Logo

Kehne ko to woh mera kaha man ker gaya

Kehne ko to woh mera kaha man ker gaya
Leekin woh meri zaat ko sunsan ker gaya

Jholi main bhar ke le gaya mere tamam dukh
Aapni hansi ke phool mujhey dan ker gaya

Lagta hai iske dam se hi raunak thi char su
Ik shakhs sare shehar ko weeran ker gaya

Chehra wohi raha mager aankhain badal gayi
Ik pal main mujhko jaan se anjaan ker gaya

Isse kahoon ga raste appne juda hue
Her bar aapne dil main yehi than ker gaya

Janan tumhari yaad ka pekar ujalne
In rastoon pe jab bhi gaya jaan ker gaya

Lafzoon ke teer khaye bina sab samajh gaya
Lehja tumhari aankh ka ehsaan ker gaya

Jo iske ziker se bhi garezan raha boohat
Aise judaa hua mujhey heran ker gaya

Aapne her ik khawab ki perchayi cheen ker
Woh ashq meri aankh main mehman ker gaya

Posted on 7/19/2007 5:18:22 AM

gr8 work dear

Posted on 7/19/2007 6:32:05 AM

thanks everybody


Posted on 7/19/2007 5:45:43 PM

nice one kiran

Posted on 7/19/2007 7:47:39 PM

thanks dear

Posted on 7/19/2007 8:46:44 PM

   zaberdast

Posted on 7/20/2007 2:52:21 AM

kiran:
thanks everybody



most welcome kiran

Posted on 7/20/2007 6:32:33 AM


Posted on 7/21/2007 6:36:24 AM