Logo

Maikada mera ghar ho toh mai kiya karoon!

ley key sagery aftab peetay hain
yeh samaj kar key hai sawab peetay hain
kufer hai naimatoon ka thukrana
shaik jee aaye sharab peetay hain
maikada mera ghar ho toh main kia karoon

yeh surkh surkh botelin hai jo sharab ki
raatein hain bandh in main hamarey shabab ki
aa Allah tujh sey dua yehi hai meri
bad marney key jo koi meri kabar ko dekhey
woh kabar na kahein, kahein hai bhatti sharab ki
maikada mera ghar ho toh main kia karoon!!

...............................................

Posted on 2/6/2005 8:27:23 PM