Logo

Fairl_Girl’s Collection + OWN



Mujh ko baatein kab aati hain ?

Main to bus khamosh sa sha'ir

Ulfat chahat ke rango se

Dil ki khali tasveero me

Koi Mohabbat likh deta hoon ...

Aur kabhi deewar se lagkar

Koi Mohabbat ro deta hoon ...

Aur kabhi aankho aankho mein

Saari baatein keh jata hoon ....

Main to ek khamosh sa sha'ir

Mujhko baatein kab aati hain ???

Mujh ko baatein gar aati to

Tum kiya mujh ko chhor kar jaati ???

Mere sapne tod kar jaati ???

Kiya meri aankho mein dukh ke

Itne aansoo dekh sakti thi ???

Mera kul sarmaya tha jo

Kiya mujhse woh le sakti thi ???

Mujh ko baatein gar aati to

Main bhi tumse woh sab kehta

Jo tum sunne ki khwahish mein

Saare raaste bhool aayi ho

Saare rishte bhool aayi ho

Main thera khamosh sa sha'ir

Mujh ko baatein gar aati to

Tum bhi mere khwab sajaati

Yoon na tanha chhor kar jaati

Kaash ! Mujhe bhi baatein aati ......
--

Posted on 1/6/2008 9:21:59 AM

eshajam:
all are Superb
thxxxxxxxxxx tammy

Posted on 1/6/2008 9:32:16 AM

Miss mine:

gr8 compilage fg
thx missy sis

Posted on 1/6/2008 9:32:26 AM


Wo Larki bhi ek ajeeb paheli thee,
Peyase hont they aankh samandar thee,


Us k apne sae se dar lagta tha,
Soch k sehra main wo tanha hirni thee,

aate jese mosam ko dhasti thee,
hanste hanste palko se ro parti thee,

aadhi raat gawa deti thee chup reh kar,
aadhi raat chand se batain karti thee,

tez hawa ko rok kar apne aanchal se,
sookhe phool ekathe karti thee,

sab par zahir karti thee bhed apna,
sab se ek tasweer chupa rakhti thee,

kal shab chikna choor hova tha dil uska,
ya phir wo pehli bar khul k roe thee,

Mohsin keya jane keyo
dhoop se be parwah,

wo apne ghar k dehleez
par bethi rehti thee

Posted on 1/6/2008 9:33:21 AM

Q K woh pagli thee

it was awsome

Posted on 1/6/2008 9:41:31 AM

thanks tammy

Posted on 1/7/2008 5:30:28 AM


ham hijar k rasty par safar kar nahi sakty
eik lamha tery bina basar kar nahi sakty


woh aakhri lamhoon main mujhy maang raha hai
yeh waqt hai aesa k guzar kar nahi sakty


khud hath say apny usay khona hi pary ga
yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakty


yoon apni nigahoon ko chora layty hain tujh say
k dil k iradoon ki khabar kar nahi sakty


tum khwaab jalaty rahy ham aaj tak chup thy
ab dil k yoon jalny par sabar kar nahi sakty


yeh aankh andheroon main hoi pyaas ka sehra
is noor k darya par nazar kar nahi sakty


har chand k meri aankh main aansoo hain larazty
jalty hoy sholay es par asar kar nahi sakty


ab chahin bandh lain gay tumhin apni nazar say
ham is liye khuda say khafa ho nahi sakty

Posted on 1/7/2008 5:41:41 AM

Nice ji very nice

khud hath say apny usay khona hi pary ga
yeh zabt bhi karna hai magar kar nahi sakty


Posted on 1/7/2008 6:23:35 AM

Fairl_Girl:
thanks tammy



welcome ji welcome

more sirf ek

Posted on 1/7/2008 6:24:33 AM



fg waiting 4 more poetry

v.nice king    

Posted on 1/13/2008 5:51:24 AM


hmmmmmm... nice poems


Posted on 1/14/2008 10:57:31 AM

WOW FG & King Of JB   

Posted on 1/16/2008 1:05:26 AM

Hum nay aazmanay ko kuch saal poochay Thay
Kis qaddar malahat thee uss k sab jawaboon main

Posted on 1/16/2008 1:50:20 AM


Posted on 1/16/2008 5:50:58 PM



kabhi chand ban ker mila karo

kabhi phool ban ker hansa karo

mere dil main bajte saaz ko

kabhi chupke chupke suna karo

main hawa ban ke aaon ga

tum raston main raha karo

mere zindagi andheron main

tum charagh ban ke jala karo

meri subahon main

meri shamon main

mera zikar ban ke raha karo

Posted on 1/18/2008 5:34:19 AM



Jab Bhi Qareeb Aata Hoon Batanay K Liye




Jab bhi qareeb aata hoon batanay k liye
Zindagi door rakhte hai satanay k liye




MehfilOn ki shaan na samajhna mujhay
Main to hansta hoOn gham chupanay k liye




In faaslOn ko na samjho meri be-Wafayi
Main door hoon tumse, paas aanay k liye



Mat jano haqeeqat mere in AansuOn ko
Main to roota hoon tumhein rulanay k liye




Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka
Main to khail tha ho aag se jal janay k liye



Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi
Main to jeeta tha zindagi, mar janay k liye

Posted on 1/18/2008 5:39:08 AM




Woh bhi roi hogi meri Yaad mein,
Mujhey bhi ansoo bahaneY do.

Usay kaYe dinoon say naheen dekha,
MujheY us k pass janeY do.

Is choti c zindagi mein chahat nahi hogi,
UsaY chahnay k liYe zamanaY do.

Uski muskaan pe luta do zindagi apni,
Usper lutanaY k liYe khazanaY do.

Haqeqatein sab perh lein usper likhi,
Ab perhney k liYe fasanaY do.

Ik do jaam saY ab kaam naheen,
Pee janay k liYe maY-khanaY do.

Laag aur Lagav ka farq na janti ho kaheen,
Yeh baat mujhey usaY samjhanaY do.

Muqeed ker dia hai tumney mujh ko,
In ankhon mein tu sapnaY sajanaY do.

Chalo! aisaY he azmaa lo tum mujh ko,
Aur mujheY usko bhi azmanaY do.

Posted on 1/18/2008 5:57:13 AM


hmmmm.... nice...


Posted on 1/18/2008 9:47:27 AM

great work jee great

Posted on 1/18/2008 11:46:12 AM

wowww nice collecetion

Posted on 1/19/2008 12:24:13 AM

nuka muj mai zaror hai koi
aj itna jo door hai koi
muskrao na aj aye sitaro
gham ke zakhmo se choor hia koi
us ne yaad kerna hi choor dia
baat is main zarur hai koi

Posted on 1/19/2008 12:40:25 AM

cf

Posted on 1/21/2008 5:24:15 AM

thx all of u

Posted on 1/21/2008 5:24:46 AM


Lamha lamha azaab ho jaise,
Dil ghamon ki kitab ho jaise..


Khushbu pheli hui hai charon teraf,
Zakhm dil ka gulaab ho jaise..


Aik chehra hai jo tasawer mey,
Aap apna jawaab ho jaise..


Jal rahi hoon mein thundi chaon mey,
Mujh pe utra azaab ho jaise..


Mujh ko manzil dikhayi deti hai,
Her qadem qamiyab ho jaise..


Zindagi jis ko loog kehtay hain,
Mehaz khuli kitaab ho jaise

Posted on 1/21/2008 5:27:03 AM


khooob....

Posted on 1/21/2008 9:41:18 AM

bohot khoob

Posted on 1/21/2008 4:14:12 PM

thx guyzzzzzzzzzzzzz

Posted on 2/5/2008 3:49:29 AM


har suu dikhaa_ii dete hai.n vo jalvaagar mujhe
kyaa-kyaa fareb detii hai merii nazar mujhe

aayaa na raas naalaa-e-dil kaa asar mujhe
ab tum mile to kuchh nahii.n apanii Khabar mujhe

Daalaa hai beKhudii ne ajab raah par mujhe
aa.Nkhe.n hai.n aur kuchh nahii.n aataa nazar mujhe

karnaa hai aaj hazrat-e-naaseh se saamanaa
mil jaaye do gha.Dii ko tumhaarii nazar mujhe

yak_saa.N hai husn-o-ishq kii sarmastiyo.n kaa rang
un kii Khabar unhe.n hai na apanii Khabar mujhe

mai.n duur huu.N to ruuh-e-suKhan mujh se kis liye
tum paas ho to kyo.n nahii.n aate nazar mujhe

dil leke meraa dete ho daaG-e-jigar mujhe
ye baat bhuulane kii nahii.n umr bhar mujhe

Posted on 2/5/2008 3:50:11 AM



ADHOORAY KHUWAAB

Aik wahrma tha dil main
Shayad kabhi milo tum
kuch dair ruk ker poocho
beetay dinoon ka moosam
aawaz main ho larzish
aankhoon main ho tajassus
Mazay ka koi lamha
shayad atak gaya ho
sab bhool ker bhi shayad
kuch yaad agaya ho
phir main tumhain bataoon
apni khushi ki baatain
har dukh ko chupa ker dil main
aasoodgi ki baatain
wo chand chudhween ka
taroon bhari wo aankhain
dilkash haseen shamain
maasoom wardatain
wo piyaar ka tasawwor
wo bandagi ki batain
Wo rooz rooz marna
Aur zindagi ki baatain
Tum dukh say muskurao
Dheeray say muskurao
Dheeray say paas aao
Sar ko jhuka kay apnay
Chup chaap loot jao
Phir main bhi muskuraon
Maan kay diyay jalaon
Duhraon apnay dil main
Taa'luq say haqeeqat
Aik khuwab zindagi ka
Haan umer bhar jo daikha
Kabhi ho saka na pora
Younhi rah gaya adhoora
Aik khuwab-e-zindagi tha

Posted on 2/5/2008 3:54:04 AM

wah

Posted on 2/11/2008 4:05:59 PM