Logo

----- Yahan Tak Ke Uss Se -----

Me yeh soch ker uss k dar se utha tha
k wo rok le gi
mana le gi mujh ko

Hawaon mei lehrata aata tha daaman
k daaman pakar k bitha le gi mujh ko
kadam aise andaz se uth rahe the
k awaz de ker bula le gi mujh ko

Magar uss ne roka
na uss ne manaya
na daaman hi pakra
na mujh ko bithaya
na waaz hi di
na wapas bulaya
me ahista ahista barhta hi aaya

yahan tak k uss se juda ho gaya me
yahan tak k uss se juda ho gaya me
juda ho gaya me...


------------ K. AZMI ----------

Posted on 9/23/2003 3:15:45 PM

awwwwwwwwwww

its very nice sall

yahan tak k uss se juda ho gaya me
yahan tak k uss se juda ho gaya me
juda ho gaya me...


Posted on 9/23/2003 6:12:52 PM

tsk tsk...soo sad :(

Posted on 9/23/2003 7:00:33 PM

han na naaa [V]
thanxx sweeto n dreamyyy :)

Posted on 9/23/2003 9:07:35 PM

Hum mein hi thi koi baat jo naa YAAD tum ko aaskay
Tum nay humein bhula diya hum,na tumhain bhula sakay...

Posted on 9/23/2003 11:53:09 PM