Logo

¤-*...Soch kar batain...

AsSalam o Aleikum

pichlay dinon mujhe kafi kuch daikhnay, sun.nay and parhnay ko mila
and unhi baton ko lay kar mainay yah topic banaya hay ( jiska maksad maybe aap ki samajh main na aey ...
so zabardasti nahin hay if u dont want to answer )

so...
nichay main kuch logon ka zikar karongi
aap nay un k baray main 2 2 lines likhni hain
aik achi and aik buri.

ab bat yah bi ati hay hay k boht si batain aen gien achi bi and buri bi (aap k mind main)
but aap nay jo bat sab say ziada SAHI ho aap k nazdek
wo choose kar k likhni hay :)




aap kia sochtay hain k mard kaisa hota hay? by nature (fitrat)     ( mind main apnay bro, son, father etc ko bi rakh kar jawab dain)


aap kia samajhtay hain k aurat kaisi hoti hay? by nature (fitrat) ( mind main apni sister, daughter, mom etc ko bi rakha kar jawab dain )









Posted on 12/6/2006 4:22:07 AM


Sochnay walay aaen gay wohi bataen gay. yeh kaam mujh sai to nahi hota.


Posted on 12/6/2006 8:47:55 AM

MARD ki nature Allah ne dominating banaee hay
waisay mard ko apnee ankhain nechee rakhne ka hukam is liye dia hay kay woh thora sa aurat ki taraf attract hota hay is liye us ko hukam pahle dia gaya.

Aurat ko Allah ne kam akal karar dia aur us ko mardki zimadaree banaya. Aurat ki composition main narmee rakhee hay Allah ne.

Posted on 12/6/2006 11:08:02 PM

^ Haha @ aurat's part

Mard: Hand in hand with his girlfriend, but eyes on someone else .

Aurat: Emotional yet strong.

Posted on 12/7/2006 3:51:01 AM

mard by nature chata hai har kam uski marzi say ho har mard esa nahin hota lakin zeyiada tarh esay hi hotay hain

orat by nature samghota karnay wali hoti hai har esi nahin hoti lakin zeyiada tarh esi hoti hain

Posted on 12/8/2006 12:29:56 AM

>Aasera<:
AsSalam o Aleikum

pichlay dinon mujhe kafi kuch daikhnay, sun.nay and parhnay ko mila
and unhi baton ko lay kar mainay yah topic banaya hay ( jiska maksad maybe aap ki samajh main na aey ...
so zabardasti nahin hay if u dont want to answer )

so...
nichay main kuch logon ka zikar karongi
aap nay un k baray main 2 2 lines likhni hain
aik achi and aik buri.

ab bat yah bi ati hay hay k boht si batain aen gien achi bi and buri bi (aap k mind main)
but aap nay jo bat sab say ziada SAHI ho aap k nazdek
wo choose kar k likhni hay :)




aap kia sochtay hain k mard kaisa hota hay? by nature (fitrat)     ( mind main apnay bro, son, father etc ko bi rakh kar jawab dain)


aap kia samajhtay hain k aurat kaisi hoti hay? by nature (fitrat) ( mind main apni sister, daughter, mom etc ko bi rakha kar jawab dain )











Mr or Miss Aasera ..
ya confuse ppl wali baatian hain k kiss ki nature acchi hai aur kiss ki buri hai ...bus accha socho n accha karo. chyah male ho ya female

Posted on 12/8/2006 12:28:50 PM

MARD:
KESA HOTA HEY.. iska jawab zara mushkil isliye hey k her insaan ki apni nature hoti hey. Lekin jese TT bhai ne kaha. Mard ko Allah ne strong banaya hey. Mere khayal main MARD main SABR TAHAMMAL AOR BARDASHT aurat se zyada honi chahiye. (wese to in qualities ki zaroorat sab ko hoti hey). MARD main DECISION POWER honi chahiye.

AURAT:
by nature NARM dil ki hoti hey. Aurat ko samajhdaar hona chahiye. Aurat Mohabbat karne wali hoti hey.

Posted on 12/8/2006 7:15:39 PM

Thanks ppl jinhon nay reply diya..

ab mera maksad yah nahin tha k kon kiya jawab daita hay
( coz sab ki diff soch hoti hay na )
balkay mera man.na tha k bohat kam log is topic main post karen gey JAWAB..
and wohi hoa :D

* baki rahi sab k jawabon ki bat to wo bi mujhe chahiyay thay but yahan discuss k liyay nahin.


ab dusri bat yah hay k

jin logon nay jawab diya hay
aap logon ko yah question kitna mushkil laga?
bohat sochna parha ya foran answer day diya?
jawab dainay k bad bi socha k NAHIN MUJHE KUCH AUR LIKHNA CHAHIYAY THA..



Posted on 12/8/2006 10:54:27 PM

yaar..hum nay socha jawab dein
likin jab hum aaye
kuch aisay azeem loag jawab day chukay thay k hansi he nahi ruk rahi thi


issliye hum gayab he ho gay k aisay aaalem logon k samnay hamari kiya oqaat..jo sirf lafzon ki haad tak sahi hein..khud kabhi oss baat per amal nahi ki

Posted on 12/8/2006 11:35:46 PM

hmmmm main ne to zara soch k jawab diya hey. zehn main jo baatain thien, unhain compile kiya...

Posted on 12/9/2006 12:08:22 AM

aik bat saf hai hamayn yeh sochnay walay kam say bari nafrat hai isliay humnay to relax mod main jawab deyian thay

Posted on 12/9/2006 12:30:41 AM

daktar sam sahib mai na ketha tha k ap sub say azeem or alam fazil hain yahan aub tu ya baat sub kar rahiyah hain

MMj acchi baat hai ap zara kum soch k jawab datiya hain

Posted on 12/10/2006 12:30:11 PM

men is dominating in our society
in my view men and women should have equal position in society
ya theek hoga

Posted on 12/10/2006 1:14:40 PM

nida meray questions theek say nahin parhay aap nay
main yah nahin poch rahi k kon ziada acha hay kon nahin...na hi sirf apni society ki bat ki hay.

acha to i will not reply in this topic... coz mujh sirf jawab chahiyay hain jo kuch milay bi...kuch aur shayad mil jaen.

thanks.


Posted on 12/10/2006 7:43:59 PM