Logo

man liya aj hum nay ahsan unka

aj chari hai... mushkil say utaray gi...

ab tu shaid mar kay hi utray...

kuch loog majbori main chor jatay hain

kuch loog kisi aur k pyar main....

ya shaid kaheen aur say pyar milta hai tu wahan chal partay hain.....

Posted on 10/16/2007 1:10:52 PM

tum kahan chal dee theee .. kissi aur ka piyar mila tha   

Posted on 10/16/2007 1:14:22 PM

kon janay.... kon gaya... kon waheen tahra raha.... ya sab tu bas Allah hi janta hai...
aik rooz jab sab aik jagha hon gay...
tab ho ga faisla...
kon gaya tha.... kisi ko pyar mila tha...
kis nay kitnay dukh sahay thay...
kon ratoon ko roya tha...
kis ko takleeef main bhi wohi aik insaan yaad rahta tha...
kon majboor tha...
kon baybas tha...
ya sab aj aik drama hai... aik jhoot
laikin woh aik rooz ya sab samnay aay ga...
tab main pochhoon gi.. kiya ab bhi ya jhoot lagta hai...
hum mil nahin patay... ya taqdeer hai... but kon kis ki jagha laita ha ya khud kay hath main...

Posted on 10/16/2007 1:19:48 PM

is tarah k rawayion sey tu her koi yehi samjhey ga na

Posted on 10/16/2007 1:47:30 PM

dear sis.....theharta koi kisi k liay nahin hai cz kisi k anay ya janay se life ruk nahin sakti.yehi zindgi ki sachai hai.

muhabat may hijar k azabon ka ya behnay waly ansooun ka muhabat karnay waly loag sila nahin mangty hain

milna ya milna sirf taqdeer ka muamla nahin taqdeer insan khudi banata hai apni majboorion ko hum taqdeer ka naam day lety hain. or rahi ye bat k koi kisi ki jagah leta hai to totally rong hamari life may itny bht sary loag hoty hain magar har aik apna alag maqam rakhta hai or wo jagah koi nahin lay sakta na hum khud day sakty hain kisi aik ki jagah doosry ko.

muhabat takseem hoti hai.dil may khanay banty jaty hainbut jo jagah aik kliay fix ho wahan doosra koi b nahin aa sakta n its tru ma dear

Posted on 10/16/2007 6:41:40 PM

fragi mohtaram jahan taluk dil ka ho wahan rawaey ki wajah samjhana nai parti khud samjh aati ha.har koi or kisi khas k samjhnay may yeh farq to hona e chaey...

Posted on 10/16/2007 6:44:08 PM

mera dimagh mauf hai

tabhi mein maut kee dua mangta hun

mein ney hee sab ko dukh dey rakhey hain

Allah bus aur kaisey jiyoon mien

Posted on 10/16/2007 9:07:48 PM

aj ki taza khabar §Fragi§ mohtaram b aik adad dimagh rakhty hain jo mauf e rehta ha.

janab is nanhy se zehan par ap itna bojh mat daliye.
maut ki dua mangnay walon ki saza ap e kisi topic may tajweez kar chuky hain 2 4 lagani chaen
thar thar... ab kia khud ki pitai krengy????


jeena aur kesy hai hans k geo.Geo waly har doosry din bata ray hoty hain k asay Geo wesy Geo. ap b Geo dekho afaqa ho ga bongoo maharaj

Posted on 10/17/2007 9:03:13 AM

ohoo kiya dukh bhari sher hain

Posted on 10/19/2007 7:51:26 AM

bus sher hee hain

Posted on 10/19/2007 6:04:20 PM

nahin jee kisi k dili jazbaat hain

Posted on 10/19/2007 6:09:11 PM

dekhawa

Posted on 10/19/2007 6:15:53 PM

muhabat naam e dikhaway ka hai

Posted on 10/19/2007 6:18:26 PM

ji han aj kal muhabat b MAZAK e ha bus

Posted on 10/30/2007 9:57:45 PM

kia kisi ka gusa b mazak ho sakta hai?ya muhabat e mazak hoti hai bas?

Posted on 11/6/2007 9:22:25 PM

koi kaisey bata dey k woh kaun hain

Posted on 11/6/2007 11:31:17 PM

~tears4me~:
aj chari hai... mushkil say utaray gi...

ab tu shaid mar kay hi utray...

kuch loog majbori main chor jatay hain

kuch loog kisi aur k pyar main....

ya shaid kaheen aur say pyar milta hai tu wahan chal partay hain.....




oye hoyee full tun mahool

Posted on 11/7/2007 1:34:21 AM

§Fragi§:
koi kaisey bata dey k woh kaun hain



jaisay batatay hain. agr koi nai bata pata matlab wo sacha nai ha.

Posted on 11/7/2007 7:43:56 PM

plz jhoota sacha na karwayo kissi ko yahan per

Posted on 11/7/2007 7:58:54 PM

ok.

Posted on 11/7/2007 8:05:48 PM

ek saya sa rubaru kiya hai .... aaa dil e nadan

Posted on 11/7/2007 8:06:57 PM

ahhh dil e nadan.........

Posted on 11/7/2007 8:13:17 PM

fragi ji sayon k peechy bhagna chor dain

Posted on 11/7/2007 8:43:11 PM