Logo

*** Some of my Favorite Songs ***

Let me start This one...

Lap pe aati hai dua ban ke tamanna meri
Lap pe aati hai dua ban ke tamanna meri

Zindgi shama ki surat ho Khudaya meri
Zindgi shama ki surat ho Khudaya meri

Door duniya ka mere dam se andhera hojaye
Door duniya ka mere dam se andhera hojaye

Har jagah mere chamakne se ujala hojaye
Har jagah mere chamakne se ujala hojaye

Ho mere dum se yohe mere watan ki zeenat
Ho mere dum se yohe mere watan ki zeenat

Jistara phool se hoti hai chaman ki zeenat
Jistara phool se hoti hai chaman ki zeenat

Zindigi ho meri parwaane ki soorat ya rab
Zindagi ho meri parwaane ki soorat ya rab

Ilm ki shama se ho mujko mohabat ya rab
Ilm ki shama se ho mujko mohabat ya rab

Ho mera kaam ghareebon ki himayat karna
Ho mera kaam ghareebon ki himayat karna

Dardmandon se, Zaeefon se muhabbat karna
Dardmandon se, Zaeefon se muhabbat karna

Mere Allah! Buraee se bachana mujhko
Mere Allah! Buraee se bachana mujhko
Naik jo raah ho us rah pe chalana mujhko
Naik jo raah ho us rah pe chalana mujhko.




Youtube
Link



@shaista
Thanks for the Lyrics

Posted on 3/5/2009 1:07:25 AM

Yeh watan tumhara hay
Tum ho paasbaan is kay
Yeh chaman tumhara hay
Tum ho naghman khan is kay

Iss chaman kay phoolon par
Rang o aab tum say hay
Iss zamin ka har zarra
Aaftab tum say hay
Yeh faza tumhari hay
Behr o barr tumahray hain
Kehkashan kay yeh jalay
Rehguzar tumharay hain

Iss zameen ki mitti main
Khoon hay shaheedon ka
Arz e pak markaz hay
Qaum ki ummeedon ka
Nazm o zabt ko apna
Mir e karvan jaano
Waqt kay andheron main
Apna aap pehchano


Yeh zameen muqadas hai
Maan k pyaar ki surat
Iss chaman main tum sab ho
Barghubaar ki surat
Dekhna gawana mat
Daulat-e-Yakeen logon
Yeh watan amanat hai
Aur tum ameen logon

Meer-e-Kaarwan hum thay
Ruuh-e-Kaarwan tum ho
Hum toh sirf unwaan thay
Asl daastaan tum ho
Nafraton k darwazay
Tum pe bandh hi rakhna
Iss watan k parcham ko
Sar buland hi rakhna


YouTube
Link



@~tasha~
Thanks for the Lyrics



Posted on 3/5/2009 1:14:08 AM

this was the best part!! lol i was wondering how come JB wrote all this must have taken a whole lot of while.. and then i read this!

JanuBaba:

@shaista
Thanks for the Lyrics

Posted on 3/5/2009 1:14:57 AM

aaj 14 August tu nahin hai na ? am i awake!

Posted on 3/5/2009 1:15:24 AM

jag:
this was the best part!! lol i was
wondering how come JB wrote all this must have taken a
whole lot of while.. and then i read this!

JanuBaba:

@shaista
Thanks for the Lyrics




I SMSed you, called you PM you, emailed you but you were
MIA :@

CALL ME NOOOOWWW

Posted on 3/5/2009 1:20:16 AM

@Jag
Thanks for calling


Apne Hontho Par Sajana Chahta Hu
Aa Tujhe Main Gungunana Chahta Hu

Koi Aansu Tere Daaman Par Gira Kar
Bund Ko Moti Banana Chahta Hu

Thak Gaya Mai Karte Karte Yaad Tujh Ko
Ab Tujhe Mai Yaad Aana Chahta Hu

Chaa Raha Hai Saari Basti Mai Andhera
Roshni Ko Ghar Jalana Chahta Hu

Aakhri Hichki Tere Zaano Pe Aaye
Maut Bhi Mai Shayraana Chahta Hu


Apne Hontho Par Sajana Chahta Hu
Aa Tujhe Main Gungunana Chahta Hu


YouTube
Link

Posted on 3/5/2009 1:37:53 AM


Thukaraao yaa ab ke pyaar karo main Nashe me hun
Jo chaaho mere yaar karo main nashe me hun
Ab bhii dilaa raha huu n yakiin-ne-vaffa magar
Meraa Na aitabaar karo main Nashe me n huun
Girane do tum mujhe meraa saagar sambhal lo
Itna to mere yaar karo main Nashe me n huun
Mujhako qadam qadam pe bahakane do vaa-izon
Tum apanaa kaarobaar karo main Nashe me n huu
Phir be-khudii me n had se guzarane lagaa huun main
Itna Na mujhase pyaar karo mai n Nashe me n huu N




YouTube
Link



Posted on 3/5/2009 2:40:31 AM

Chandini jee.. this topic is supposed to have JB's favorite songs.. aap ko kaise pata this is his favorite ????

Posted on 3/5/2009 3:27:28 PM

LMAO

Posted on 3/6/2009 1:45:21 AM

lolzzz@ jag


@ JanuBaba

Baba Jee koi romantic duet nahi hai aapki list main??       

Posted on 3/6/2009 4:29:52 AM