Logo

[B]MUNAFQAT KAMYAB ZINDAGI KA USOOL HAI??


SALAM TO ALL MEMBERS
topic thora sa ajeeb hai lekin ye ek university mai debate competition ka topic tha,so i thought k mai yaha bhi members ki rai jaan loo,k aap kia sochte ho?is it true?or u r against it?????
people all here i want to request u all k apne daleelo mai QURANIC aayat ka hawala na de cuz KALAAM-E-PAK per to behes ki gunjaaish hi nahi,so be care ful.

Posted on 8/19/2008 6:29:06 PM


mai nay bhi kuch logon ko kehtay suna hai...
but its not a valid point...
hamaray haan aisa culture zaroor develop ho chuka hai
keh oper sai methay raho
pechay sai leg pulling kartay raho...
dosron ki leg-pulling kar kay agar kamyab hona hai
to yeh kamyabi kisi kaam ki nahi...
be confident on yourself...


Posted on 8/20/2008 2:34:17 PM

madgirl:

SALAM TO ALL MEMBERS
topic thora sa ajeeb hai lekin ye ek university mai debate competition ka topic tha,so i thought k mai yaha bhi members ki rai jaan loo,k aap kia sochte ho?is it true?or u r against it?????
people all here i want to request u all k apne daleelo mai QURANIC aayat ka hawala na de cuz KALAAM-E-PAK per to behes ki gunjaaish hi nahi,so be care ful.



You are right!!!!

aaj kal nafsa nafsi kaa aalam dikhta hai kai jaga!!!


loog sirf unn hi loggon se milna yaa relation develop karna chahte hein jo koi benefit de sakien!!!


aaj kal logoon mai ek HABIT kaafi aa gai hai...ghalt kaam ko hota dekh kar ignore kar jana.......means NOT INTERESTED.....



Rehan, is also right!!!!
yeah kaamyaabi, taraqqi yaa izzat ziyadah dairpaa (Long Lasting) nahi hote!!!!!



Posted on 8/20/2008 3:18:19 PM

Can someone define munafiqat? How do you measure it and how would you know if someone is munafiq?

Posted on 8/20/2008 9:24:06 PM

Smooth_daddy:
Can someone define munafiqat? How do you measure it and how would you know if someone is munafiq?

Posted on 8/20/2008 9:27:00 PM

Smooth_daddy:
Can someone define munafiqat? How do you measure it and how would you know if someone is munafiq?
hadis-e-nabvi(S.A.W.)hai k munafiq ki chaar nishaniya hai
1;baat kare to jhoot bole
2;ahd kare to tor dale
3;amanat mai khayanat karta hai
4;larre to gali de

Posted on 8/20/2008 10:58:29 PM

yani aap zahir mai kuch or baatin mai kuch
jab personality mai tafaruqa or bughz in addition to lalach plus darogh goi aajaye or success pane k liye ya logo mai acha banene k liye jhoot bole or khud ko acha zahir karne ki koshish kare

Posted on 8/20/2008 11:00:10 PM

Thanks madgirl:
So standards draw from religion and we (practically)careless about it.

your second msg is your opinion; though true to a great extent and relates to the topic.

Have you (I mean the topic starter and everyone else)ever seen a society that have collectively prospered with hypocritical lifestyle? We may have seen some individuals having lived an apparently properous life...looking deeper into their lives we find unrest, insecurity, trouble, problems within household... in longer term they are at loss.

Posted on 8/21/2008 2:07:16 AM


Members....
Tell your point of view keh kya MUNFIQAT KAMYAB ZINDAGI KA ASOOL HAI is true statement or wrong...



Posted on 8/21/2008 11:58:56 AM


Rehan M Din:

Members....
Tell your point of view keh kya MUNFIQAT KAMYAB ZINDAGI KA ASOOL HAI is true statement or wrong...





Qaul-O-Fail mai Tazaad!!!!



I think woh banda/insaan kisi hadd tak Munafiq hota hai......




Posted on 8/21/2008 12:46:13 PM


to ap kay khayal mai kamyaab zindagi ka raaz is munafiqat mai hai ya nahi??

Posted on 8/21/2008 1:04:04 PM


Rehan M Din:

to ap kay khayal mai kamyaab zindagi ka raaz is munafiqat mai hai ya nahi??


Nahi...

Posted on 8/21/2008 3:06:13 PM

kuch had tak agree hon is baat se.kyon ke jub koi aur apka fayeda nai sochta tu insan ko khud bhi esa kerna parta hai apnye liye..kuch ki addat hoti hai kuch ji majbori ban jati hai.jis ki addat hoti hai dekha jaye tu bahut buri baat hai.n jis ki majbori us ka kiya keh sakta hon
like normaly aj kal yehi ho raha hai
log har kisi ke sath khush hai per dil main baat hoti hia.un main himat hi nai hoti ke baat bata dyen.baat clear ker layen.yan kuch is tarhan hota hia ke bazahir khush hain per koi baat hai dil main aur is intezar main hotye hain ke mauqa miltye hi hisab barabr kerna hai.na kye aram se baat discuss ker li jaye jo ke best way hai.
sirf zarorat hoti hia tu himat ki hoslye ki k koi bhi baat hai tu woh face ki jaye.aur normaly himat un main nai hoti jin ke dil main chor hota hai unki koi apni ghalti hoti hai.
sirf ager himat ki jayehar cheez ko face kerne ki tu munafqat ke bagher bhi kamyab zindagi banai ja sakti hai.even apni ghalti bhi ho tu himat honi chahye sorry kerne ki(jo ke aj kal bahut kam hai). . . .
aur kisi aur ki ho tu himat honi chahye us ko batanye ki takye pata tu chalye ke reason kiya hai
aur reason tak janye ke liye aur chupanye ke liye hi yeh chaker chal raha hia aj kal......

Posted on 8/21/2008 3:20:28 PM


hmmmmmm.... iss kuch haadd ko agar %age mai lia jae to kya kahain gay...

Posted on 8/21/2008 3:31:17 PM

50 %

but ager tu addat hai yeh tu 0 %

n ager majboori tu 60 to 70 %

cuz aur ways bhi nikal hi atye hain try kerne per .....

Posted on 8/21/2008 5:41:55 PM

...and how do you define "successful life"?

for what is a success for one may not be a standard of sucess for the other.....if there is a standard or a sliding scale of success...what is the thrashold or a line between success and failure...meaning at what point you think you are having sucess in life or the other way around?

Posted on 8/22/2008 2:09:18 AM

What I mean here is that success is always objective -- reaching a pre-set goal. Methods applied to reach that goal can be different -- legit or illegit!

Hypocrisy is a method and it can help reach a set goal. .....The question of legitimacy of using hypocritical means to reach a goal (success per se) is a moral one.

If moral standards in a society fall below the mark of minimum level of decency, than yes, all means are fair. If that, then where would you draw a line setting a ceiling for hypocrisy...."you can be a hypocrite to a certain level"....a new standard of hypocrisy set by hypocrites.....That is really bizarre!!!

Posted on 8/22/2008 2:28:26 AM

...are you sorry you asked the question?

Posted on 8/22/2008 2:29:33 AM

Walaikum Salaam

*dar Asal Munafqat kamyaab Zindagi ka usool nahi
per Hum logo ne isay ek usool bana liya hain.

Quran O Sunnah pe Amal kar ke hum ek kamyaab Zindagi guzaar saktay hain
per hamaray minds main yehi baat hain k munafkat kay baghair hum kamyaab zindagi nahi guzar saktay
Aur to be Very Honest
Miss Mad Girl jee ne Jo hadith paak quote ki hain
agar iski roshni main hum apna tazkiya karay
tho yeh baatein hum sab main kahin na kahin maujood hain
In My View Munafqat kamyaab zindagi ka usool nahi hain
Munafkat ki bunyaad pe hasil ki janay wali kamyaabi ba zahir tho kamyaabi hain But in Reality yeh sab se bari haar hain...!

Posted on 8/22/2008 9:06:09 AM

see guys wat my opinion is..
munafqat agar aaj k dor se dekhi jaaye to hume har taraf zada tar wohi log kamyab nazar aate hai jo jhoot ka sahara lete hai or doosro pe charr k chaploosi kar k aage barhte hai,(examples kafi hai magar dena nahi chahti political issue khara hoga)lekin doosra rukh ye bhi hai k hume kamyabi to mil jaati hai lekin wo kamyabi ya to der pa nahi rahti ya phir ruswaai o be izzati ka sabab banti hai or ese log kamyab ho kar bhi nakam rehte hai muslims ne SUBcontinent pe 800 saal hukoomat ki un ka zawal bhi yahi munafqat or lalach or ek doosre ko neecha dekhana or deen se doori ki waja se hua
2nd thing aaj agar pakistan doosre countries se peeche hai to us ka reason bhi yahi munafqat hai ek to humare leaders munafiq jo serf apna sochte hai or apne mufaad k liye kuch bhi kar sakte hai,doosri taraf awaam mai or logo mai bhi yahi cheez paayi ja rahi hai har koi aage barhna chaahta hai kisi bhi tara kisi bhi tareeqe se shayed isi liye hum peeche rah gaye hai
aaj hum mai se har person k ander munafqat hai aap mano ya na mano,thats the fact.ek or baat irshad e BAARI TA-ALLAH hai k "YE MUNAFIQ JHOOTE HAI OR INHO NE RAKHA HAI APNI QASMO KO DHAAL BANA KAR OR PHIR ROKTE HAI ALLAH KI RAAH SE YE LOG BURE KAM JO KAR RAHE HAI"
QURAN mai 11 baar munafiq k liye azaab ka zikar kia gaya hai to sir ji jo cheez humare rab ko pasand na ho wo kamyabi ka raaz kese ho sakti hai?bhale hi log ye baat kahe k falan banda to jhoota hai phir bhi us k pas paisa hai but ALLAH kabhi na kabhi apni rasi zarur kheenchta hai

Posted on 8/22/2008 8:34:42 PM

Madgirl: I thought you did not want ref to Quran in our arguments but you are doing that yourself!

It is fine by me and I like your reference...

I do not understand what you call as success and how do you know it is success?

Posted on 8/22/2008 9:19:37 PM

sd actually jaha ye competition huwa,waha jo is k favour mai thi unho ne bila waja or bila moqa quraan pak ki ayaat ko istemaal kia thats y.....agar reference maqool ho to dia ja sakta hai lekin bashart ye k aap puri tara sure ho or sahi aayat ka exact qoute karo

Posted on 8/23/2008 5:56:39 PM