Logo

Sana Khwan e taqdees e mashriq kahan hain

Assalam O Alaikum

*
ye kooche ye neelaam ghar dil_kashi ke
ye luT_te hue kaarawaaN zindagii ke
kahaaN haiN, kahaaN haiN muhaafiz Khudi ke?

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

ye pur-pech galiyaaN, ye be-Khwaab baazaar
ye gumnaam raahii, ye sikkoN ki jhaNkaar
ye ismat ke saude, ye saudoN pe takaraar

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

ta’affun se pur neem-roshan ye galiyaaN
ye maslee hui adh-khilee zard kaliyaaN
ye bikati hui khokalii rang-raliyaaN

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

vo ujale dareechoN meiN paayal ki chhan-chhan
tanaffus ki uljhan pe tabale ki dhan-dhan
ye be-ruuh kamroN meiN khaaNsii kii Dhan-Dhan

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

ye guuNje hue qah-qahe raastoN par
ye chaaroN taraf bheeR si khiRkiyoN par
ye aawaazeN khiNchate hue aaNchaloN par

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

ye phuuloN ke gajare, ye peekoN ke chheeNTe
ye be-baak nazreN, ye gustaaKh fiqare
ye Dhalake badan aur ye madqooq chehare

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

ye bhuukii nigaaheN haseenoN ki jaanib
ye baRate hue haath seenoN ki jaanib
lapakate hue paaNv zeenoN ki jaanib

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

yahaaN peer bhii aa chuke haiN jawaaN bhi
tanuumand beTe bhi, abbaa miyaaN bhi
ye biwi bhi hai aur behan bhi hai, maaN bhi

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

madad chaahti hai ye hawwaa ki beTi
yashodaa ki ham-jins raadhaa ki beTi
payaMbar ki ummat zulaiKhaa ki beTi

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?

zaraa mulk ke raahbaroN ko bulaao
ye kuuche ye galiyaaN ye maNzar dikhaao
sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq ko laao

sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN?



Posted on 11/17/2008 6:20:09 PM


nice sharing...

Posted on 11/18/2008 11:53:05 AM

Waalaikum Assalam

Bohat achi sharing hai SS

Posted on 11/18/2008 1:56:28 PM