Logo

Glass aadha bharaa ya aadha khali?

Jindgi jeene ka kya andaz hona chahiye?

Satisfaction or ambitions ?

Ek aadmi ko jindgi mei jo haasil hua hei use accept
kar sabr kar lena chahiye ya aur jyada aur barre ke
liye try karte rahne chahiye ?

Jo log kahte hei ki glass aadha khali hei, vo log kahte
hei ki satisfaction word ka istemaal vo log karte hei
jinme himmat nahi hoti. Aage barrne ke raste mei jo mushkilen aati hei vo log unkao face karne se darte hei
aur apni nakaami ko chupane ke liye is word ka sahara lete hei. Satisfaction aadmi ke aage barrne ke raste ka full stop hei.

Ya dono ke beech ka koi teesra rasta chunna chahiye ?

Filhaal kisi teesre raste ka tassawur na kiya jae to aapki rai kya hogi?

Glass aadha bhara hei ya aadha khali hei?

Posted on 11/19/2006 9:54:55 PM

hamesha agay ka sochna chaye lakin jo mil jaey us pay uper walay ka shukar ada karnay chaye or us say duaa mangni or apni pori himat karni chaye kay us say zeyiada hasiul ho mean kay glass adha bhi hpo to khush rehna chaye lakin usay bharnay kay liay pori koshish karni chaye

Posted on 11/19/2006 11:52:49 PM

koi ek baat kahiye hazoor.
dono mei se ek chunani hei, teesra option
nahin hei.

Posted on 11/20/2006 12:34:10 AM

bhai hum to dono ko lay kay chaltay hain na zayeida na kum ki khuwaish hai

Posted on 11/20/2006 12:58:57 AM


yar ye to phirka-parasti hui, ek tareeke se.
yaar politics mei jaane ka iraada to nahin rakhte?

Posted on 11/20/2006 1:08:39 AM

na yar koi irada nahin lakin ager apnay jo option di hain woh zarori to nahin kay har mind ko satisfied karti hon bhai hamra mazhibt to hamayn yehi sikhta hai jo milay us pay razi raho or behtar say behtar ki jastego karo

Posted on 11/20/2006 1:39:14 AM

agar muj se koi mujhe to i will alwayz say the glass is half empty maybe because i'm always pessimistic. i dont believe in sabar kerna, agar tumhain lagta ha k jo tum ne hasil kiya ha usse tumhain satisfaction nahin ho rahi to whats wrong with wanting something that you will find satisfaction.
if the glass is half empty i will find a way to fill it up.

Posted on 11/20/2006 7:11:53 AM

i think insaan ko wohi kuch milta hain jo uski takdeer main hain.main satisfied hoon aur aagay barhnay ki koshish karti hoon.baki glass bharay ya na bharay yeh to meri kismat hain.jo main deserve karti hoon woh mujhay milay ga inshallah.

Posted on 11/20/2006 8:38:45 AM

jinndaagiiiiiiiiiiiiii sojjj baaanayyy
saaaj na bannnne paaaaaaaye
sollly



satisfied or ambitious
well,, ambitious hone ka matlab na-shukra hona to nahi hota
mere nazdeek matlab hai k, jo aap k paas hai uss se khush ho par agar aur ho to kya harj hai


sabar shukar karna achi baat hai,, par koshish karne mei to koi bhi burai nahi hai,,, han par kuch paane ki koshish mei itna andha nahi ho k jo hai usse hi dekh na pao

hum ko pehle glass aadha khali hi nazar aata tha
ab bhara dikhata hai,, par baki ka aadha bharne ki teeeeraaee kar re le hein,, hum kitne akalmand hein na kyun k hum ne teeesra rasta chuna

shayad hamari teesri ankh khul gai hai

Posted on 11/20/2006 7:39:43 PM

i go with ss je kyionkay mera apna bhi yehi openion hai

Posted on 11/21/2006 1:29:13 AM

jo takdeer main hai usse sabar kar lo bethe bethe to kuch nahin hota

Posted on 11/21/2006 6:47:49 AM

ya i agree baithay baithay to kuch nahi hota.koshish karni parti hain aur yeh koshish ka karna bhi aapki takdeer hain.
maine life main ek baat sekhi hain
"agar koi cheez aapki kismat main hain to koi ap se chhen nahi sakta,aur agar koi cheez apki kismat main nahi hain to koi aapko day nahi sakta,koi kuch bhi kar lay ".

Posted on 11/21/2006 8:18:26 AM

jee inhi words ka sahara lekar to kuch log mehnat se bachte hei. kismat mei hoga to mil jaega. arrre haath aage barrao aur taqdeer se do do haath karo.

kahte bhi hei na fortune favours the braves.

AAp kya kahte hei?

Posted on 11/21/2006 5:15:52 PM

hum apni pori koshish kartay hain agay uper walay ki marzi kay woh milta hai kay nahin ager usnay hamari takder main likha hoga to mehnat karnay say mil jayega ager nahin likha to phir bhi hamayn uska shukar ada karna chaye kyionkay hamari mehnat ka ajar hamayn aik din zaror milayga or han danie je sabar karnay ka yeh matlab nahin hai kay hum hath pay hath dhar kay baith jayen balkay iska matlab hai kay ager koi chezz nahin bhi mili to isko uper walay ki raza samghay or is main bhi hamaray liay koi behter chez he hogi kyionkay jo karta hai woh karta hai or jo woh karta hai sahi karta hai

Posted on 11/22/2006 2:06:16 AM

yess you are right.mera bhi yehi opinion hain.

Posted on 11/22/2006 8:35:35 AM

danie je mera khyial haiab apko apna ans mil geyia hoga apki option main say to nahin hai lakin hamara openion to yehi hai

Posted on 11/23/2006 12:58:56 AM


Feel Satisfied for what you have and still try for better one.


Posted on 11/23/2006 10:39:28 AM

agay ka sochna chahiye per hamesha khayal rakhna chahiye ke woh koi bhi cheez kisi najayaz raste na hasil kare hamesha allah ka shuker ada kerna chahiye.

Posted on 11/23/2006 10:00:59 PM

zabardast je pehli dafa kafi logoon ka aik hi raye hai wesay yeh srif raye hai ya is pay amal bhi kartay hain hum loog sochnay wali bat hai

Posted on 11/24/2006 12:32:01 AM

thora buhat amal kartay bhi hain.

Posted on 11/24/2006 8:41:53 AM


Feel to aisay he hota hai keh amal ho raha hai.

Posted on 11/24/2006 10:10:03 PM

Amal karna hi parrta hei. Kyon ki uske alawa koi aur raasta hi nahin hei.

Jab koi khwab dekha,
Uski tabeer chaahi,

Junoon ki had tak,
koshishen hui haasili ki,

Lekin afsos paane ki chaah mei khud mit gae,
Allah ko yahi manzoor tha, mitte-mitte ye kahte gae.

Are yaar ye to kuch cheez ban gai si lagti hei.

Posted on 11/25/2006 11:31:04 AM

sun_shine:
thora buhat amal kartay bhi hain.

lakin yeh thora boht bhi har koi nahin karta or wesay jab hum mantay hain pphir bhi pata nahin kyion amal nahin kartay

Posted on 11/27/2006 12:38:09 AM

shayad hum samajhtay hain kay hum hamesha zinda rahengay.maut se be khabar hain hum.

Posted on 11/27/2006 8:49:41 AM

yeh bat bhi sahi hai par kaye log hain jo kehtay hain mugh samit aj jo hai je lo kal jo hoga daykha jayega esa kyion

Posted on 11/28/2006 12:30:17 AM

shayad woh log bhi sahi ho.but i think kay jo hum aaj kar rahay hain usi kay mutabik hi hamara kal hoga.

Posted on 11/28/2006 8:50:38 AM

yehi to main bhi keh raha hon hum sab jantay hain phir bhi kyion sahi kam nahin kartay boht mar parnay wali hai

Posted on 11/28/2006 11:57:55 PM

nahi achi umeed rakhni chahiye.Allah Subhanau Taa'la Rehmaan o Raheem hain.

Posted on 11/29/2006 8:15:35 AM

beshak lakin hamayn apnay amal bhi to nazar atay hain na test main pas honay kay liay kuch na kuch to likhna parta hai na

Posted on 11/29/2006 11:14:43 PM

per kya pata hum nay zindagi main koi naik kaam kiya ho.

Posted on 11/30/2006 8:28:48 AM

hope for best bus uper walay say rehmat ki umeed hai nahin to hum kyia hamari oqat kyai

Posted on 12/1/2006 12:44:56 AM