said:Teri yadon se kya nahi seekha?
Teri yadon se kya nahi seekha?
Be sabab to na thein teri yadein
Teri yadon se kya nahi seekha
Zabt ka hosla berha lena
Aansoun ko kahin chupa lena
Kanpti dolti sadaon ko
Chup ki chader se dhanp ker rakhna
Be sabeb bhi kabhi kabhi husna
Mozo-e-guftugu badal dena
Besabab to nahi teri yadein
Teri yadon se kya nahi seekha. . .
Miss mine said:
Bhujay bhujay say ajeeb din hain
Khuwab hai na khayal koi
Na mnzaron mein koi kashish hay
Na mosamon mein jamal koi
Hum aik doojay ko apni apni
Adhoori ankhon say dekhtay hain
Hamari barson ki chahaton par
Utar raha hai zaawal koi
Jo hasna chahein tu ashk niklein
Jo rona chahein tu hanstay jaein
Hamary jazbaat girvi rakh kar
Bana raha hai missal koi
Miss mine said:
~CHANDNI~ said:
Suno ek baat o sanam
Tum sai kaisai ye kahoon
Mujhe har lamhai mein
Tumhi yaad atai ho
Jaisai sang sahil kai
Ye lehar chalti hai
Jaisai sang phoolon kai
Khusbhoo bikharti hai
Waisai hi sang ho mere
Jaisai ek saya ho
Shama ye dil ki mere
Raushan hi tum sai hai
Jaisai koi deep jalai
Andheri in rahoon par
Tum mujhe thamai raho
Jaisai ek rehbar ho
Kabhi jo yunhi bauhat
Khud sai ghabraoon to
Mujeh bahoon mein sanam
Tum samait laitai ho
Mere hi sang raho
Jaisai ek jeevan ho
Suno ek baat o sanam
Tum sai kaisai ye kahoon
Mujhe har lamhai mein
Tumhi yaad atai ho.
wow zabardast jani.. bahut yaad ati ho
Miss mine said:Meri Subaho ko Tere shaamo ka..Meri shamon ko teri wadon ka..
Meri Raato ko teri Khuwabo ka ...meri neendo ko teri bahhon ka..
Meri jazbo ko teri chaaho ka...Behki behki se kuch khattaon ka..
Khoobsorat se kuch gunahoon ka...
Intezaar...intezaar...intezaar
Apne dilbar ka apne hamdam ka..apne jaanam ka ..intezaar
Surkh phoolo se mehka rasta hai...dil to mera mager zard patta hai
Aj ankhon se sab samander hai dil ka mausam to phir bhi banjer hai
Mehki mehki se kuch hawaoN ka..bheegi bheegi si kuch khataon ka
Intezaar...intezaar...intezaar
Apni badal ka apni baresh ka apni sawan ka intezaar
Apni dharkan ka apni sanson ka apni jeene ka intezaat
Koi badli kabhi is ratah aaye gi..piyas sadiyon ki phal mai bujh jae gi
Tujhko Lutakey meri aaghosh mein...dekhna waqt ki nasf tam jae gi
Aesa hone ko kuch duaoN ka...umer bhar jo melli un panahon ka
Intezaar...intezaar...intezaar
Tere aaane ka.. tujhko paane ka phir na jaane ka intezaar..
Intezaar Intezaar Intezaar
Rapunzel said:
~CHANDNI~ said:
Ek aada aapki dil churane ki…
Ek adaa aapki dil mein bas jaane ki…
Ek chehra aapka chand sa…
Ek zid hamari chand pane ki… ...
sho shweet this image is
olldman said:
~CHANDNI~ said:
Ek aada aapki dil churane ki…
Ek adaa aapki dil mein bas jaane ki…
Ek chehra aapka chand sa…
Ek zid hamari chand pane ki… ...
Bahut khoob, Chandni.
Asian said:
meai aur missy ko Bhai ka credit card mila
£400 spend ke
Bhai ka Bank ZINDABARD
shahrukh khan said:
~CHANDNI~ said:soooooooooooooo gya
aap tu contact hi nahi karti...halaanke aapne bola tha roz sms kiya karo gey
Mystique said:Shab-E-Mirage Mubarak.
sun_shine said:Assalam O alaikum
*May Allah swt forgive us All
and Guide us to the straight path Always Ameen...!
Rapunzel said:
Shab-i-Miraj means the night of Ascent. It is the blessed night when the Holy Prophet of Islam was spiritually transported to heaven and he reached a high stage of nearness to God Almighty which is beyond ordinary human comprehension. The Ascent took place on 27th day or Rajab, 2 years before Hijra. The journey was not with a physical body but was a vision of the highest type. On the way the Holy Prophet, peace be upon him, met Adam, Abraham, Moses, Jesus and some other Prophets. The purpose of the Ascent was to confirm the high status of the Prophet of Islam, a position which all Muslims believe, is impossible to attain by any other human being. It is related that even Gabriel, the Angel who was accompanying the Holy Prophet remarked at one stage, 'I am forced to stop here. I cannot go any further, but you O Messenger of peace and friend of the Master of the worlds, continue your glorious ascent.'
It is also related that the Holy Prophet continued his journey until he reached very close to the Throne of God Almighty and attained the utmost nearness to Him. After having drunk fully at the Divine fountain of spiritual knowledge he came down to impart the knowledge to mankind.
It was on this journey, that five daily prayers were made obligatory upon Muslims.
jiya101 said:Jo shaks iss Shab-e-mubaraq main ibadat-e-Ilahi main mashghool rahey ga tu Allah Tala uss shaks k dil ko murda na karey ga aur wo is din maray ga jis din qiyamat k hol se loogon k dil murda ho jain gai. Jo koi 27 Rajab ko shab bedari karey ga uss ki qabr farakh ho gi 70 darwazay jannat k iss k liyay khol diyay jaein gay.
Hazrat Salman Farsi(RA) ka qaul mubarak hai k NABI AKRAM(SAW) ne irshad farmaya kay jo shaks iss shab ibadat karey ga aur aglay din roza rakhey , tu ALLAH TALA uss shaks k nama-e-amal main 100 baras ki ibadat aur 100 baras kay rozoon ka sawab Likhay ga.
12 rakat namaz nafal parhain ,2,2 ya 4,4 kar k parhain ,kisi khas Surah ki qaid nahin . aur 12 rakat parhaney k bad 100 martaba SUBHAN ALLAH, 100 dafa “ASTAGHFIRULLAH RABI MIN QULI ZAMBI WA ATUBU AALAIHI” aur 100 martaba DAROOD SHARIF parhay aur roza rakhay jo shaks yeh karey ga jo chahey ga wo paey ga.uss k nama-e-amal main har rakat k badlay hajj aur umra ka sawab likha jaey ga aur is kay 12 baras k gunah mauf ho jain gay aur woo janat paey ga.
NABI-E-RAHMAT(SAW) ne farmaya k jo shaks iss rat 6 rakat namaz nafal ada karey har rakat main bad Surah Fatihah, Surah Ikhlas 7 ,7 martaba parhay tu ALLAH TALA us shaks ko bakshish dey ga aur har rakat k badlay 27 baras ki ibadat ka sawab milay ga aur woo janat main jaey ga.
Jab Sarwar-e-Kainat(SAW) Mairaj par tashreef lai kar gaey tu tamam Ambiya-e-Karam(AS) ne App(SAW) ki iqtada main namaz ada ki aur App(SAW) ne imamat main 2 rakat namaz ada ki . pehli rakat main Surah-Fael (Alam Taraqeefa) aur dosri rakat main Surah Quraish parhi pas jo shaks yeh 2 rakat namaz nafal iss shab parhay ga tu Allah Tala us ko Ambiya-E- Karam(AS) kay gruh ki muwafiqat ka sawab ata Farmaye ga.
NABI-E-AKRAM (SAW) aik dafa aik shaks ki qabar par pohanchay to uss murday nai chikhna chilana shuru kar diya kah “YA RASOOL (SAW) mujh ko dozakh ki aag jalayay dalti hai aur mera kafan aag ka ho gaya hai”.HAZOOR-E-AKRAM(SAW) Na farmaya “Agar RAJB main to aik bhi Roza rakh laita to hargiz yah aag teray paas na atti na yah Azaab hota .Hadees Sharif main hai kah jis nai Rajab main Tauba ki too uss kay liyay Jannat ka muzda hai
Iss shab-e-mubarika main Quran-E-Pak ki talawat ,Darood Sharif ki kasrat aur apnay gunahoon par ansoo bahana chahiyee iss shab “SALAT-TUS-TASBIH” parhna bhi nihayat mustahan hai.
ALLAH RABB UL IZAT ISS SHAB-E-MUBARAK TAMMAM AHL-E-IMAN KO KASRAT –E-IBADAT KI SAADAT NASEEB FARMAY, KHUSUSI BARKAT SAI SARFRAZ FARMAY, TAMAM GUNAHGAROO KI TAUBA KO QABOOL FARMAY AUR APNAY MAHBOOB BANDOO MAIN SHAMIL FARMAY. AMEEN
chandbabu said:
~CHANDNI~ said:
Chandbabu CONGRATZZZ ON your 5000
Mystique said:Oh sho cute.