khawateen o hazraat jaisa kay aap jantay hain aaj basant hai charaon janab chhaton par nikamay log mojood hain music say kaan pari awaz sunai nahin day rahi
ranga rang ganay baj rahay hain kuch desi aur kuchh badesi mulahiza farmiye is indo pak ishtarak ka nateeja kya sunai day raha hai main jo lines alag alag likh rahi hun aap un ko mila kay parhiye tou ye ishtarak mazboot dikhay ga
saqi saqi o saqi saqi ray
kundi na kharka
jumeraat raat hai aa ja
teray binnnnnnnnnnnnnn
kabhi na sakoon aya kabhi na qarar aaya
asan teri gal karni aey dadi naal
o sharbi
gujra oye
aik baar aa ja aa ja
wellll...
dont know wot to say
hum ko na patangon se dushmani hai, na basant se, na music se.........
etiraz hai to tareeekon pe, i can understand gharon mei sukoon se rehne walon pe kya guzarti hogi,, subah kaam pe jaane wale log kitna disturb hote honge
indo pak k iss "musical" ishterak pe sirf itna keh sakte hein k
do be-sure mil k bhi be-sure hi rehte hein
heyyy aik baat batao
chaton pe larkiyan nahi jati kya ?????
larkiyan mohallon main chhaton par kam hi hoti hain
but androon lahore tou baqaedda chhaton par hi cooking dancing nazaray etc hotay hain
khawteen mardon kay shana bashana hissa laiti hain is kaam main
But mera na barha dil chahta hay basant daikhnay ka rang hi rang
hastay muskuratay log
rahi bat shor ki to aik din shor sun lainay say kia fark parh jata hay yahan to summer main har weekend par kisi na kisi kay ghar "mohalay main (norwegians ppl )" party hoti hay... raat 21:00 say subha 6:00 or 7:00 bajhay tak.. nach gana...shorh + unhon nay pi bi rakhi hoti hay.
and agar ghalti say party hamari block main ho..and wo bi uper walon kay ghar to phir to sari night lagta hay uper gorhay dorh rahay hain
BUT log nice hain... ham un kay beech rahnay aey hain to bughtna to parhay ga na waisay bi gussa nahin ata...itni khamoshi hoti hay yahan aam dino main kay...shor "acha" lagta hay.
Waisay mujhe guddi urhanay ka bohat shoq hay...but aati nahin
dil to maira bi bohat kamzor hay
aik ghubara phat jaey ti jaan nikal jati hay
i know Queen sis... wo to "ghalat" logon ki "ghalat" harkaton say hota hay.
and wo ALWZ HOTA HAY... not only today... and shayad hota rahay ga.. the fact iz kay ab sudharnay ka time nahin raha.
and aap ko kia lagta hay..jo log aisa kartay hain, ya jin ki wajah say kuch bura hota hay..unko is bat ka ahsas nahin hota? i dont think so.. sab ko nateejay ka ilm hota hay