yaar pabandi BHI iska reason hai kahoongi main tu...lekin kes qism ki pabandi akhir bohut see pabnadiyan tu khud insan ke haq main hotee hain or usko ye baat hi nahi pata hotee....
frustration sirf pabnadi se nahi iskey tu bohut sare reasons hain...
like
generation gap
jobless
lake of confidance
etc
pabandi insaan k liye achi hai ya nahi
yeh baad ki baat hai
frustration tab paida hoti hai jab hum dil se iss pabandi ko na manein, beshak upper se jo bhi kahein
hmmmm yep, mehroomi bhi,,
kuch mehroomiyan woh hoti hein jo pabandi ki waja se hi hoti hein
aur baki life mei kuch situation aisi ho jae k insaan jo chahe woh ho na sake
hum pakis k frustrate hone ka asal reason kya hai
pabandi ya mehroomi ???
frustrate tu yaar mehroomi hi hoyee na..aik hi baat hoyee...
tu hamara/logon ka attitude or kuch beja pabandiya bhi hamarey frustration ka sabab bantee hain..
pakistan main tu i think is waja say zaiada hai kay jaab gareeb loog amerooon ko yoon khulay aaam paisay karch kertay deekthay hein tu bhee unko mehroomi ka ihsaas hota hai ... phir ye mehmroomi aksar frustration main tabdeel hoo jatee hai..
han yar aik reason yeh bhi hai
but beleive me i ve seen ppl jo k Masha Allah bohot ameer hein,, harr asaaish hai unn k paas but still nihayat bhooki niyyat wale log
kehte hain na ke kissi ki aankhon main bhuuk hai... waise hi hote hain woh loog
yeh bhi aksar dekha jaata hai ke paisa to bahut hai lekin sakoon naheen hai, to wohi ameer loog ghareeb ko khush deikh kar apni mehroomi ko roote hain...
yeh khuda ne bhi kia dunya banaayi, eik doosre ko deikh kar soochte hain ke yeh kitna khush hai aur patta naheen ke woh bhi tumhaare baare main yehi soochta hai...
yehi to yehi to yehii toooooooo..
sab kuch hote hue niyat kyun bhooki rehti hai
sabb kuch hote hue kyun nashukre aur mehroomi ka shikar rehte hein log
kyuuuunnnnnnnnnnnnnnnnn
jab khuda insaan banane ja rahe tha to farishtoon ne kaha tha ke na karo aisa, hum thore hain aap ki ibadat karne wale. yeh loog fasaad kareinge, hasd kareinge, aur na jaane kia kia kareinge... lekin khuda ne dunya banai, no problem lekin insaan jo hain woh bas.....
kia kaha jaye ab...
eik family thi, bahut hi ameer, har jagga un ke ghar the aur europe main bhi unhon ne naukar rakhe hue the... paisa bahut tha lekin us ghar par jab beemaari aayi to woh paisa kissi kaam ka naheen raha, tab unko paise ki keemat patta challi...
hum loog samjhte hain ke humaare paas paisa hai aur hum sub kuch khareed sakte hain lekin khuda humain bata deta hai ke kuch naheen kar sakte aggar main na chahoon
challo yeh bahut sa lecture ho gaya, lekin kyon ka jawaab phir bhi naheen milla....
french muslims nahi hein
khuda pe harr baat liye bharoosa karne ko nahi mante
30 days k roze nahi rakhte k khuda ki di hui naimaton ki kadar karna seekh sakein
yeh sab to humein sikhaya gaya hai,, non muslims se kya gila shikwa
agar aisa hai sofi to phir hum log roze mei gussa kyun karte hein
aftari hote hi khane pe toot k kyun parte hein
gareebon ka ehsas agar wakai jaagta to kya halaat woh hote jo hein ??
but my dear sis, ab tum frustrated ho rahi ho...
roze ke liye acha naheen hai, abhi dekho takreeban 5 hours hain roze ko. abhi se itni frustration hogi to baad main kia hoga...
how is ur little one. main ne kissi forum main parha tha ke u had a little baby....
aik saccha muslim jub apnay jesay dosray muslims ko ghalat rahoon paar chaltay dekhta hai tu kya woe frustrate nahi hota ?
frustration tu insani nature mein hai ....jesay hansna,rona, bhook lagna natural hai eseyeee tarha frustration be natural hai.
koi supernatural humen he ho ga jesay frustration nahi hoti ho gey.....hmmm jesay sadahrath(bhudda)..uss nein apni zindagi kay bohot sei saal janglooon mein guzaray...for what ? i think for controlling the nature...jub woe wapis ayaa tu uss ka khana aik chireyaa kay bachay kay khanay kay barabar tha ...uss ko na gussa aata tha na koi havass ore na he koi talab....uss nein aesa sakoon pa leya tha jo kay hazaroon pills mil kay be nahi pohancha sakti...
but unfortunatelly uss kay followers nein ussay kay statue bana leye ore uss azeem insaan ko khuda bana dea.
agar ye na hota tu shaied ajj mein uss kay afkaar apni nisaab ki kitaboon mein paar rahay hotay like shakespeare and barnard shah...kue kay uss kay afkaar ko aik mazhaab ka darja dei deya geya ..ore mazhaab kay mamlay mein hum sub xtreamist hain.
i think jub insaan apni life sei unsatisfy hota hai tu waha frustration paeda hoti hai....ghareeb ess leye frustrated hotay hain kay un kay pass paesa nahi woe choti choti chezoon kay leye tarastay rehtay hain. ..amir ess leye hotay hain kay un kay pass sakoon nahi...woe un chooti chooti khushoon kay leye tarastay hain jo paesay sei nahi haredi ja sakteen.
duniyaa mein rahna hai tu frustration ka sath zindagi kay ehtatam tuk rahay ga..if you don't want to frustrated just control the nature!