yeah to humein maloom he hai ke Aladien aik ghareeb larka thha jisey charagh mila aur woh nawaab ban baittha per yeah nahi jaantey keh... ek din Aladien nein "kaho na pyar hai" ki DVD nikalnein ke liey apni almaari ka darwaaza khola to wahan na to DVD pari thhi aur na woh charagh jo uss nein uss almaari mein sambhaal ke rakha tha. Bus phir kiya, Aladien sahab nein purple jeans pehni ooper yellow shirt(how cheap ), tie lagai aur nikal gyey charaagh ki talaash mein, Aladien Fardeen ki terhan handsome thha per ussey kaprey pehennein ka saleeka bilkul na thha, kabhi kabhi tamater colour ki shirt bhi pehn liya kerta thha....well, Aladein sahab apnein charagh ki talaash mein gaamzan hein, woh red Farari per sawaar hein, gaari ka AC on hai aur dec chal raha hai "ae mere dil kaheen aur chal" good song, kaafi purani choice hai per achhi hai. Pareshan haal Aladien, gaari ko race kuchh ziada he de detey hein aur gaari aik barey se bohar ke drakht se ja takraati hai, 2 din baad Aladien ki aankh khulti hai aur woh apnein aap ko hospital ke bed per paatey hein ..........aagey kiya hooa??
itni buri mat keejiey uss bechariey ke saathh.....hai to bechara humara hero he "Bhai Aladien". Kaafi fame haasil ker chuka hai charaagh ki buniyaad per, public sarkon per nikal aaiey gi. .............Jahaan tak mein jaanta hoon, Aladien ki taang tho chaar hafton mein ttheek ho gyee thhi aur woh ek baar phir charaagh ki talaash mein nikal para thha. Bechara aur kerta bhi kiya aik jin ke illawa uss ke paas aur thha he kiya. Raat ko jab ussey neend na aati to jin ussey lori they ker sulaaya kerta thha, abb ussey lori denein wala he nahi thha. Well, there he is in the car. Hospital ke main-gate se nikaltey he uss nein right turn liya aur motorway per charrh gaya. Abb Aladien sahab cheechoon ki malliyan ki teref gaamzan hein jahaan uss charagh ke jinn ke kuchh rishtedaar rehaish-pazeer thhey. Woh wahaan iss liey jaa raha thha kionke woh jaanta thha keh charagh ka jin weekeneds per apnein relatives se milnein wahaan laazman chakker lagata hai. Aladien ko motorway per charhey abb aadh ghanta ho chuka thha keh yak damm uss ki mile stone per nazer peri ......[+ Cheechoon Ki Malliyan chaar sao churtaalees kilometer +> .....
arey me to apne aap se bhi nahi milti to
but ab yeh jasmine kaun hai
loo jiii phir aladin chal pare channoo ki galiyon ki taraf,, par wahan pohonch k pata chala k channoo ki abhi abhi 5 min pehle baraat nikal gai,,,
aladin ne socha phir se apan chirag dhoondta hu k jinn usse past mei le jae aur sab kuchh pehle jaisa ho jae
chall dil mere
laga le do chaar phere
yeh dunya jhooti
par hum uss se bhi bare lutere