Kia hey humarey darmyaan rishta
khoojta rahtaa hoon
saara din beytha tumheyn sochta rahtaa hoon
rooz idher udhar kii hum baateyn kartey heyn
baat baat pey hastey heyn khush hootey heyn
kaam mein bhee ab kahaan dill lagta hey
din katna bhee mushkil lagta hey
raat ghar louttey hii khana khaata hoon
chaeyey bana key cigg sulgaa key
computar key saamneyn beyth jaata hoon
phir sab raah jaatey heyn zaroori kaam
nigaheyn buss dhoondhti heyn tumhara naam
kahaan kii neendeyn
kahaan kii raateyn
phir hoo jatii heyn shroo humarii
idher udhar kii baateyn
kia hey humarey darmyaan rishtaa
khoojta rahta hoon
saara din beytha tumheyn sochtaa rahta hoon
tumheyn hii apna samjha hey
tumheyn hii apna maana hey
thak haar key dill ney buss
yehii jaana hey
kahneyn ka goo ikhteyaar naheyn
per kahneyn mein koii aar naheyn
jaanaan
ajab tum sey nisbat hoo gaeii hey
mujhey tum sey muhabbat hoo gaeii hey,,,,,,,,,,,
ik taaza baa taaza nazam [Aap] kii nazar