that person said,,
jab bhi insaan koi gunah karta hai to uss k dil pe aik syah daag par jata hai,,, aur sache dil ki maafi k saath hi woh daagh dhul jata hai,,,
par agar koi shaks gunah karta jae,, Allah ki nafarmani karta rahe, apne kiye pe kabhi sharminda na ho, maafi na maange to ahista ahista uss ka poora dil siyah ho jata hai,,
aur tab uss ko koi jitna bhi samjha le uss ka dil maafi ki taraf aata hi nahi,,,
it s just like kissi shaks ko cigrette peene ki adat hai,, pehle pehle woh apni marzi se cigrette nahi chorta,, phir thori thori adat ho jati hai
aur aik wakt aisa aata hai k cigrette k bager uss ka guzara hi nahi hota
dil pe morh lagna aise hai jaise cigrette peene waale ko lungs cancer ho jae,, aur aisi stage bhi hoti hai jab doctors jawab de dete hein,,, ab woh cigrette chor bhi de to his life is finished
gunah karna ACTION hai aur dil pe mohr lagna uss ka REACTION..
but still maaf karna Khuda k haath mei hai..
Allah miyan humein harr gunah se bachae rakhein,, dilon ko behisi aur khudgarzi se paak rakhein,, aur iss mohr lagne ki kefiyat se bachae rakhein
Ameen
Posted on 11/8/2004 12:55:16 AM