MERA MAAZIIIIIIIIII apne maazi k tasawur se harasaan hu mai
apne guzre hue ayaam se nafrat hai mujhe
apni bekaar tamanao pe sharminda hu
apni be sood umeedo pe nadamat hai mujhe
mera maazi andhere mai daba rahne do
mera maazi meri zilat k siwa kuch bhi nahi
meri umeedo ka hasil meri kaavish ka sila
aik be naam aziyat k siwa kuch bhi nahi
kitni be kaar umeedo ka sahara le kar
maine aiwaan sajaye the kisi ki khaatir
kitni be rabt tamanao k mubhim khaake
maine khwaabo mai basaye the kisi ki khaatir
mujh se ab meri mohabbat k fasane na kaho
mujh ko kahne do k maine inhe chaaha hi nahi
or wo mast nigaahe jo mujhe bhool gayi
maine in mast nigaaho ko saraha hi nahi
mujh ko kahne do k mai aaj bhi ji sakta huu
ishq nakam sahi zindagi nakaam nahi
inko apnaane ki khwaahish,inhe paane ki talab
shoq bekaar sahi,sai ghum anjaam nahi
wahi gaisuu,wohi nazre wohi aariz wo jisam
mai jo chaahuu to mujhe or bhi mil sakti hai
wo kanwal jin ko kabhi un k liye khilna tha
in ki nazro se bohat door bhi khil sakte hai