Chalnay ka Hausla nahi, Rukna muhaaL kar diya
Ishq kay is safar nay to Mujh ko Nidhaal kar diya
Mumkina Faislon mein aik Hijr ka Faisla bhi tha
Hum nay to aik baat ki, us nay KamaaL kar diya ! (Parween Shakir)
********************************
Zindagi ke daman-e-hairat mein ye manzar bhi tha
Jiske paas ayena tha wo Shakhs be-Jauhar bhi tha
Main kay sari umr jalwon ke ta`aqub mein raha
Ik Jahan-e-Husn meri ankh ke andar bhi tha (Aasi Karnaali)
********************************
Bahut Maheen tha Pardah larazti palkon ka
Mujhay Chhupaya bhi tu nay mujhay dikhaya bhi
Beyaaz bhar bhi gayee aur phir bhi Sadah hay
Tumharay naam ko likha bhi aur mitaya bhi
(Happy Anniversary Faiz Ahmed Faiz)
********************************
Ye Qurb kya hay kay tu saamnay hay aur hamein
Shumaar abhi say Judai ki sa-atein karni
Milein jab un say to mubham si guftugo karni
Phir apnay aap say sau sau Vazaahatein karni
Hum apnay Dil say hain Majboor aur logon ko
Zara si baat pay barpa Qayamatein karni..
yaadon ke sailabon main doob jaana yaad hai
choti choti baaton ko sunna sunana yaad hai
patjhad main bhi lagta tha mausam baharon ka
tumhare intezaar main waqt bitana yaad hai
thakti nahi thi aankhen dekh dekh rasta
naye bahane banake der se tumhara aana yaad hai
kushboo main hawa ki dhoondna tumhari mehak
baarish ki boondon main apne ashka milana yaad hai
kabhi saath baithe baithe yuhi waqt bita dena
kabhi meri har baat par tumhara muskuraana yaad hai
kabhi bin bataye tumhaara sab kuch keh dena
kabhi keh ke bhi baat chupana yaad hai
kuch sunna chahte the hum tumse
par tumhara na keh paana yaad hai
abhi to mile bhi nahi the raaste humare
yun ek mod par raahon ka mud jaana yaad hai
chaha tha ek kahani bane humari
magar panno ka achanak bikhar jaana yaad hai
kahanni na sahi afsana to ban gaya
is afsaane ka har fasana mujhe yaad hai.