Logo

::: Sham k surmai Andheron main :::



sham k surmai andheron main
yun mere dil k dagh jaltay hain
jese parbat k sabz pairdon per
barf k baad dhoop pardti hey
jese sehra ki rait urd urd kar
ajnabi ka tawaaf karti hey,,,


Duur reh kar jo dil main rehta hey
wo sitam-gar bhi ghair kehta hey
kitni masoom aarzuon ko
kistarah log tord jatay hain
jese damm tordtay musafir ko
qafilay walay chord jatay hain


sham k surmai andheron main
yun mere dil k dagh jaltay hain

aanhain bharta hun ashk peeta hun
roz marta hun phir bhi jeeta hun
teri yaadon ki tishnagi ab tak
yun mere dil ko tham leti hey
jese ik taaza qabr per bewa
marne walay ka naam leti hey


sham k surmai andheron main
yun mere dil k dagh jaltay hain
jese parbat k sabz pairdon per
barf k baad dhoop pardti hey
jese sehra ki rait urd urd kar
ajnabi ka tawaaf karti hey,,,




Posted on 11/26/2005 7:29:00 PM


By ALI SHER..

I just love this song,,, is ki poetry kammaal ki hey...






Posted on 11/26/2005 7:31:33 PM

aaaaw kisi ne posting e nahi ki...

kahan chalay gaye saray ba-zoq log...


Posted on 11/27/2005 3:39:31 PM

yes,ali sher ka ye gana mujhe bhi bohat pasand he doc.i think ye munir niazi ki nazm he,ya kisi aur ki?

Posted on 11/29/2005 9:12:09 PM

nahi KHWAJA PARVEZ ne likha hey jo filmi poetry k liye mash-hoor hain...


Posted on 11/30/2005 7:52:18 PM