Logo

Ramzan-Ul-Mubarik works in our home town


AOA...............me finy & shiny............
i am wid another Topic

sab yeah bataien ke aap ke Shehar(city) Country mai Ramzan ul Mubarik mai kya atmosphere hota hai...........kya aap feel karte ho...............kya loogoon ka Attitude hota hai.......................kaisa aap React or response kate ho Diff Conditions mai..............



take care
Chao


Posted on 10/29/2004 8:01:00 AM

Walikum Salam
                jawaban arz hai
                                  I observed kay saray din mein logoon ka different attitude hota hai......soba kay wakt loogoon ka raveyaa bohot naram hota hai loogoon kay chehray pay khushi hoti hai.......abnay bachoo sei pyar kartay hain ..un ki zarooriat pochatay hain...aik dosray sei pyar sei miltay hain.......kis ko madad ki zaroorat ho tu logoon ki kosish hoti hai kay dosron sei pehlay uss ki madad kareen. bus mein agar koi bazurg khara ho tu loog apni seat sei uth kay us ko juga detay hain....


rozay khulnay sei half hour pehlay logoo intahayee chircharay ho chukay hotay hain......kisi ka bazoo kisi sei touch ho jayee tu murnay marnay pay utar aatay hain.....kisi ko madad ki zaroorat ho tu ye kehtay hoyee guzar jatay hain..MUJAY FIKRAY JAHAN KUE HO...JAHAN TERA HAI YA MERA............bachaa koi zid kaar bethay tu uss ki shamaat woe bi litaroon sei......ek ajeeb sa mahoool hota hai jesa hum jahanum mein aa geye hoon.


roza khulnay kay foraan baad ajeeb sei hamoshi saray sheher pay cha jati hai......logoon kay ravayeee phir naram ho jatay hain.......jin sei jugra hoa ho un ko khud he ja kay manatay hain.....logoon ko rook rook kay pochatay hain app ko kisi madad ki zaroorat tu nahi.....gareboon ko khanay khilayee jatay hain...fikaroon mein pesay bantay jatay hain.........


Tera pala OO jayee 1:30 buj geye jummay ka time ho geye mei geye



Posted on 10/29/2004 12:30:46 PM

hmmm,, sehri k aur aftaari k baad jo rawayye ki narmi hai
woh asal mei KHUMAAR E GANDUM hai

sab kha kha k tunn hue hote hein,, larai ki himmat nahi hoti
khekehekeheee...

Posted on 10/29/2004 2:11:49 PM

mera country main log
bahut bhooka hota.jaisay
hee langar khulta wasay
hee khatam hojata.hamaray
tu mazay lagay paray hain
khao pio aur soo jao
dont have to waste my energy
in noticing ppl behaviours

Posted on 10/29/2004 2:55:03 PM

what is AOA?

Posted on 10/29/2004 3:09:46 PM

AOA..........Mr nice guy AOA stands for Assalam-o-Aleikum!
nice hai Faradiay ki observation..........

aur Mephistopheles tum kaun si Country mai hota

take care
Chao


mr nice guy:
what is AOA?

Posted on 10/29/2004 3:34:24 PM

muje pata tha yaar :p itne lambi khani lik lete ho aur itna sa poora salam nahi lika jata che che

Posted on 10/29/2004 3:40:47 PM

hah-hah-hah
nice guy's
right u shud say
not AOA but oye
oye

Posted on 10/29/2004 4:12:51 PM

nice one freddy

idher to kuch patta naheen chalta.haan jahan par kuch muslim igathe rehte hoon udher patta chalta hai ke ramzaan hai aur iftaari ya sehri ka time hai...

lekin ghar main bahut acha atmosphere hai ramzaan ka...


Posted on 10/29/2004 4:19:40 PM

AOA.............Thnx Nice Bro..............
and Mephistopheles uuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuu



Mere City mai kaafi achha rahta hai Ramzan mai.......Subah mai Sahri se pahle 3:30 pe ek siren hota hai............phir har 30 minutes ke baad again hota hai.............i think 5 Am pe Sahri ka Time khatam ho jata hai............ then Namaz ................phir Went to Sleep ............aur Iftari ke time pe kaafi Rash hota hai..........Due to job abhi tak mera kisi bhi market mai Iftari ke time pe Chakkar nahi laga...........Iftari se pahle ek Khamooshi se hoti hai...........iftari pe bhi Ek Zoor ka Siren hota hai..........aur TV pe Diff Channels pe Aazan telecast hoti hai...........

baaqi baad mai........office timings start............

take care
Chao

Posted on 10/30/2004 7:46:50 AM

rozay daaro
ALLAH kay pyaaro
sehri khatam honay main
sirf 10 ghantay reh gaye hain
supid tera country wala loudspeaker
ka bahut galat use karta.itna shore
karta kay soona mushkil hojata
samjha na yaar inko teri baat tu mantay
hee hongay na

Posted on 10/31/2004 6:29:50 AM

AOA...................LOLS . yara Mephistopheles Really i missed these lines.........Roozay Daroo ALLAH KE piyaaroo Sahri ka waqt ho gya hai..............
tum ne Yaad dilaya....Thnx....
aur yaara kahne diya karooo
tum kaun sa kisi ke Uthane se uth jate ho gay......
btw tum ne bataya nahi in which Country u r living?


take care
Chao


Mephistopheles:
rozay daaro
ALLAH kay pyaaro
sehri khatam honay main
sirf 10 ghantay reh gaye hain
supid tera country wala loudspeaker
ka bahut galat use karta.itna shore
karta kay soona mushkil hojata
samjha na yaar inko teri baat tu mantay
hee hongay na

Posted on 10/31/2004 7:55:05 AM