Ruka hua hai ajab Dhoop chhaa'on ka Mausum
guzar raha hai koi dil sey Baadalon ki tarah
--------------------------------------
Mein nay dushman ko bhi ehsaas-e-mohabbat bakhsha
Merey apney Mujhay Nafrat ki saza daitay hain
--------------------------------------
Shab-e-Wisaal mein roshan charaagh gul kar do
Khushi ki buzm mein kya kaam jalney waalon ka
---------------------------------------
Toofaan kar raha tha Merey Azm ka tawaaf
Duniya samajh rahi thi ke, Kashti bhanwar mein hai
----------------------------------------
donon jahan teri mohabbat mein har ke
woh ja raha hey koi shab e gum guzar ke
........................................
ker raha tha gum e jahan ka hisaab
aaj tum yaad be hisaab aye