Logo

... Educated Galz in Pak ...

hmmm,, okk one more thing ive been observing since few yrs
time to say it

Pak mei ab bohot log larkiyon ki studies pe zor dete hein,, kam se kam graduate to ab pak mei tareeban harr larki hai,, higher studies bhi karti hein

i met a lot of paki families (in pak, in uk, in france)
they sometimes introduce me to their daughters, daghters in law,, so proudly
"she s MA Eco.. MBA, studying Medical, double MA, Mphil,, etc etc"
Q : aur yeh sab karti kya hein ??
A : shadi ho gai hai,, ghar sambhalti hein

wait wait,,, im not saying aurat ko parhna nahi chaiye,
na hi yeh keh rahi hu k job karna bohooootttt zaroori hai
yeh bhi nahi keh rahi k bachon aur ghar ko chor k sirf prof life ki taraf dehan de

but
mujhe yeh lagta hai k, pehle jiss tarha larki ka khoobsurat, khoob-seerat, ameer etc etc hona zaroori tha,, ab uss ki degrees bhi sirf uss ki "value barhane" k kaam aati hein
that ur in-laws can present u so proudly to their relatives "k hamari bahu kittniiii parhi likhi hai"

hmmm,, meri soch galt ho sakti hai,,,
but i asked a question to a vvv old friend whose fiancee is mba, and after engagement woh ghar pe rehti hai,,, jawab yeh mila k na-mehram k saath job kaise kar sakti hai,,,
Q : hmmmm,,, na-mehram k saath woh parh bhi to rahi thi na
A : me kama sakta hu,, usse job ki kya zaroorat hai
Q : hmmm,, baat job ki nahi hai,, baat aik prof activity ki hai,, jo k sirf paison liye nahi ki jati,, khud ko kaar-amad banane ki baat hai
no answer,,

khair aik zyada important masla
these galz who know well k unhein parh likh k kuch bhi nahi karna,, y do they take place of other students ????
univ mei fixed number hote hein,, larki layak hai usse jaga mil gaya,,, larka parhai mei thora kam hai usse admission nahi mila,,,
but he could b get a better job agar uss ki jaga kissi larki ne nahi li hoti

abhi aur kehne ka mood nahi
ur turn now
(dont take me wrong,, im only talking abt galz who r concerned by this matter,, bohot si aisi larkiyan hein jo k ghar, bachon k saath apni studies / job bohot ache tareeke se chala sakti hein)

plzzzzz
hath hola rakh k............
ps : barae meherbani molvi type answer na kiye ja'ain
(molvi type se matlab lanat malamat waale)

Posted on 4/30/2006 2:01:16 PM

shahrukh khan:
haan tu un ka masla hai..karne do

iss forum mei jitne bhi pbs hein unn ka directly hum mei se kissi se koi wasta nahi hai

yani k yeh forum aur yahan k tamam topics --> UNN KA MASLA HEIN, KARNE DO

Posted on 4/30/2006 6:24:42 PM

true
post ur comments in every topic in serious corner

BALOCH Channel <-- unn ka masla hai karne do
Inflation <-- unn ka masla hai karne do
Iran n Bush <-- unn ka masla hai karne do
Abused children <-- unn ka masla hai karne do

Posted on 4/30/2006 6:31:51 PM

i dont know,, may b
if these topics doest help then they shd not exist

Posted on 4/30/2006 6:39:00 PM

aik baat hai agar larkiyo ko ghar hi batana hota hai tu itne taleem ka faida kya?? :s

Posted on 4/30/2006 7:48:42 PM

salllllll, pehle hi ap ne itna kuch sun lia ab main aur kya kahoon asal main pak main not only girls but boys also to a lesser extent are getting educated without any sense of direction or purpose.i have a colleague who did m.a in economics,taught in a high school for a while,joined construction industry for a couple of months now he is marketing executive in our firm...earning less then nikama and planning to open a private school.as for girls yes education also increases their VALUE in our marriage marketplus they just keep enrolled in versities just to kill time before geting married.but very slowly and steadily situation is changing for better in urban pakistan at least.lets hope aginst hope

Posted on 5/1/2006 11:39:38 AM

well... ooper walay kuch replies parh k to mujhe bhi ghussa a raha hey..

i want to say some words about the topic.. sall is very much rite about it... grls ka literacy rate kafi zyada acha hey... i c lots n lots of grls of Punjab university.. most of them are studying economics.. stats.. maths etc... i dont much about the subjects but i do know.. k ye subjects parh k agar aap ne ghar e bathna hey to behter hey aaram se BA karain...

jab hum medical main aaye thay... hamaray professor kaha kartay thay k jis larki ne practice nahi karni. wo abhi se seat chord day taa k kisi deserving ko mil jaye...

its sort of trend.. show off...

ye bohat acha topic hey... but i m sorry sall.. people are not seriously answering...

Posted on 5/1/2006 1:32:41 PM

true nikama
but job karna mard ki majboori hai,, chahe parh k usse mazdoori hi karni pare but kaam usse karna hi hai,, there isnt any other option
im not being pesimist,, im only trying to point out a pb no one even realised yet
we r wasting our half power

thnxx daktar
im glad that few ppl tried to understand

Posted on 5/1/2006 7:19:44 PM

exactly.. we are wasting our half powers...

to is k do e raastay ho saktay hain... ya to larkiyan larkon ka haq na maarain(jinhon ne achi khaasi taleem hasil kar k kuch nahi karna)
ya seriously apni studies ko practical karne ka sochain..

well i think.... husband ya ghar waalon se pehle ye larkiyon ka qasoor hey... most of them are studying for Degree( to show off) ... jo kuch karna chahti hain, wo kar leti hain...

Posted on 5/1/2006 7:50:31 PM

hmm,,,, dont agree yar
hamare han bache ka zehn uss k parents banate hein,, larki k zehn mei yeh baat bachpan se bethi hoti hai k usse sirf apne husband aur bache sambhalne hein,,
usse serious guidness kabhi milti hi nahi
(its not true for allll galz, but zyada yehi hota hai)
i agree kuch log aise hote hein jinhein kissi guidness ya encourage karne ki zaroorat nahi hoti,, but yeh umeed hum sab se nahi laga sakte

degree se show off karna bhi sahi hai,,,
jab larki ko pata hai k meri degree ka sirf aik yehi maksad hai to bass woh apni degree se yehi kaam leti hai

Posted on 5/2/2006 9:41:11 PM

hmmmmmmm
tum jio hazroo sall tum nahi sall
now listen
mai in baaton ko isliya fazoool kah raha hooon cz yah baat har bachy bachy ko pata hai .tum na yah baat kar k koi teer nahi para .......
hum sub prob n critse karny mai sub say agay hoty hain but us k hul k liya khuch nahi sochty...
aj kal asii baatian har koi kar raha hai ...cz har koi batna chatha hai k woh pak k sub say zaida
khyal rakhny waly hain
dekhoo aub centuries say ghulam rahay hain......khabi muslims govt ki n khabi btitish....
n still ....
acyually Gory(english) nay humara zehanooon pay kaam kiya hai un ho na humaray mind he ghulam bana diyay hain ...
time lagtaa hai har cheez say nikalnay k liya ..mai na yah nahi kaha k tum na khuch ghlat kaha ..but yah baat sub ko pata hai jis ko dekho woh yah he baat kar raha hai k pak mai yah ,woh ...
but koi is k liya accha nahi soch raha
u kno better jub hum abroad mai bathy pak k haal dekthy hain in Tv news etc .we feel k wahan tu khanay k liya bhi khuch nahi hai
looog bhooky maar rahy hain
as we all kno tum khuch ursa phely in pak mai thiee u tell me k ppl k kiya haalat hain mean ek normal life ghuzar rahi hai sub ki
koi bhook say nahi mur raha yah sach hai k halat khrab hai ghurbat hai but kon but ghreeb kider nahi here in usa tum soch bhi nahi saktiii ...
18 hours kaam karna partaa kaam kar kar k shkalian he ajeeb hoo gaienn hain n phir bhi ro rahya hain ok
aub aty hain gal ki education ki ..dekho yah sach hai k humary haan gals ko bauth prob face karny party hain
but yahan baat atii hai society ki ok ......
k humari society kiya hai ....jaliyat hai ...but now Insllah haalat acchy hoty ja rahyaa hain
in next 30 to 50 years sub theek ho ga 30 to 50years is liya kaha k society, mind ek din mai change nahi ho jaty ok
aub ager tum asaa sochti hoo k gals ko after studies job karna chiyah tu m sure tum apni beti ko nahi roko gaiee ...but as compare to urs mom woh mayby na chati hoon k meri beti job kary ..but time 2 time har cheez change ho jati hai
ager tum is topic mai yah likh datii k haalat aub acchy hoty ja rahya hain inslllah khuch ursaa mai sub betar hota nazar a raha hai tu koi read karny wala is say healty impression laytaa ...ok

mery frnd hindu,afriacns,bahgli hain ..un ho na khabi yah nahi kaha k humaray country mai yah sub khrab hai bul k woh yah kethy hain k hallat aub acchy hotu ja rahyaa hain
but hum is k bilkul agaist hain asaa nahi hona chiyah
is liya ketha hooon k +tive thinking honi chiyah
ganday ko ganda kah dayna koi braveness nahi hai ....us k liya khuch karna k woh accha ho jaya woh hai baudrai

barhaal u all guys try kiya karian ager hum pak k liya khuch accha kar nahi sakty kum say kum soch tu sakty hain ..... pak mai jo buriean hain un ko discuss karna fazool hai cz yah baatoan hum last 55 years say kar rahay hain yah he waja hai k hum aj tak waheen khray hain cz hum sirf bolty hain k wahan yah wahan woh but uss khrab cheez k theek karny k bary mai nahi sochtay

sall je aub plz ek bar yah kah doo "Yah Aya Pak k Bara Humdard lolzzz"

sirf ek acchi thinking hi pak k haalat badal day gaiee INSALLAH

OMG raat k 3 baj gaya hain zalim loog sony bhi nahi datyaay

holla

Posted on 5/3/2006 12:23:04 PM

SALL:
hmm,,,, dont agree yar
hamare han bache ka zehn uss k parents banate hein,, larki k zehn mei yeh baat bachpan se bethi hoti hai k usse sirf apne husband aur bache sambhalne hein,,
usse serious guidness kabhi milti hi nahi
(its not true for allll galz, but zyada yehi hota hai)
i agree kuch log aise hote hein jinhein kissi guidness ya encourage karne ki zaroorat nahi hoti,, but yeh umeed hum sab se nahi laga sakte

degree se show off karna bhi sahi hai,,,
jab larki ko pata hai k meri degree ka sirf aik yehi maksad hai to bass woh apni degree se yehi kaam leti hai

well sall... i must say k ab wo time nahi hey jab grls apnay parents ki taraf se guidance ka intazar karti hain.. i m saying this on the basis of my personal observation...jab wo apni marzi se apni pasand k subjects chose kar sakti hain, maths, stats, economics..psychology... i cant admit k un k mind main ye nahi hota k unhain kya karna hey... ye sab practical subjects hain aor inko sirf parhnay ka koi maqsad nahi agar aap professionaly apply nahi kartay...

aap ki baat bhi ghalat nahi hey sall, lekin i must say ab ye scene kafi hudd tak change ho gya hey...

Posted on 5/3/2006 7:54:45 PM

aap ki baat tu sahih hai sall lekin is ka hal nikalna hamara kaam hona chahiye
log is topic ko parhein gay aur bas
inqelaab jab aata hai jab hamari sooch mein tabdeli aaye

Posted on 5/3/2006 7:59:20 PM

Gee-Z:
mery frnd hindu,afriacns,bahgli hain ..un ho na khabi yah nahi kaha k humaray country mai yah sub khrab hai bul k woh yah kethy hain k hallat aub acchy hotu ja rahyaa hain
but hum is k bilkul agaist hain asaa nahi hona chiyah
is liya ketha hooon k +tive thinking honi chiyah
ganday ko ganda kah dayna koi braveness nahi hai ....us k liya khuch karna k woh accha ho jaya woh hai baudrai

holla

Dekhain... bhai... halaat aor haqeeqat se nazar churana ye e hey agar hum bhi kahain k Humaray country main sab theek hota ja raha hey. jab k aisa nahi hey...
+ve thinking to zaroor honi chahiye lekin is ka matlab ye nahi k hum facts ko neglect kerain...
aor bhai... hamara aik masla ye bhi hey k hum baat e nahi kartay... aap ne theek kaha k log sirf baatain kartay hain lekin i must say k serious aor sochnay walay topics pe koi baat karne ki himmat e nahi karta..

aor hum to ye bhi kahain gay, k aajal kitnay logon main itni himmat hey k wo Buray ko Bura keh sakay...

Posted on 5/3/2006 8:01:06 PM

Gee-Z:

sall je aub plz ek bar yah kah doo "Yah Aya Pak k Bara Humdard lolzzz"

sirf ek acchi thinking hi pak k haalat badal day gaiee INSALLAH

holla

kisi bhi achay kaam ka pehla step ACHI THINKING e hoti hey...

Posted on 5/3/2006 8:03:25 PM

haan ye bhi sahih baat hai

Posted on 5/3/2006 8:07:25 PM

rapunzel,yehi baat sahi he,as u said in your previous post k inqilaab tab aay ga jab hamari soch badle gi to soch to aisi meaningfull discussion se hi badalti hai na!coming back to topic i have observed that our work environment also discourages many girls from choosing a career.their parents also feel hasitant to send them in an atmosphere where sex starved males oggle at them like hell,paki men i think aggle more at girls then men of anyother country in the world.besides there is also a tendency to keep girls underpaid,accept for multinationals,n.g.os and some good national companies,elsewhere girls are paid less as compared to their male colleagues for the same services.these factors also account for less participation of gals in economic activities.and one thing more i dont know why but girls in our country dont grow up into mature all round personalities,i mean their knowledge abt the world around them remains so limited as compared to boys of their age.their interests,their hobbies are so predictable and traditional that one really gets bored of their company,and this lack of an all round personality also hamper their development in professional life.and... and...and

Posted on 5/4/2006 11:43:32 AM

Gee-Z:
hmmmmmmm
tum jio hazroo sall tum nahi sall
now listen
mai in baaton ko isliya fazoool kah raha hooon cz yah baat har bachy bachy ko pata hai .tum na yah baat kar k koi teer nahi para .......
hum sub prob n critse karny mai sub say agay hoty hain but us k hul k liya khuch nahi sochty...
aj kal asii baatian har koi kar raha hai ...cz har koi batna chatha hai k woh pak k sub say zaida
khyal rakhny waly hain
dekhoo aub centuries say ghulam rahay hain......khabi muslims govt ki n khabi btitish....
n still ....
acyually Gory(english) nay humara zehanooon pay kaam kiya hai un ho na humaray mind he ghulam bana diyay hain ...
time lagtaa hai har cheez say nikalnay k liya ..mai na yah nahi kaha k tum na khuch ghlat kaha ..but yah baat sub ko pata hai jis ko dekho woh yah he baat kar raha hai k pak mai yah ,woh ...
but koi is k liya accha nahi soch raha
u kno better jub hum abroad mai bathy pak k haal dekthy hain in Tv news etc .we feel k wahan tu khanay k liya bhi khuch nahi hai
looog bhooky maar rahy hain
as we all kno tum khuch ursa phely in pak mai thiee u tell me k ppl k kiya haalat hain mean ek normal life ghuzar rahi hai sub ki
koi bhook say nahi mur raha yah sach hai k halat khrab hai ghurbat hai but kon but ghreeb kider nahi here in usa tum soch bhi nahi saktiii ...
18 hours kaam karna partaa kaam kar kar k shkalian he ajeeb hoo gaienn hain n phir bhi ro rahya hain ok
aub aty hain gal ki education ki ..dekho yah sach hai k humary haan gals ko bauth prob face karny party hain
but yahan baat atii hai society ki ok ......
k humari society kiya hai ....jaliyat hai ...but now Insllah haalat acchy hoty ja rahyaa hain
in next 30 to 50 years sub theek ho ga 30 to 50years is liya kaha k society, mind ek din mai change nahi ho jaty ok
aub ager tum asaa sochti hoo k gals ko after studies job karna chiyah tu m sure tum apni beti ko nahi roko gaiee ...but as compare to urs mom woh mayby na chati hoon k meri beti job kary ..but time 2 time har cheez change ho jati hai
ager tum is topic mai yah likh datii k haalat aub acchy hoty ja rahya hain inslllah khuch ursaa mai sub betar hota nazar a raha hai tu koi read karny wala is say healty impression laytaa ...ok

mery frnd hindu,afriacns,bahgli hain ..un ho na khabi yah nahi kaha k humaray country mai yah sub khrab hai bul k woh yah kethy hain k hallat aub acchy hotu ja rahyaa hain
but hum is k bilkul agaist hain asaa nahi hona chiyah
is liya ketha hooon k +tive thinking honi chiyah
ganday ko ganda kah dayna koi braveness nahi hai ....us k liya khuch karna k woh accha ho jaya woh hai baudrai

barhaal u all guys try kiya karian ager hum pak k liya khuch accha kar nahi sakty kum say kum soch tu sakty hain ..... pak mai jo buriean hain un ko discuss karna fazool hai cz yah baatoan hum last 55 years say kar rahay hain yah he waja hai k hum aj tak waheen khray hain cz hum sirf bolty hain k wahan yah wahan woh but uss khrab cheez k theek karny k bary mai nahi sochtay

sall je aub plz ek bar yah kah doo "Yah Aya Pak k Bara Humdard lolzzz"

sirf ek acchi thinking hi pak k haalat badal day gaiee INSALLAH

OMG raat k 3 baj gaya hain zalim loog sony bhi nahi datyaay
holla

just want to say ONE THING
"serious corner" --> where u can DISCUSS serious matters
i beleive discussion wahin hoti hai jahan koi masla ho
agar me itna keh du k "hamare han aisa hota hai, par its not such a big deal, Allah miyan sab theek kar dein ge"
we dont need to discuss something which will b fine without any effort

there s a topic here IRAN n BUSH
aap ne wahan pe yeh comments nahi diye k "muslims aik hein, Isha Allah halaat theek ho ja'ain ge,, we muslims wont leave Iran alone,, america ki koi majal nahi k aankh utha k dekh sake,,, bura bura sochne se koi faida nahi"
jab kissi ko bura kehna hota hai to u beleive in facts, apne gireban mei jhankne ki baat aati hai to hum log bohot optimist ho jate hein

acha hai,, apni apni soch hai
kissi pb ko solve kerne se pehle uss mei apni galti ko admit karna zaroori hota hai
yeh meri soch hai
koi iss se mutafik ho ya nahi,,, I DONT CARE

sirf tareef karne se mujhe koi matlab nahi
me achi tarha janti hu k hum logon mei kya kuch acha hai,, par achaiyan to sab ko pata hoti hein,,, point out to burai ko kiya jata hai

im saying it again,, u dont need to waste ur time in my topics

Posted on 5/4/2006 1:18:38 PM

Doctor Sam:
well sall... i must say k ab wo time nahi hey jab grls apnay parents ki taraf se guidance ka intazar karti hain.. i m saying this on the basis of my personal observation...jab wo apni marzi se apni pasand k subjects chose kar sakti hain, maths, stats, economics..psychology... i cant admit k un k mind main ye nahi hota k unhain kya karna hey... ye sab practical subjects hain aor inko sirf parhnay ka koi maqsad nahi agar aap professionaly apply nahi kartay...

aap ki baat bhi ghalat nahi hey sall, lekin i must say ab ye scene kafi hudd tak change ho gya hey...

yar mujhe pata hai time change ho raha hai par pakistan sirf isb, lhe ya khi nahi hai
doosri baat,, zehn bachpan se banaya bhi to jata hai na
bachpan se koi aisi guidness nahi milti k samajh aae k unhein kya aisa parhna chaiye k prof life mei kaam aa sake

pabandi nahi hai,, par guidness bhi nahi hai
larkon k saath baat alag hoti hai, they go out, they have friends, contacts jahan se kuch pata chal sakta hai unhein,,,,, but girls ?????
unhein kaun batae ga,, and as i already said larkon k zehn bachpan se bana hota hai k chahe kuch bhi ho they must work with or without studies,, lakiyon k liye yeh optional hai

galti sab ki hai,, parents ki, teachers ki, mahol ki
aur khud larkiyon ki bhi that they dont want to change things

Posted on 5/4/2006 1:29:05 PM

rapunzel:
aap ki baat tu sahih hai sall lekin is ka hal nikalna hamara kaam hona chahiye
log is topic ko parhein gay aur bas
inqelaab jab aata hai jab hamari sooch mein tabdeli aaye

CORRECT
soch mei tabdeeli aane k liye pehle pbs ko samjho,, uss ki galti ko samjho,, zaroori nahi k koi kahin se aa k sab badal de,, khud bhi to hum issi system ka hissa hein na,,
arent we the new generation
hum log kam se kam apni soch aur amal to badal sakte hein na

agar iss topic ko parhne k baad kissi pe koi asar nahi hoga to bhi koi baat nahi,, atleast mujhe andaza ho jae ga k abhi halaat badalne mei kitne aur saal hein,,,
just one generation or 3 more

Posted on 5/4/2006 1:32:40 PM

nikama:
coming back to topic i have observed that our work environment also discourages many girls from choosing a career.their parents also feel hasitant to send them in an atmosphere where sex starved males oggle at them like hell,paki men i think aggle more at girls then men of anyother country in the world.besides there is also a tendency to keep girls underpaid,accept for multinationals,n.g.os and some good national companies,elsewhere girls are paid less as compared to their male colleagues for the same services.these factors also account for less participation of gals in economic activities.and one thing more i dont know why but girls in our country dont grow up into mature all round personalities,i mean their knowledge abt the world around them remains so limited as compared to boys of their age.their interests,their hobbies are so predictable and traditional that one really gets bored of their company,and this lack of an all round personality also hamper their development in professional life.and... and...and

vvvvv true nikama
my uncle doesnt want his daughter to work coz he thinks "office ka mahol acha nahi hota"
last time i said to him mahol kharab hai to aap k bete k liye bhi hoga, woh kyun job karta hai,,

aur sab se important baat
agar me apni beti ko ghar mei mehfooz kar lu aur bete ko bahir jaane do,,, to meri beti to mehfooz hai par doosron ki betiyan mere bete se mehfooz hein ya nahi ??
khair yeh hum topic se door ja rahe hein par masla to hai

salary ka pb sirf pak mei nahi europe mei bhi hai
but since more women r working yeh pb zyada se zyada discuss hota hai,,, zahir hai jo masla zyada logon ka hoga usse solve hone mei kam time lage ga
if u dont want women to b paid less than men,,, encourage ur galz to work

ur last point
this is wot my "galz" topic is abt

Posted on 5/4/2006 1:40:44 PM

iss topic ka matlab logon pe, parents pe ya mahol pe ungli uthana nahi hai
matlab sirf itna hai k jo mahol humein nahi mil saka,, woh mahol hum apne bachon ko to de sakte hein na

agar iss generation k larke larkiyan bhi yehi sochein k larki ka job karna ya parhna sahi nahi hai,,, ya phir uss ki degree sirf larki ki value barhane k kaam aae gi
to wot do u expect ?????????
halat kab change honge ???

aik poori generation ki soch badal jae to shayad halat 50yrs mei behtar ho ja'ain ge
par agar abhi bhi sirf 25% log badle hein to phir to we can wait,,,,,,,, 100 may b 200 more yrs
or dont know

Posted on 5/4/2006 1:48:57 PM

SALL:
Gee-Z:
hmmmmmmm
tum jio hazroo sall tum nahi sall
now listen
mai in baaton ko isliya fazoool kah raha hooon cz yah baat har bachy bachy ko pata hai .tum na yah baat kar k koi teer nahi para .......
hum sub prob n critse karny mai sub say agay hoty hain but us k hul k liya khuch nahi sochty...
aj kal asii baatian har koi kar raha hai ...cz har koi batna chatha hai k woh pak k sub say zaida
khyal rakhny waly hain
dekhoo aub centuries say ghulam rahay hain......khabi muslims govt ki n khabi btitish....
n still ....
acyually Gory(english) nay humara zehanooon pay kaam kiya hai un ho na humaray mind he ghulam bana diyay hain ...
time lagtaa hai har cheez say nikalnay k liya ..mai na yah nahi kaha k tum na khuch ghlat kaha ..but yah baat sub ko pata hai jis ko dekho woh yah he baat kar raha hai k pak mai yah ,woh ...
but koi is k liya accha nahi soch raha
u kno better jub hum abroad mai bathy pak k haal dekthy hain in Tv news etc .we feel k wahan tu khanay k liya bhi khuch nahi hai
looog bhooky maar rahy hain
as we all kno tum khuch ursa phely in pak mai thiee u tell me k ppl k kiya haalat hain mean ek normal life ghuzar rahi hai sub ki
koi bhook say nahi mur raha yah sach hai k halat khrab hai ghurbat hai but kon but ghreeb kider nahi here in usa tum soch bhi nahi saktiii ...
18 hours kaam karna partaa kaam kar kar k shkalian he ajeeb hoo gaienn hain n phir bhi ro rahya hain ok
aub aty hain gal ki education ki ..dekho yah sach hai k humary haan gals ko bauth prob face karny party hain
but yahan baat atii hai society ki ok ......
k humari society kiya hai ....jaliyat hai ...but now Insllah haalat acchy hoty ja rahyaa hain
in next 30 to 50 years sub theek ho ga 30 to 50years is liya kaha k society, mind ek din mai change nahi ho jaty ok
aub ager tum asaa sochti hoo k gals ko after studies job karna chiyah tu m sure tum apni beti ko nahi roko gaiee ...but as compare to urs mom woh mayby na chati hoon k meri beti job kary ..but time 2 time har cheez change ho jati hai
ager tum is topic mai yah likh datii k haalat aub acchy hoty ja rahya hain inslllah khuch ursaa mai sub betar hota nazar a raha hai tu koi read karny wala is say healty impression laytaa ...ok

mery frnd hindu,afriacns,bahgli hain ..un ho na khabi yah nahi kaha k humaray country mai yah sub khrab hai bul k woh yah kethy hain k hallat aub acchy hotu ja rahyaa hain
but hum is k bilkul agaist hain asaa nahi hona chiyah
is liya ketha hooon k +tive thinking honi chiyah
ganday ko ganda kah dayna koi braveness nahi hai ....us k liya khuch karna k woh accha ho jaya woh hai baudrai

barhaal u all guys try kiya karian ager hum pak k liya khuch accha kar nahi sakty kum say kum soch tu sakty hain ..... pak mai jo buriean hain un ko discuss karna fazool hai cz yah baatoan hum last 55 years say kar rahay hain yah he waja hai k hum aj tak waheen khray hain cz hum sirf bolty hain k wahan yah wahan woh but uss khrab cheez k theek karny k bary mai nahi sochtay

sall je aub plz ek bar yah kah doo "Yah Aya Pak k Bara Humdard lolzzz"

sirf ek acchi thinking hi pak k haalat badal day gaiee INSALLAH

OMG raat k 3 baj gaya hain zalim loog sony bhi nahi datyaay
holla

just want to say ONE THING
"serious corner" --> where u can DISCUSS serious matters
i beleive discussion wahin hoti hai jahan koi masla ho
agar me itna keh du k "hamare han aisa hota hai, par its not such a big deal, Allah miyan sab theek kar dein ge"
we dont need to discuss something which will b fine without any effort

there s a topic here IRAN n BUSH
aap ne wahan pe yeh comments nahi diye k "muslims aik hein, Isha Allah halaat theek ho ja'ain ge,, we muslims wont leave Iran alone,, america ki koi majal nahi k aankh utha k dekh sake,,, bura bura sochne se koi faida nahi"
jab kissi ko bura kehna hota hai to u beleive in facts, apne gireban mei jhankne ki baat aati hai to hum log bohot optimist ho jate hein

acha hai,, apni apni soch hai
kissi pb ko solve kerne se pehle uss mei apni galti ko admit karna zaroori hota hai
yeh meri soch hai
koi iss se mutafik ho ya nahi,,, I DONT CARE

sirf tareef karne se mujhe koi matlab nahi
me achi tarha janti hu k hum logon mei kya kuch acha hai,, par achaiyan to sab ko pata hoti hein,,, point out to burai ko kiya jata hai

im saying it again,, u dont need to waste ur time in my topics

huh
discussion ..... aur khuch na karna bus yah he karnaa.... k flaan woh flaan yah etc
itni baatian jo kar rahii hoo
tell me wats urs contribution?
kiya khuch kiya hai tum na kise ek bhi asii larki k liya jis pay zalum hota hoo..or khuch bhi accha kisi k liya....... but yah its done k baatian bauth ki hain
sall ji i want k aub hum ko in baaton wali baaton say nikal ana chiyah
bauth kar lii sub nay baatian ...aur jub say pak bana hai karty chaly a rahya hain .jis ko dekho jub dekhoo kisi na kisi mai koi na koi khami nikalnay pay tula hua hai
effort? kider hai ji ap ki koi bhi effort except yah ruti ratie baatian jo sub ko pata hai

rahi iran n bush waly topic ki baat ..... i ddint read it yet
but ager mai asaa kahoon ga K Allah sub accha kary ga tu i will say .. cz Allah pay mera blv hai woh sub khuch kar sakta hai

Bura ....
Miss sall sub ko pata hai k kiya hoo raha hai ....plz aub girbaan mai jahkna bund karo aur sub khuch karooo mai yah hee kah raha hooon kub say ...
koi ek ap mai say hum sub mai say koi suggestion day k hum kissi bhi pb ko kiss thran slove kar sakty hain
Hum itnay looog hain yahan hum sub khuch kar sakty hain... but remember ya koi room nahi hai jo ek din mai clean ho jaya gaa...

in the end ..
Nikma k sig
Jo Khuch nahi Karty Kamal karty Hain
meri request hai ap say bulk hum sub say k kamal karna chorain aur khuch accha karny ki try tu karian .....

Next time koi motivative sa topic banana wid some good suggestion jiss say kisi k bhala bhi hoo ..

Holla

Posted on 5/5/2006 12:54:08 AM

aik meherbani karo plz
18hrs kaam kar k kam se kam mere topics pe jawab mat diya karo,,,

u r right discussion karna bohot galt hai,, aisa nahi karna chaiye
par akela banda discuss nahi kar sakta
dont answer here and there wont b any STUPID DISCUSSION
how can u stop me from doing something u r doing urself

im sure aap ko Allah pe bohot bharosa hai
mujhe bhi baki sab PROBLEMS ki tarha uss k hawale kar k niklo yahan se

can someone plz "translate" me the rest of mr GeeZ post
mera dimag dhuwan dene laga hai,, im unable to understand wot does he want (except teasing me)

Posted on 5/5/2006 12:12:50 PM

SALL:

yar mujhe pata hai time change ho raha hai par pakistan sirf isb, lhe ya khi nahi hai
doosri baat,, zehn bachpan se banaya bhi to jata hai na
bachpan se koi aisi guidness nahi milti k samajh aae k unhein kya aisa parhna chaiye k prof life mei kaam aa sake

pabandi nahi hai,, par guidness bhi nahi hai
larkon k saath baat alag hoti hai, they go out, they have friends, contacts jahan se kuch pata chal sakta hai unhein,,,,, but girls ?????
unhein kaun batae ga,, and as i already said larkon k zehn bachpan se bana hota hai k chahe kuch bhi ho they must work with or without studies,, lakiyon k liye yeh optional hai

galti sab ki hai,, parents ki, teachers ki, mahol ki
aur khud larkiyon ki bhi that they dont want to change things

SALL ... i agree to ur last sentence... kion k aaj kal ki larkiyan achi khaasi BA-SHAOOR hain.. i m talking about majority... not all of the grls..

Posted on 5/7/2006 4:37:04 PM

i m really feeling sorry for what is happening here...

Posted on 5/7/2006 4:38:05 PM

ya me too

Posted on 5/8/2006 12:08:08 PM

Doctor Sam:
SALL ... i agree to ur last sentence... kion k aaj kal ki larkiyan achi khaasi BA-SHAOOR hain.. i m talking about majority... not all of the grls..

yarr see,,
this topic is not aimed to parents or "society"
coz yahan tamam readers young log hein,, jo k abhi koi resp liye hi nahi hein

matlab sirf itna hai k agar koi galti baron se ho gai hai to kam se kam HUM ab wohi galti na dohra'ain
apni mehroomi ka badla, idrectly or indirectly, apni aulad se na lein
aur coming generation ko hum tabhi sahi kar sakte hein jab purani aur present galtiyon ko pehchanein ge

bass

y feeling sorry ??
atleast it shows us the "other" side of miror (the maj part)

Posted on 5/8/2006 1:08:42 PM

bari mushkil say itnaa laamba topic parha hai ..

mainey aur meri sister dono nay fsc k baad jaab agay admission laina tha .. abbu nay hum say aik baat ki thee k jis bhee field main jana hai chali jao.. main kabhee bhee tumharay bhaiyoon ko tum par priority nahi daina chahta ..

pehli baat larkay aur larkiyoon ko equal rights millay ..

i wanted to be a pilot .. laiken us ka mahool he kuch aisa hai k wahaan mujhay janay ki permission nahi mille.. so i opted for simple BA .. coz mera mind agay job ka nahi hai .. ziada say ziada i'll go for teaching .. im clear in my thoughts k mujhay agay kia kerna hai..

my sister opted for telecommunication engineering .. us ka agay job ka mind hai .. inshAllah wo karay ge bhee .. laiken being a gal ye problem hai k agay us k in laws usay kernay dein ya nahi .. laiken us ka mind bhee clear hai k agay us nay kia kerna hai ..

meri bohat se friends .. saab ko pata hai k agay kia kerna hai per wohi same problem being a gal hamain ye nahi pata k agay in laws walay kernay dein k nahi ..

my point is that k hamain apni fields k baray main bilkul clearity hai k agay kia kerna hai .. par ye conservative thinking .. parents.. in laws .. men domination .. is saab ka kia karein??

aur ye point k galz r unaware of the fields .. nahi i dunt think so .. coz the galz around me .. humain pata hai kaun kaun see field hai aur kaun see galz k liay ziada suitable hai aur agay is fields ka kia kia kaam hai ...

kaafi se larkiyaan just for the sake of their parents parh rahe hein .. abhee BA main meray sath aik frnd hai i asked her k us nay FSC (medical) kyun kia ... she said my parents wanted me to become a doctor .. us ka mind nahi tha is liay us nay agar medical ki field ko nahi select kia ..

Posted on 6/13/2006 1:07:59 PM

hmmm,, in-laws wali baat theek hai
par yar shadi mei ya shadi k baad larki ki koi marzi nahi hoti kya ??
kya uss ki life uss k in-laws ki marzi se honi chaiye
howww silllyyyyy

Posted on 6/18/2006 1:31:33 PM

this is not silly yaar .. idher bht he cheezon par larkiyoon ko COMPROMISE kerna perta hai .. app tu married hain tu app ko pata he hoga ..

larki ka job kerna shadi say pehlay he agar decided ho tu kam chalta hai baad main kam he larkiyoon ko permission millti hai .. main sab ki baat nahi ker rahee, majority ko baat ker rahe hon..

meray saamnay meri cousins, frnds k cases hein .. shadi sey pehlay aur shadi k baad ki life .. shadi k baad usually larkiyoon k paas time he nahi hota k apni education ko carry rakh sakain ya job ker sakein .. aur jo workinh women hein un ki life itni busy hoti hai .. k hardly wo manage ker paati hein..

my point is k larkiyoon ko parhna chahyee atleast itna k in case buray waqat main wo koi job wagira ker sakein ..

Posted on 6/18/2006 9:51:58 PM