~tasha~ said:time with mum......
Rapunzel said:Patharon Ki Basti Mein Kaarobar sheeshay Ka !!
Koi Bhi Nahi Karta Aitbar Sheeshay Ka !!
Kaanch Se Banaye Putlay Thori Door Chalte Hain !!
Chaar Din Ka Hota Hai Ye Khumaar Sheeshay Ka !!
Ban Sanwar Ke Harjai Ghar Se Nikalte Hain !!
Jane Kon Hota Hai Phir Shikaar Sheeshay Ka !!
Dil Ke Azmanay Ko Aik Sang Kafi Hai !!
Bar Bar Nahi Lena Imtehan Sheeshay Ka !!
Aakhir Is Zamanay Mein aarzi Hain Sab Rishte !!
Hum Ne Bhi banaya Tha Aik Yaar Sheeshay Ka !!
Rapunzel said:Jaltay Diye ke samnay
Jhonka Hawa ka Dekh ker
Tum kyon Odaas ho gaye
Mosam khizaa'n ka Dekh ker
Tum, Dukho'n ke soz ka
Mosamo'n ke Rog ka
Dard mat saha kro
Udaas mat raha kro
Ye Dard hen Hayyat ke
Kuch Rang kainaat ke
Kuch Dukh ki tez barshe'n
Kuch phool hen Nishaat ke
Tum Phool bas chuna kro
"Udaas mat raha kro...!!!"
Miss mine said:
~CHANDNI~ said:
Miss mine said:
Rapunzel said:
Miss mine said:
~tasha~ said:where's my pic
darling dont cry.. were on our way to u expect us on the 16th..
(damn she even looks like me)
sweet img
tashu is with u guyz now
SWEETIE TASHU RAPU N MISSY
mm abhi sweeti or tasho kay ghar to ham gahy nahi
To phr koi jungle ka hero dhoondo na, jo humme bachaye..
aur hum inke ghar jayeeeee
~tasha~ said:chandni
sweetie said:
meri tijori kis ne kholi hae?????????????????
Rapunzel said:chaand ke saath kai dard puraane nikale
kitane Gam the jo tere Gam ke bahaane nikale
fasl-e gul aai phir ik baar aseeraan-e-vafaa
apane hi Khoon ke dariya mein nahaane nikale
hijr ki choTT ajab sang-shikan hoti hai
dil ki befaiz zameenon se Khazaane nikale
umr guzari hai shab-e-taar mein aankhein malate
kis ufaq se mera Khursheed na jaane nikale
kuu-e-qaatil mein chale jaise shaheedon kaa juloos
Khvaab yun bheegati aankhon ko sajaane nikale
dil ne ik iint se taameer kiyaa taaj mahal
tuu ne ik baat kahi laakh fasaane nikale
dasht-e tanhaai-e-hijraan mein kharaa sochataa hoon
haaye kya log mera saath nibhaane nikale
main ne 'Dil' use bevaastaa dekhaa hi nahin
vo to Khushbu mein bhi aahat ke bahaane nikale
Miss mine said:Kitna sahel jaana tha
khushboo'on ko chhu lena
baarishon k mausam main shaam ka har ik manzar
gher main qaaid kar lena
roshini sitaaron ki mutthiyoon main bhar lena
kitna sahel jaana tha
khushboo'on ko chhu lena
jugnoo'on ki baatoon se phool jaise aangan main
roshini se kar lena
us ki yaad ka chehra khawaab naak aankhoon ki
jheel k gulaaboon per dair tak saaja rakhna
kitna sahel jaana tha
magar nazar ki khush fehmi
is tarhaan nahi hota
"titliyaan pakarne ko door jaana parta hai".
Miss mine said:
Aa Jao Sirf Ek Baar
Ab Aur Humse Raha Nahi Jaata,
Taras Gaye Hein Teri Ek Jhalak Ko
Ye Dard- E-Judaai Ab Saha Nahi Jata,
Aah Bhi Thak Chuki Tere Liye Tadap Kar
Seene Pe Ye Dard Ka Khanjar Saha Nahi Jaata,
Hum Bhi Pyar Karte Hein Bahut Tumse
Kyu Aapse Ek Baar Bhi Kaha Nahi Jaata
Teri Yaad Us Mod Pe Le Aai Hai
Jahan Zindagi Keh Rahi He Alvida
Aur Humse Tuje Mile Begair Mara Bhi Nahi Jaata...